Raaz-e Wafa Ko Faash Sar-e Aam Kar Diya Qawwali Lyrics
Woh Haseen Zulf Bikhri To Mahak Gayiñ Fizaayeñ
Woh Nigaah-e Naaz utThi To Sañwar Gaya Zamaana
Mere Zarf Ko Samajh Kar Zara Bijliyañ Girana
Mujhe Taab Ho Jahañ Tak Wahañ Tak Naqaab Uthana
Mujhe Iska Gham Nahin Hai Jo Badal Gaya Zamana
Meri Zindagi Hai Tumse Kahiñ Tum Badal Na Jana
Wo Giraaye Jaayeñ Bijli Main Isi Ada Pe Khush Huñ
Tere Pass Bijliyañ Hai Mere Pass Aashiyana
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayi Zamane Ko
Raaz-e Wafa Ko Faash Sar-e Aam Kar Diya
Raaz-e Wafa Ko Faash Sar-e Aam Kar Diya
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Aañkh kambakht se us bazm mein aañsu na ruk saka
Ek qatre ne duboya mujhe dariya ho kar
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Humne chhupayi lakh mohabbat na chhup saki
Aañkhoñ Ne ro ke yaar se izhaar kar diya
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Na rukte hain aañsoo na thamTe haiñ naale
Kaho koi kaise mohabbat chhupa le
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Kare kya koi wo jo aayeñ yaka-yak
Nigaahoñ ko roke ya dil ko sambhale
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Chaman wale bijali se bole na chaale
Ghareeboñ ke ghar be-khata phooñkh daale
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Qayamat haiñ zalim ki neechi nigaaheñ
Khuda jaane kya ho jo wo nazr utha de
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Mere ashkoñ ne hi bah kar rakh diya sab raaz-e dil
Varna maiñ chahta tha mera raazdañ koi na ho
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya..
Raaz-e Wafa Ko Faash Sar-e Aam Kar Diya
Ashkoñ Ka Ho Bura Hameñ Badnaam Kar Diya
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Woh jo ban sawar ke aa gaye bazm-e naaz meiñ
Baithe bithaaye hashr ka samaan ho gaya
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Jo phañsa phir usne na rehaayi maañgi
Teri zulfoñ ne ajab jaal bichha rakha hai
Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Daanishta Hamne Dil Ko Tah-e Daam Kar Diya
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Kali kali zulfoñ ke phande na daalo
Hameiñ zinda rahne do aye husn waalo
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Ek dil hi nahin is bazm mein ham
Na jaane kya kya bhool gaye
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Ham hosh bhi apna bhool gaye
Imaan bhi apna bhool gaye
Ek dil hi nahin is bazm mein ham
Na jaane kya kya bhool gaye
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Deewana banaa dala mastana banaa dala
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Itni zalim na bano are kuchh murawwat seekho
Tum par marte hain to fir maar hi daaloge (kya)
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Zulf maahi de pech anokhe
Mainu kheeñch gaye vich pechaañ
Pechaañ de vich aisi peechi
Mainu heñch samajh leya hechaañ
Dardiyaañ phul pech na jaawan
Nit pech de peche pechaañ
Sardar je yaar mile chind pat de
Haañ chind hoke dede pechaañ
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Sardar Je yaar mile chind pat de
Main chind hoke dede pechaañ
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Ye zaruri hi nahin teri soorat ko hi dekheñ
Marne waale teri tasveer pe mar jaate haiñ
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ ..
Aisi Thi Kuchh Kashish Teri Zulfoñ Ke Jaal Meiñ
Daanishta Hamne Dil Ko Tah-e Daam Kar Diya
Ye sochda hi sochda Kaabe to mud peyañ
Daanishta Hamne Dil Ko Tah-e Daam Kar Diya..
Kitni Duaaeñ Dooñ Teri Zulf-e Daraaz Ko
Kitni Duaaeñ Dooñ Teri Zulf-e Daraaz Ko
Baañt Raha Tha Jab Khuda
Baañt Raha Tha Jab Khuda
Baañt raha tha jab Khuda saare jahañ ki ne’mateiñ
(To) apne Khuda se maañg li maine teri wafa Sanam
Kitni Duaaeñ Dooñ Teri Zulf-e Daraaz Ko
Kitna Wasee Ye Silsila-e Daam Kar Diya
Wo Chashm-e Mast Kitni Khabardaar Thi Suno
Khud Hosh Meiñ Rahi Hameñ Badnaam Kar Diya
Ye Dil-Nawaz Soorat Aur Shewa-e Sitam
Ai Ishq Toone Husn Ko Badnaam Kar Diya
Jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
Ai ishq ab to ham tere qabil nahi rahe
Ai Ishq Toone Husn Ko Badnaam Kar Diya..
(Ham) Dil Ke Kuchh Bure To Na Thei Dosto Magar
Rangeeni-e Majaaz Ne Badnaam Kar Diya
Unke teer-e nazar ka kya kahna
Rangeeni-e Mijaaz Ne Badnaam Kar Diya..
Rukh pe padti hai kabhi shaanoñ pe lahraati hai
Toone zulfoñ ko bahut sar pe chadha rakha hai
Rangeeni-e Majaaz Ne Badnaam Kar Diya..
Aaya Khayaal Tak Na Gham-e Rozgaar Ka
Ai Dard-e Yaar Toone Bada Kaam Kar Diya
Sajde meiñ pade arsh-e ula dekh rahe hain
Ai Dard-e Yaar Toone Bada Kaam Kar Diya..
Diya Dard jo toone wo laa dawa hai
Ye tera karam hai ye teri ataa hai
Ai Dard-e Yaar Toone Bada Kaam Kar Diya..
Mujhe dard dene wale teri banda parwari hai
Ai Dard-e Yaar Toone Bada Kaam Kar Diya..
Sajid Kuchh Ham Se Unki Gali Door To Na Thi
Sajid Kuchh Ham Se Unki Gali Door To Na Thi
Gali koo-e jaana ki ai dil yahi hai
Loote ham jahañ par wo manzil yahi hai
Sajid Kuchh Ham Se Unki Gali Door To Na Thi
Lekin Shakista-Paayi Ne Naa Kaam Kar Diya
Raaz-e Wafa Ko Faash Sar-e Aam Kar Diya
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
Excellent sufi poetry, feel like listening to again and again