Aao Quraan Parhain Lyrics

Aao Qur’aan Parhain Lyrics

 

 

Qur’aan Wo Kitab Hai
Jo Dars-e-inqilab Hai

Alif Se Allah
Be Bismillah
Qaff Se Qur’aañ Hai

Isko Samajh Kar
Dil Ko Samajhna
Kitna Aasañ Hai.

 

Aao Aao
Aao Qur’aan Padheñ
Aao Qur’aañ Padheñ

Aao Qur’aañ Padheñ
Aao Qur’aañ Padheñ

 

Jeena Hai Kaise Is Zindagi Ko
Ye Bhi Hameñ Batlata Hai
Padhne Se Isko Dukhi Diloñ Ka
Hausla Badhta Jata Hai
Raah Pe Iski Chaleñ Aao Ye Sabse Kaheñ

 

Aao Aao
Aao Qur’aan Padheñ
Aao Qur’aan Padheñ

Aao Qur’aan Padheñ
Aao Qur’aan Padheñ

 

Sab Pe Jo Hogi Rahmat Ko Samjhe
Zarf Kahañ Insan Me Hai,
Uski Khudayi Sari Ki Sari
Surah e Rahman Me Hai.

Aao Ise Padh Leñ
Aao Ise Samjheñ

 

Aao Aao
Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

 

Ye Mushkileñ Bhi Aur Ye Musibat
Door Gharoñ Se Rahti Haiñ,
Jinke Gharoñ Me Har Roz Ibadat, Roz Tilawat Hoti Hai
Aao Ye Roz Kareñ, Door Ghamoñ Se Rahen

 

Aao Aao
Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

 

Aaas Anaas Bhi Dene Hamesha
Dil Ko Qarar Aa Jata Hai,
Koi Bhi Aayat Ya Koi Surah
Koi Jo Mujhko Sunata Hai.

Kuch Bhi Kar Na Sake
Aao Qur’aañ Sune
Aao Qur’aañ Padhen

 

Aao Aao
Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

Aao Qur’aan Padhen
Aao Qur’aan Padhen

 

Alif Se Allah
Be Bismillah
Qaff Se Qur’aañ Hai

Isko Samajh Kar
Dil Ko Samajhna
Kitna Aasañ Hai

Aao Aao

 

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

Qawwali