Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum

Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum (Naat-e Paak) Lyrics

Qawwal :  Maulvi Ahmad Hasan Akhtar

 

Mohammad ﷺ Sa Koi Paida Na Hoga
Woh Jaise Haiñ Koi Aisa Na Hoga

 

Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Phirey Zamane Mein Chaar Jaanib
Sanam Sarapa Tumhi Ko Dekha

Haseen Dekhe Jameel Dekhe
Par Ek Tujhi Ko Tujhi Sa Dekha

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Dar-e Soo-e Khuld Se Mustafa
Tujhe Jibraeel Ne Ki Sada

Ke Janab-e Khwaja-e Do-Sara
Sabhi Ambiyaoñ Ke Peshwa

Hui Ab Hai Jawagari Waja
Dar-e Khuld Ki Diye Chal Dawa

Wahiñ Sun Ke Rizwañ Qarib Aa
Laga Arz Karne Ke Sayyada

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Ab Dekho Sar-e Arsh To Awaaz Ye Aayi
Khilwat Mein Chale Aayiye Mahbub Hamare

Meraj ki Shab Aur Woh Kausain Ka Manzar
The Taalib o Matloob Ke Aapas Meiñ Ishare

Kuchh Bhi Na Raha Fark Muhammad ﷺ Meiñ Ahad Meiñ
Jis Waqt Hue Jazb Nazaroñ Meiñ Nazare

 

Haiñ Shams o Qamar Raushan Anwaar-e Mohammad ﷺ Se
Taaroñ Meiñ jhalakti hai Tanveer Mohammad ﷺ Ki

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Jab Chala Chaañd Madine Ka Su-e Rabb-e Jaleel
Bujh Gayi Mehr-e Darakhshañ Ki Falak Par Qandeel

Shahr-e Firdaus Ki Aadam Ne Abhi Rakhi Thi Sabeel
Ke Isi Raah Se Guzrega Wo Farzand-e Jamil

Rooh Par Rooh Lagi Girne Bara-e Tazeem
Kahiñ Yusuf Thei Khade Aur Kahiñ Ismail

Tab Hue Soora Meiñ Yuñ Naghma-Sara Asrafeel

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Andaaz Hasinoñ Ko Sikhaye Nahiñ Jaate
Ye Ummi Laqab Haiñ Ke Padhaaye Nahin Jaate
Har Ek Ka Hissa Kahañ Deedar Kisi Ka
Bu-Jahl ko Mahboob Dikhaye Nahin Jaate

 

Jaañ-Naafarini Jaañ-Dehi Jaañ-Parvari Jaadugari
Kuchh Tere Hothoñ Mein Rakhi Kuch Teri Aañkhoñ Mein Bhari

Mojaz Numayi Ne Koi Naazaktani Chaañ Baktari
Ek Ek Ka Hai Khatma Kya Khatm Hai Paighambari

Ai Sarw o Abdal Mutlaba Sab Par Hai Tujhko Sarwari
Shams o Qamar, Shaam o Sahar, Zeb o Zabar Khushq o Tari

Sab Az Paye Farmañ-dehi Tu Az Paye Farmañ-bari

 

Lab’haa-e Nazuk Meiñ Shafaq Chashmaan-e Jaadu Meiñ Haya
Ho Jaise Ghuncha Meiñ Shameem Ho Jaise Sheesha Mein Pari

Tukde Qamar Ke Dekh Kar Khursheed Tharrane Laga
Haañ Ek Ko Ibrat Hui Gar Ek Ne Ki Hamsari

Is Naat Ka Sun Kar Bayañ Sakte Meiñ Saakat Rah Gaye
Saadi o Hafiz, Ansari, Jaami, Nizami, Akhtari

Jab Hua Makke Meiñ Paida Sarwar-e Duniyañ o deeñ
Hooro Ghilmaañ Se Zami Thi Rashq-e Firdaus-e Bareeñ

Aasiya Mariyam Khadi Theeñ Aamna Ke Ham-Kareeñ
Kahte Aate Thei Malyaik Charkh Se Soo-e Zameeñ

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Naazañ Hai Jis Pe Husn Wo Husn-e Rasool Hai
Ye Kahkashañ To Aapke Qadmoñ Ki Dhool Hai

 

Mohammad ﷺ,
Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Bat’ha Ka Baasi Manmohan,
Jab Arsh Pe Aayo Aanan Meiñ

Ab Ka Se Kahuñ Maiñ He Ri Sakhi
Jo Dhoom Thi Kaun o Makaanan Meiñ

Jab Wo Mohan Anmol Utha
Mukh Par Se Parda Khol Utha
Maula Kalma Tab Bol Utha
Us Ummi Laqb Ki Shaanan Meiñ

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Ghuroob Ho Jo Sake Ye Wo Aaftab Nahi
Nabi Ke Husn Ka Kaunain Meiñ Jawab Nahi

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Ambiya Dekh Ke Wo Husn-e Jamaal-e Madani
Sab Kaheñge Ke Ajab Shaan Hai Allaho-Ghani

Us Ka Humsar Hai, Na Koi Gul Hai, Na Sarw-e Chamani
Khatam Is Kaam Tera Na Pahe Gul Pahrauni

Aaj Ushshaq Ki Bigdi Hui Taqdeer Bani
Aaj Hi Unko Maza Degi Ghareeb-ul-Watani

Jab Ke Ye Kahte Hue UtTheñge Uwais-e Qarni

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Hamo Ism-e Aazam, Hamo Jism-e Aazam
Ke Dar Khalq-e Haq Intizaam-e Muhammad ﷺ

Muzaiyyan, Munawwar, Mo’attar, Mutaahhir
Zameen o Zama Hast Baam-e Mohammad ﷺ

Zamee Bhi Kahti Thi Ye Aur Falak Bhi Kahta Tha
Baat Kya Thi Balke Khud Khuda Ye Kahta Tha

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Qadd-e Raana Ki Ada, Jaama-e Zeba Ki Phaban
Surmaghi Aañkh Ghazab Naak Bhari Wo Chitvan

 

Aisi Aañkhoñ Ke Tasadduq Meri Aañkheñ Bedam
Ke Jinheñ Aata Hai Aghyaar Ko Apna Karna

Chashm Do Jaadoost, Jaa Aahoost, Jaa Sayyiyaad-e Khalaq,
Jaa Do Baadam-e Seyaah, Jaa Nargis-e Shola Asti.

 

Qadd-e Raana Ki Ada Kya Jaama-e Zeba Ki Phaban
Surmaghi Aañkh Ghazab Naak Bhari, Wo Chitvan

Wo Imaame Ki Zabayesh Wo Beyaaz-e Gardan
Wo Mukhde Ki Tajalla, Wo Jabeen-e Raushan

Murde Bhi Dekheñ Jo, Kar Chaak Girebaan Kafan
Uth Chaleñ Qabroñ Se Murde, Zubaan Pe Ye Sukhan

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Shudam Bar Soorat-e Aashaq Ke Bar Paa Mee Kunad Ghaugha
Ke Surat Surat-e Dilbar Ke Dilbar Dilbar-e Zeba

Nigaar-e Man Ba Sad Khubi Do Zulf Az Nik’hat-e Daarad
Ke Nikhat Nikhat-e Ambar Che Ambar Ambar-e Saara

 

Ba Zulfe Siyaahe Ke Khamdar Daari
Dile Har Do Aalam Giriftar Daari

Ba Baazare Husne Ke Misle Na Daarad
Chu Yousuf Hazaarañ Khareedar Daari

 

Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Hue Laakhoñ Haseeñ Aadam Se Lekar Ibn-e Mariyam Tak
Bani Hashim Ki Mahfil Meiñ Jo Aaya Laa Jawab Aaya

 

Wallah! Husn Ki Intaha .. Kamli Wale ..

 

Roya Shab-e Hijraañ Meiñ Bahut Ashk Bahaya
Itne Meiñ Musavvir Ko Zara Rahm Jo Aaya
Nakshe kayi Tasveeroñ Ke Wo Samne Laya

Bola Ke Ye Yusuf Haiñ, Ye Eesa Haiñ, Ye Musa
To Maine Kaha In Meiñ Se Kisi Par Nahi Shaida

Jab Samne Laya Wo Shabeeh-e Shah-e Wala
To Be Saakhta Us Waqt Zubaañ Se Meri Nikla

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Noor Unka Jalwaghan Hai Kaunain Ke Chaman Meiñ
Haiñ Khud Hi Shama-e Mahfil Wo Apni Anjuman Meiñ

Khushbu Basi Hui Thi Jo Aap Ke Badan Maiñ
Uski Mahek Lahek Hai Gulhaa-e Har Chaman Meiñ

Nabiyoñ Meiñ Unka Chehra Aisa Chamak Raha Hai
Jaise Ho Chaañd Raushan Taaroñ Ki Anjuman Meiñ

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Kya Nazm Ko Parvaz Hai
Parvaz Meiñ Andaz Hai
Andaaz Meiñ Ik Naaz Hai
Aur Naaz Meiñ Ejaaz Hai
Ejaaz Meiñ Aghraaz Hai
Aghraaz Meiñ Ye Saaz hai
Ye Saaz Meiñ Aawaz Hai

Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..

 

Anwar Mere Nabi Ka Humsar Koi Nahi Hai
Ausaaf Meiñ, Chalan Meiñ, Ikhlaq Meiñ, Phaban Meiñ

 

Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..

 

Musa Baraa-e Deed-e Khuda Toor Par Gaye
Chauthe Falak Pe Eesa-e Sahib Zafar Gaye
Sidra Pe Jaa Ke Hazrat-e Jibraeel Dar Gaye
Mere Huzur Arsh Se Aage Guzar Gaye
Allah Ke Habib Thei Allah Ke Ghar Gaye

 

Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Hamne Dekha Na Bhaala ..

 

Rasool Aur Bhi Haiñ Kahlayeñ Jo Kaleem o Khaleel
Laqab Khuda Se Kisi Ko Mila Habeeb Nahiñ

Ye Saayiloñ Ko Kuchh Aisa Nehaal Karte Haiñ
Na Phir Kabhi Wo Kisi Se Sawal Karte Haiñ

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Udhar Rukh Se Ahmad Ne Parda Uthaya
Idhar Shayaroñ Ne Qalam Tod Daale

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Sarapa-e Noor Az Saaya Na Daarad
Ke Shak-ul-Qamari Muqaam-e Mohammad ﷺ

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Gaye Aap Arsh Se Wahañ Guzar
Jahañ Ho Kisi Ka Na Ho Guzar
Hua Noor Noor Se Jalwagar
Wo Mila Nazar Ke Na Tha Nazar

Rahe Jibraeel Ye Arz Kar
Maiñ Chaluñ Jo Aage, Jalenge Par
Jo Hai Dekha Pusht-e Buraq Par
To Bola Ye Raf-raf Aan Kar

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Hamsar Hi Nahiñ Koi Mahboob-e Sahi Qad Ka
Wo Noor-e Mujassam Haiñ Aur Aks Haiñ Ezaz Ka
Maaloom Ahad Ko Hai Rutwa Shah-e Behad Ka
Jibraeel To Had Hi Meiñ Khaadim Hai Mohammad ﷺ Ka
Behad Ho To Phir Jaane Tauqeer Mohammad ﷺ Ki

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Nishaani Ishq Meiñ Mahbub Ki Mahbub Hoti Hai
Khuda Ne Paas Apne Rakh Liya Saya Mohammad ﷺ Ka

 

Aayi Bahar Ab Har Chaman
Hai Bulbulo Gul Ka Watan
Dair o Haram Se Naara Zan
Aate Haiñ Shaikh o Barhaman

Zahid Se Kah Do Ye Sukhan Hai Fasl-e Gul Tauba Shikan
Gar Chaahe Aish o Jaan o Tan MaiKhwaroñ Ka Seekhe Chalan

 

Aayi Bahaar-e Jaañ Fiza Laayi Gulistañ Meiñ Saba
Paigham-e Fasl-e Dilruba Gul Khil-khila Kar Hañs Pada

Mauj-e Hawa Ne Vaañ Kiya Har Ghunche Ka Band-e Qaba
Bulbul Ye Karti Hai Sada Ab Maiñ Huñ Aur Sahr-e Chaman

 

Abr-e Bahaarañ Jaa-Ba-jaa Chhidkaao Sa Karne Lagi
BadLi Gulistañ Ki Hawa Har Nakhl Aur Phoola Phala

Jañ Jaan o Dil Ho Mubtala Massaat Ban Ban Kar Saba
Suljhati Hai Sub’h o Masa Sumbul ki Zulf-e Pur-Sikan

 

Gul Hai Yahi Har Chaar Su Aata Hai Ab Wo Maah-Ru
Karte Haiñ Jiski Guftgu Paimane Se Mil Kar Sagu

Matlab Se Mil Kar Aab-e Juu
Sabzi Se Mil Kar Aab-e Joo
Nasri Se Mil Kar Nastaran

 

Sooñghe Jo Phooloñ Ki Mahak
Behosh Hoñ Hoor o Malak

Dekheñ Jo Ghuncho Ki Chamak
Jal Jaaye Anjum Ki Palak

Barq-e Tajalla Ki Jhalak
Roz-e Azal Se Ab Talak

 

Agaah Na Tha Jis Se Falak
Dekheeñge Ab Sab Mard o Zan

Haañ Mahfil-e Meelaad Hai
Waqt-e Mubarak Baad Hai

Jibreel Ko Irshad Hai
Mash’hoor Kar Do Ye Sukhan

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Sochti Hai Dil Meiñ Duniyañ Noor-e Ahmad Dekh Kar
Wo Musavvir Kaisa Hoga Jiski Ye Tasveer Hai

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..
Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala ..

 

Aisa Nabi Humne Dekha Na Bhaala
Jiskne Kiya Dono Jag Meiñ Ujala

Husn ki Intaha Bhi Tum

Husn Ki Intaha .. Kamli Waale ..
Husn Ki Intaha .. Kamli Waale ..

 

Ishq Ki Ibtada Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum
Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Har Ek Shay Meiñ Jalwa-Numa Haiñ Muhammad ﷺ
Mohammad ﷺ Khuda Haiñ Khuda Hai Mohammad ﷺ

Mera Deen o Imaan Kaaba Wa Qibla
Mera Yaar Sallay Ala Hai Muhammad ﷺ

Haqeeqat Mein Haq Hai Woh Lekin Shara Meiñ
Na Haq Hai Na Haq Se Juda Hai Mohammad ﷺ

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Ahmad Haiñ Ahad, Hai Ahad Ahmad
Hai Ahad Ahmad, Ahmad Haiñ Ahad

Zaahir Meiñ Had, Baatin Behad
Shaan-e Wahdat, Shakl-e Bashri

 

Kun Innama Ana Bashrum Mislokum Yuha ilaiyya
قُلْ إِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ مِّثْلُكُمْ يُوحَىٰ إِلَيَّ (القرآن‎)

Shaan-e Wahdat, Shakl-e Bashri
Wo Aur Nahi, Haq Aur Nahi

 

Hai Wujood Muhammad ﷺ Jag Sara
Wahdad Se Le Taa Taht-e Saraa
Wahdad Meiñ Samaati Kab Hai Duyi
Wo Aur Nahiñ Haq Aur Nahiñ

 

Kahne Do Raaz Khud Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Mohammad ﷺ Aur Aadam Ka Ta’alluk Is Se Zahir Hai
Wo Lekar Ibtada Aaye Ye Lekar Intaha Aaye

 

Khudaayi Ki Takmeel Khairul Bashar Haiñ
Kamaal-e Khuda Hai Kamaal-e Mohammad ﷺ

Na Aadam Na Hawwa Na Duniya Na Uqba
Zahoor-e Do Aalam Jamaal-e Mohammad ﷺ

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Kahdooñ Ke Meri Aañkh Ne Kya Dekha Hai Har Dekhne Wale Se Juda Dekha Hai

Dekha To Bahut Kuchh Magar Itna Hai Yaad
Surat Mein Mohammad ﷺ Ki Khuda Dekha Hai

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Nishani Ishq Mein Mahboob Ki Mahboob Hoti Hai
Khuda Ne Paas Apne Rakh liya Saaya Mohammad ﷺ Ka

 

Meem-e Ahmed Meiñ Ahad Ki Zaat Parda-Posh Hai
Mustufa Ban Kar Khuda Khud Aap Kamli-Posh Hai

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum
Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Sattar Hazar Pardoñ Meiñ Tha Husn-e Mustatar
Phir Bhi Rukh-e Hadood Pe Jamti Na Thi Nazar
Ghash, Kar Na Jaaye Soorat-e Musa Koi Bashar
Hai Is Liye Wo Soorat-e Insaañ Liye Hue

 

Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Nishaañ Dekh Kar Be Nishaañ Tak Gaya Huñ
Makaañ Dekh Kar Laa Makaañ Tak Gaya Huñ

Na Sajda Na Saajid Na Masjood Koi
Maiñ Aise Bhi Sirr-e Nihaañ Tak Gaya Huñ

Tamaasha-e Kaun o Makaañ Maiñ Hi Maiñ Huñ
Jo Naazir Haiñ Nazreñ Ayaañ Maiñ Hi Maiñ Huñ

Maiñ Aap Apna Parda Huñ Parde Ki Khatir
Haqeeqat Mein Parda Kahañ Maiñ Hi Maiñ Huñ

 

Bas, Kahne Do Raaz Khul Gaya Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum …

 

Arsh Pe Kibriya Bhi Tum Farsh Pe Mustufa Bhi Tum
Duniyañ Meiñ Muddayi Bhi Tum Hashr Meiñ Mudda’aa Bhi Tum

 

Asif Hazar Jaan Se Tum Pe Farefta Hua
Mujh Se Mareez-e Ishq Ka Dard Bhi Tum Dawaa Bhi Tum

 

Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum.

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

4 thoughts on “Ishq Ki Ibtida Bhi Tum Husn Ki Intaha Bhi Tum”

  1. subhanallah subhanallah
    allah apko khush rakhe shad o aabad rakhe… bahot khoob sir… hum apke bahot shukr guzar hai ke ap ne is kalam ko itne saf tariqe se writing me kiye tahe dill se shukriyaa

    1. Alhamdulillah Izz-o-Jal, Durood ho aaq s.a.w. wa aap ki aal par.

      Allah hum aap sabko apni panaah me rakhe. Aur Allah kare un (s.a.w) se ishq ki ibtida ho hi jaaye!

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *