Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Utni Meri Auqat Nahi Lyrics

Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Utni Meri Auqaat Nahin By Sabri Brothers Lyrics

Jitna diya srkar ne mujhko Sabri Brothers Qawwali Lyrics
Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko

Qawwal: Sabri Brothers/Maqbool Sabri

Shayar: Kausar


हिंदी लिरिक्स के यहां टच कीजिए


Qurbaan main unki Bakhshish ke
Maqsad bhi zabañ par laya nahin

Bin maañge diya aur itna diya
Daman me hamaare samaya nahi

Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko

 

Jitna diya sarkaar ne mujh ko
Itni meri auqaat nahiñ

Ye to karam hai unka warna
Mujh me to aisi baat nahi

Jitna diya sarkar ne mujh ko

 

Tu bhi wahiñ par ja jis dar pe
Sab ki bigdi banti hai

Ek teri taqdeer banana
Un ke liye kuchh baat nahi

Jitna diya sarkaar ne mujh ko

 

Ishqe shahe bat-ha se pehle
Muflis o khasta haal tha main

Naam e Mohammadﷺ ke main qurbaañ
Ab wo mere haalat nahiñ

Jitna diya sarkaar ne mujh ko

 

Zikre Nabi me jo din guzre
Wo din sab se achcha hai

Yaad e Nabi me raat jo guzre
Us-se behtar raat nahi

Jitna diya sarkaar ne mujh ko

 

Munkir hai jo unki ata ka
Wo ye baat bataaye to

Kaun hai wo jiske daaman mein
Us dar ki khairaat nahi

Jitna diya sarkaar ne mujh ko

 

Ghaur to kar sarkar ki tujh par
kaisi khas inayat hai

Kausar tu hai unka sana khwañ
Ye maamuli baat nahiñ

Jitna diya sar kaar ne mujh ko


Urdu, Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

 

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Allama Saim Chishti  | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *