Qissa e Gham Na Chhediye Yaar Ki Bazm Yaar Meiñ Lyrics
Chhid gaye saaz e ishq ke gaane
Khul gaye zindagi ke Maikhane
Tu kabhi bijliyoñ se khela hai?
Tu kisi ki nagaah kya jaane!
Lab pe aaheñ nahi, shikwa nahi, faryad nahi
Dekhna zulm! ke is zabt ki kuchh daad nahi.
Yaas o gham deke, dil e zaar se qismat ne kaha
Phir na karana ye shikayat ke maiñ aabaad nahi.
Naala keeje to mohabbat ki hatak hoti hai
Zabt keeje to kaleje mein sisak hoti hai.
Baat kah dooñ to baat jaati hai
Chup rahuñ gar to raat jaati hai.
Qissa e Gham Na Chhediye Yaar Ki Bazm Yaar Meiñ
Qissa e Gham Na Chhediye Yaar Ki Bazm Yaar Meiñ
Jo dekha hai unse na kahna payami
Ye be tabiyañ meri unse na kehna
Wo jis dam sunega to pareshan hoga..
Qissaa e Gham Na Chhediye Yaar Ki Bazm Yaar Meiñ
Chhidte Hi Aag Lag Gayi Soz e Niyaz o Naaz Meiñ.
Husn Ne Jab Nigaah Ki Ishq Ne Sar Jhuka Liya
Isme Bhi Koi Raaz Tha Naaz Me Aur Niyaz Me.
Teri Nigaah e Mast Mein Aisa Tha Kaif e Be Khudi
Jab Se Teri Nazar Padi Ji Na Laga Namaz Me.
Kuchh Bhi Kaha Kare Koi Apna To Qaul Hai Yehi
Aisi Namaz Ko Salam, Tu Na Ho Jis Namaz Me.
Sab Dafn Kar Ke Aa Gaye Mujh Ko Azeez o Akraba
Wo Ye Hi Poochhte Rahe Der Hai Kya Namaz Mein!
Aise Naseeb The Kahañ Peete Jigar Jo Maikada
Thokreñ Khaane Aaye The Yaar Ki Bazm e Naaz Mein.