Andhere Mein Dil Ke Charage Mohabbat Ye Kisne Jalaya Savere Savere By Sabri Brothers Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers, Amjad Sabri
Shayar: Sahraayi
Andhere Mein Dil Ke Charage Mohabbat Ye Kisne Jalaya Savere Savere
Anmol Heera Paaya Ajmer Ki Gali Me
Aaa..
Anmol Heera Paaya Ajmer Ki Gali Me
Aaa..
Taareek Dil Me Khwaja Ki Raushni Tum hi Ne.
Andhere Me Dil Ke Charagh-e Mohabbat
Andhere Me Dil Ke Charage Mohabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere.
Andhere Me Dil Ke Charage Muhabbat
Ye Kis Ne Jalaaya Sawere Sawere
Tasawwur Ke Suraj Ki Ek Ek Kiran Se
Naya Noor Paya Sawere Sawere
Lagan Jiske Deedaar Ki Lag Rahi Thi
Qareeb Aur Aaya Sawere Sawere
Aaa..
Kisi Ghamzada Ne Jo Khwaja Piya Ko
Tadap Kar Bulaya Sawere Sawere
Khazana Muhammad Ka Haathoñ Me Lekar
Wahiñ Unko Paaya Sawere Sawere
Ghalat Hai Ke Baazaar e Ishq o Muhabbat
Kabhi Aashiqoñ Ke Samajhme Na Aaya
Khara Maal Hai To Khare Daam Dega
Aataye Muhammad Hai Zehra Ka Jaaya.
Ghareebo Ke Daata Haiñ Mash’hoor Khwaja
Koi Hind Me Unka Saani Na Paaya
Aaa..
Aqeedat Ki Mandi Ka Bas Raaz Ye Hai
Isha Padh Ke Gar Haajati Ne Lagaya
Ibaadat Ka Sauda Andhere Andhere
Munafa Kamaaya Sawere Sawere
Muqaddas Yuñ Samjhi Gayi Momino Meñ
Saher Ki Tilaawat Saher Ki Ibaadat
Farishte Azaane Saher Sun ke Takseem
Karte Haiñ Bando Ko Qudrat Ki Ne’mat
Namaze Saher Meñ Namazi Ke Sar Pe
Barasti hai Masjid Me Allah Ki Rehmat
Aaa…
Tere Rauzaye Paak Ki Mere Khwaja
Ziyaarat Yuñ Karte Hai Sab Ahl-e Sunnat
Khuda Ne Muhammad ﷺ Ko Me’raj Ki Shab
Falak Par Bulaya Sawere Sawere.
Tasawwur se chehre ke Khwaja piya k
Ujaaloñ se ho kar ke bhar poor chamka
Azaane sahar jab hui saara Ajmer
Nazdeek Kya Door Se Door Chamka
Khade The Jo Rauze Pe Behre Ziyarat
Nigaho Me Unki Naya Noor Chamka.
Aaa…
Khuda Ki Qasam Ye Haqeeqat Hai Sahrayi
Ke Benoor Aankhon Me Bhi Noor Chamka
Tere Dhauley Gumbad Ko Suraj Ki Kirno
Ne Jab Jagmagaaya Sawere Sawere
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan