Saamne Aaoge Dam Nikal Jaayega

Saamne Aaoge Dam Nikal Jaayega Lyrics

Qawwal : Maulvi Ahmad Hasan Akhtar

 

Aana Na Meri Qabr Pe Humraah-e Raqeebaañ
Murdoñ Ko Musalmaan Jalaya Nahi Karte

 

Saamne Aaoge Dam Nikal Jaayega

 

Saamne Aaoge Dam Nikal Jaayega
Apni Jaañ Se Koi Be-Mahal Jaayega
Aan-e Wahid Meiñ Naqsha Badal Jaayega
Dil Pe Jalwoñ Ka Jaadu Sa Chal Jaayega
Hosh Ud Jaayeñge Khoon Jal Jaayega

 

Tum Kisi Se Nahi Har Koi Tum Se Hai
Ishq Bhi Tum Se Hai Dosti Tum Se Hai
Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Chain Tum Se Qaraar Tum Se Hai
Zindagi Ki Bahaar Tum Se Hai
Yuñ To Duniyañ Meiñ Haiñ Hasiñ Laakho
Kya Karuñ Mujh Ko Pyar Tum Se Hai

 

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Wohi Aable Haiñ Wohi Jalan
Mere Soz o Dil Meiñ Kami Nahi
Jo Laga Ke Aag Gaye Ho Tum
Wo Lagi Hui Hai Bujhi Nahi

Na Bujhao Tum Na Bujhegi Ye
Na Ye Bujhne Waali Lagi Hai Ab
Maiñ Jo Jalta Huñ Mujhe Jalne Do
Ke Maza Hi Apni Jalan Meiñ Hai

 

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Yuñ To Bedam Ko Afaaqa Nahi Hota Ghash Se
Aap Aa Jaate Haiñ Kuchh Hosh Meiñ Aa Jaata Hai

 

Jee Raha Huñ Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Wohi Aable Hain Wohi Jalan Mere Soz-e Dil Meiñ Kami Nahi
Jo Laga Ke Aag Gaye Ho Tum Wo Lagi Hui Hai Bujhi Nahi

Teri Yaad Aisi Hai Ba-Wafa Pasemandgi Na Hui Juda
Teri Yaad Mein Hum Mit Gaye Teri Yaad Dil Se Miti Nahi

Meri Zindagi Pe Na Muskara Mujhe Zindagi Ka Alam Nahi
Jise Tere Gham Se Ho Waasta Wo Khiza Bahar Se Kam Nahiñ

 

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Ham Aksar Yaad Karte Hain Wo Aksar Bhool Jaate Haiñ
Ye Zalim Chaahne Waaloñ Ko Kyuñ Kar Bhool Jaate Hain

Idhar Ham Hain Jise Apni Wafa Ka Paas Rahta Hai
Udhar Wo Hain Ke Muñh Se Baat Kah Kar Bhool Jaate Hain

 

Jee Raha Huñ Meri Zindagi Tumse Hai ..

 

Dil Ko Nahiñ Sukoon Meri Jaañ Tere Baghair
Aaja Ke Zindagi Hai Pareshaañ Tere Baghair

Tum Kya Gaye Ke Lut Gaya Saaman-e Zindagi
Ham Ho Gaye Hain Be-Sar o Saamaañ Tere Baghair

Meena Khamosh, Jaam Khafa, Maikada Udaas
Sooni Padi Hai Mahfil-e Rindaañ Tere Baghair

Kis Se Kaheñ Jo Tum Na Suno Daastaan-e Gham
Ham BeKasoñ Ka Kaun Hai Pursaañ Tere Baghair

 

Jee Raha Huñ Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Tumhare Aane Se Pahle Hi Saath Chhod Na Deñ
Chale Bhi Aao Ke Nabzoñ Ka Aitbaar Nahiñ

 

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Jab Bhi Toofañ Meiñ Larazta Hai Safeena Mera
Haath Phailaye Teri Yaad Chali Aati Hai

 

Jee Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Pur-Sukuñ Raat Hai Taaroñ Meiñ Bhi Chainaayi
Aa Bhi Jaa Ba-Khuda Yaad Teri Aayi Hai

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai..

 

Milta Na Umr Bhar Mujhe Maf’hoom-e Zindagi
Lekin Teri Nazar Ke Ishaare Se Mil Gaya

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai..

 

Aa Bhi Jaa Ba-Khuda Ghair Koi Paas Nahiñ
Ik Teri Yaad Hai, Maiñ Huñ, Shab-e Tanhaayi Hai

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Dil Ke Daaghoñ Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai
Ke Yahi Daagh To Haiñ Teri Nishaani Sanma

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Taras Khaao Meri Duniya To Luti Jaati Hai
Aakhiri Waqt Hai Jaañ Lab Pe Mere Aayi Hai

 

Ji Raha Huñ Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Sooraj Dhala To Dil Meiñ Ajab Kaif Chhaa Gaya
Waada-Shikan Na Aaya Magar Raat Aa Gayi

 

Ji Raha Huñ Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Gulshan Parast Huñ Mujhe Gul Hi Nahiñ Azeez
Kaañto Se Bhi Nibaah Kiye Jaa Raha Hun Main

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Aaja Aaja Ke Waqt Nazuk Hai
Zindagi Laut Kar Nahi Aati

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Aashk Aañkhoñ Se Rawaañ Aur Jigar Jalta Hai
Kya Qayamat Hai Ke Barsaat Meiñ Ghar Jalta Hai

Aaja Ke Tere Qeemti Vaade Pe Maut Ko
Taala Hai Aaj Maine Bade Ehtaraam Se

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Aa Jao Ke Ab Khilwat-e Dil Khilwat-e Dil Hai
Ab Dil Ke Dhadakne Ki Bhi Awaaz Nahin Hai

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Hai Teri Yad Aur Tanhayi
Jindagi Le Rahi Hai Angdayi

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Iqraar Kiya Tha Ke Taghaful Na Kareñge
Kuchh Yad Hai O Wada-Faramosh-e Mohabbat

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Kabhi To Milega Fiza Se Andhera
Kabhi To Magar Chandni Raat Hogi
Kabhi To Mileñge Charagh-e Mohabbat
Kisi Roz Un Se Mulaqat Hogi

 

Agar Dam-Ba-Dam Wo Hame Yaad Aayeñ
Shab-e Gham Ki Tareek Tanhaayiyoñ Meiñ
Jo Bikhrengi Zulfeñ To Chhyeñge Baadal
Jo Tapkeñge Aañsu To Barsat Hogi

 

Mareez-e Mohabbat Ka Hai Waqt-e Aakhir
Khuda Ke Liye Ab To Aa Jaao Warna
Idhar Aao Tum Ko Gale Se laga Luñ
Khuda Jaane Phir Kab Mulaqat Hogi

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Maine Maana Tum Ko Jaana Is Qadar Jaldi Hai Kya
Raat Baaqi Hai Chale Jaana Sahar Hone To Do

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

UthTe Hi Aaj Hook Nakkara Sa Baj Gaya
Ghabra Raha Huñ Kaafla Tayyar Dekh Kar

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Qareeb Maut Khadi Hai Zara Thahar Jaao
Qaza Se Aañkh Ladi Hai Zara Thahar Jaao

Thaki Thaki Si Fizaayeñ Bujhe Bujhe Taare
Badi Udaas Ghadi Hai Zara Thahar Jaao

Nahiñ Ummeed Ke Hum Aaj Ki Sahar Dekheñge
Ye Raat Ham Pe Kadi Hai Zara Thahar Jaao

Abhi Na Jaao Ke Taaroñ Ka Dil DhaDakta Hai
Tamam Raat Padi Hai Zara Thahar Jaao

Usroos-e Shaam Abhi Gesuoñ Ke Saaye Meiñ Hai
Kaneez Ban Ke Khadi Hai Zara Thahar Jaao

Phir Us Ke Baad Kabhi Hum Na Tum Ko Rokeñge
Laboñ Pe Saañs Adi Hai Zara Thahar Jaao

Gham-e Firaak Meiñ Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh To Luñ
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Thahar Jaao

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Parda Uthayiyega Rukh-e Laa Jawab Se
Lipti Hui Hai Deed Ki Hasrat Naqaab Se

 

Ji Raha Hun Meri Zindagi Tum Se Hai ..

 

Tum Kisi Se Nahi, Har Koi Tum Se Hai
Ishq Bhi Tum Se Hai Dosti Tum Se Hai
Shahr Meiñ Meri Aabru Bhi Meri Tum Se Hai
Tum Jo Badle Zamana Badal Jaayega

Tum Jo Badle Zamana Badal Jaayega ..

 

Waar Tirchhi Nazar Ke Na Paiham Karo
Apni Dhun Meiñ Ise Mast Rahne Bhi Do
Tum Pe Qurbaan Kahna Mera Maan Bhi Lo

Koi Khoye Hi Ausaan Chala Jaata
Aur Koi Chaak-e Girebaan Chala Jaata Hai
Aur Dil Mein Liye Armaan Chala Jaata Hai
Tere Kooche Meiñ Jo Ai Jaan Chala Jaata Hai
Goya Jannat Meiñ Wo Insaan Chala Jaata Hai

 

Tum Pe Qurbaan Kahna Mera Maan Bhi Lo
Humko Ko Dar Hai Kahiñ Hashr Barpa Na Ho
Dil Jo Tadpa To Haatho Uchhal Jaayega

Dil Jo Tadpa To Haatho Uchhal Jaayega ..

 

Tum Hi Farmaayo Kya Mujh Meiñ Dam Kham Nahiñ
Dil Mera Kushta-e Jaur-e Paiham Nahiñ
Naaz Tha Tum Pe Kya Tum Bhi Barham Nahiñ
Jaañ Ki Parwah Nahi Maut Ka Gham Nahiñ
Dam Nikalna Hai Ik Din Nikal Jaayega

 

Saamne Aaoge Dam Nikal Jaayega

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *