Main khud se kuchh bhi nahi hun lyrics

Main khud se kuchh bhi nahi hun lyrics

 

Ye meem, ha, meem, daal milkar ada huye
Toh zaban boli muhammad s.a.

Tera tasvvur hai ek zarre ko,
jo sitara bana raha hai
Main khud se kuchh bhi nahin hun aaqa
Tera karam jagmaga raha hai

 

Hamare raste na mit sakenge
Hamari manzil hai shahre taiba
Zamana thokar laga raha hai
Madine wala chala raha

 

Deewana chup rahta hai
Kahta hai to ye kahta hai
Main khud se kuchh bhi nahin hun aaqa
Tera karam jagmaga raha hai

 

Ye meem ha meem daal milkar ada huye
Toh zaban boli muhammad s.a.
Mere nabi ka hai naam pyara
Jo muh ki lazzat badha raha hai

 

Main Ek bachha tha meri maa ne
sikhaya tha jab Durood padhna
Har ek mushkil me ye wazifa
Abhi talak kaam aa raha hai

 

Ye mujh gunahgar ka muqaddar
Kahan main qatra kahan samandar
Tera karam hi zamane bhar me
Ye khota sikka chala raha

 

Ye hi mohabbat ki hai bulandi
Ye hi hai nisbat ki kaamyabi
Khuda use de raha hai sab kuchh
Jo tujh pe sab kuchh luta raha hai

 

Wo naam jiska wasila paa kar
Duaein aadam suni gayin thi
Wo naam e naami gunahgaran e
Hashr ke kaam aa raha hai

 

Gunahgaron ko dhoondte hai
Khuda e kahaar ke farishte
Mera nabi hai jo apni chadar
me Paapiyon ko chhupa raha hai

 

Yaqeen dila kar ham aashiqon ko
Chale hain khadim hussain razvi
Khuda use bakhshta hai izzat
Jo tujh pe izzat luta raha hai

 

Naat Khwan: Ghulam noore mujassam


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *