Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain Lyrics

Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain Lyrics Mesum Abbas

 

Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

 

Mohabbaton Ki Inteha
Hai Tujhse Ibne Syeda
Hamari Ruh Me Basa
Ajab Hai Rishta e Wafa
Hai Tera Ishq Imtehan
Nisar Tujhpe Do Jahan
Kahain Zamin o Aasman
Ye Tifl Peer Aur Jawan

 

Jab Talak Sans Chale, Ye Azadari Rahe
Gham e Hayaat Ka Hai Tu Hi Nasbulain

Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Karte Rahen Ahle Aza Bus Yehi Elaan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

100 Baar Agar Zindagi Mile
100 Fida Tujhpe Ya Hussain

 

Jaan Fida Karne Ko Tayyar Rahenge
Majlis o Matam Ke Talabgaar Rahenge
Zehra Ke Bachhon Se Wafadar Rahenge

 

Tune Kiya Aisa Kaam, Ya Hussain, Ya Hussain
Tujhpe Durood o Salam Ya Hussain, Ya Hussain
Teri Mohabbat Me Giriftar Rahenge

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Karte Rahen Ahle Aza Bus Yehi Elaan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Tere Azadar To Zehra Ki Dua Hain
Jaan Hatheli Pe Rakhen Mahve Buka Hain
Mola Tere Naam Pe Ma Baap Fida Hain

Fakhr Se Kahte Hain Ham, Ya Hussain, Ya Hussain
Jab Bhi Sajayen Alam Ya Hussain, Ya Hussain
Saya Figan Dast e Alamdar e Wafa Hai

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Ab Ye Qadam Rok Nahi Payenge Toofan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

100 Baar Agar Zindagi Mile
100 Fida Tujhpe Ya Hussain

 

Binte Nabi Aati Hain Jab Farsh e Aza Par
Jaati Hain Wo Ashkoñ Ko Rumaal Me Lekar
Maatmi Halqon Ko Dua Deti Hain Ro Kar

 

Kitna Bada Martaba, ya Hussain, ya Hussain
Ahle Aza Ko Mila ya Hussain, ya Hussain
Aa Gayi Beshakhta Ye Baat Zabañ Par

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Padhte Rahen Ham Bhi Aqidat Se Ye Farman
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Ya Aba Abdillah
Ya Aba Abdillah
Ya Aba Abdillah

Silmun Liman Salamakum
Harbun Liman Harabakum
Silmun Liman Salamakum
Wa Harbun Liman Harabakum

 

Ham Uspe Fida Hain Jo Tujhpe Fida Hai
Ham Ho Gaye Uske Jo Tera Hua Hai
Tafseer e Kisa Hai Khaliq Ne Kaha Hai
Shabbir Ka Dushman, Dushman Hi Mera Hai

Mere Sayed Meri Jaan, Ya Hussain, Ya Hussain
Deen Ke Rooh e Rawan Ya Hussain, Ya Hussain
Ye Sabhi Arzo Sama Hain Tere Madha Sara

Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Hamne Zamane Ko Yehi Dars Diya Hai
Ishq Ho Gar Aale Nabi Se To Maza Hai
Hurr Ki Jo Manzil Hai Aqidat Ka Sila Hai

Kal Tha Bashar Wo Bhi Aam ya Hussain, ya Hussain
Aaj Alaihissalam, ya Hussain, ya Hussain
Baad Shahadat Bhi Yehi Hurr Ne Kaha Hai

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Poora Kiya Hamne Dil e Zehra Ka Arman
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

100 Baar Agar Zindagi Mile
100 Fida Tujhpe Ya Hussain

 

Kaise Bhala Haq Ka Bayan Rok Sakegi
Kaise Mohabbat Ki Zabañ Rok Sakegi
Kya Tere Nauhon Ki Azan Rok Sakegi

Rah Me Deewar hai ya Hussain, ya Hussain
Tere Azadar Hain ya Hussain, ya Hussain
Duniya Tere Gham Ko Kahan Rok Sakegi

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Teri Aza Teri Wila Markaz e Imaan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

Taziya, Taboot, Alam Aur Amari
Zinda Juloosoñ Me Hai Tahzeeb Hamari
Raah Me Har Simt Sabilain Bhi Hain Jaari

 

Jaise Bhi Halaat Hon ya Hussain, ya Hussain
Lakh Sawalaat Hon ya Hussain, ya Hussain
Rasm e Aza Hain Ye Hamen Jaan Se Pyari

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Bas Ye Rasumaat Shafat Ka Hain Saman
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

100 Baar Agar Zindagi Mile
100 Fida Tujhpe Ya Hussain

 

Qala Rasoolallah (s.a.w)
Inna al-Husayn Misbah al-Huda Wa-safinat al-nijat

 

Qaul e Nabi Aala Sifaat
Kaisi Mukammal Hai Ye Baat
Tu Hi Hidayat Ka Charagh
Tu Hi Safina e Nijaat
Tu Hi Rasta, Tu Hi Manzil, Tu Hi Rahnuma
Ye Karoro Tere Zair Dai Rahe Hain Ye Sada
Arbaeen Ke Ye Manazir Bar Sar e Karbobala
Tere Parcham Ko Uthaye Hain Sabhi Mehv e Buka

 

Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Tere Sab Ashab Mawadat Ke Musafir
Apna Watan Chhor Ke Aaye Teri Khatir
Dasht e Bayabaan Me Sabhi Ho Gaye Hazir

Sahib e Imaan Hai ya Hussain, ya Hussain
Ishq pe Qurban Hai ya Hussain, ya Hussain
John Zubair Aur Habib Ibn e Mazahir

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Sab Ke Laboñ Par Hai Yehi Sada Barsar e Maidan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

100 Baar Agar Zindagi Mile
100 Fida Tujhpe Ya Hussain

 

Ek Ke Baad Ek Gaye Sir Ko Katane
Tune Kharidi Jo Zamin Usko Sajane
Jab Tu Gaya Lashon Ko Maidan Se Uthane

Lashon Ne Ro Kar Kaha ya Hussain, ya Hussain
Dijiye Mola Dua Ya Hussain, Ya Hussain
Karbobala Aaye The Ham Wada Nibhane

 

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Sunte Hain Lashon Ki Sada Syed e Zeeshan
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

Kaise Masaib Hain Suno Mesum o Mazhar
Akbar o Abbas Hun Ya Qasim o Asghar
Aun o Muhammad Hon Ya Muslim Ke Do Dilbar

 

Sab The Gharibul Watan ya Hussain, ya Hussain
Khak Pe The Bekafan Ya Hussain, ya Hussain
Kahta Tha Shabbir Se Har Lasha e Be Sar

Jab Tak Jiyenge Tujhpe Marenge
Mola Tere Baad Nahin Jine Ka Arman
Qurban Dil o Jaan Mere Mola Hussain

 

Recited by: Mesum Abbas

 

Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Mola Ali As Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir