Ramzan Mera Mehman Lyrics | Aayat Arif

Ramzan Mera Mehman Lyrics by Aayat Arif

 

Mah-e-Karam, Mah-e-Ata
Mah-e-Nijaat, Mah-e-Jaza

 

Allah Jab Hua Mujhpe Meharban
To Usne Kar Diya Mujhpe Ehsaan
Ramzañ Ki Rounaqein Ho Gayin Mehman
Aur Ye Kehne Laga Har Nek Dil Insan

 

Ramzan… Mera Mehman
Ramzan… Mera Mehman

 

Ramzañ Ka Haq Hai Ke Ramzan Manaya Jaye
Na Ke Ramzan Ko Aise He Ghuzara Jaye
Roza Rakhne Ke Sahi Maqsad Ko Samjha Jaye
Apne Kirdar Ko Ramzañ Me Sudhara Jaye

 

Is Tarah Fayeda Kaise Dega Ramzan
Hathoñ Me Tasbiyañ Aur Dil Ho Be-Iman
Hote Hain Kuchh Nazar Aate Hain Kuchh Insan
Lekin Har Nek Dil Ka Hai Yehi Imaan

 

Ramzan…. Mera Mehman
Ramzan…. Mera Mehman

 

Ramzan Ik Achha Insan Bana Deta Hai
Aur Ye Sahib-e-Imaan Bana Deta Hai
Zindagi Mushkil Se Aasañ Bana Deta Hai
Aur Bakhshish Ka Ye Saman Bana Deta Hai

 

Aao Milkar Karen Ham Ik Naya Ailaan
Badlenge Dil Ko Ham Apne Is Ramzan
Apni Khush Qismati Aur Hai Allah Ki Shaan
Apne Ghar Aaya Hai Ye Har Mah Ka Sultan

 

Ramzan…. Mera Mehman
Ramzan…. Mera Mehman

 

Allah Jab Hua Mujhpe Meharban
To Usne Kar Diya Mujhpe Ehsaan
Ramzañ Ki Rounaqein Ho Gayi Mehman
Aur Ye Kehne Laga Har Nek Dil Insan

 

Ramzan Mera Mehman
Ramzan Mera Mehman

 

Mah-e-Karam, Mah-e-Ata
Mah-e-Nijaat, Mah-e-Jaza

Mah-e-Karam, Mah-e-Ata
Mah-e-Nijaat, Mah-e-Jaza

 

Allah Jab Hua Mujhpe Meharban
To Usne Kar Diya Mujhpe Ehsaan
Ramzañ Ki Rounaqein Ho Gayi Mehman
Aur Ye Kehne Laga Har Nek Dil Insan

 

Ramzan Mera Mehman
Ramzan Mera Mehman

 

Vocals: Aayat Arif
Written: Babu

 

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

Qawwali