Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahi Hai Qawwali Lyrics
Qawwal: Rahat Fateh Ali Khan
Poet: Hazrat Dr. Allama Iqbal
| हिन्दी लिरिक्स |
Wo Harf-e-Raaz Ke Mujhko Sikha Gaya Hai Junooñ
Khuda Mujhe Nafas-e-Jibraeel De To Kahuñ
Sitara Kya Meri Taqdeer Ki Khabar Dega
Wo Khud Firaaqi-e-Aflaak Meñ Hai Khar-o-Jubooñ
Hayat Kya Hai Khayal-o-Nazar Ki Majzoobi
Khudi Ki Maut Hai Andesha-Haaye-Goo-naagooñ
Ajab Maza Hai Mujhe Lazzat-e-Khudi Dekar
Wo Chaahte Haiñ Ke Maiñ Apne Aap Meñ Na Rahooñ
Zameer-Paak-o-Nigaah-e-Buland-o-Masti-e-Shauq
Na Maal-o-Daulat-e-Kaarooñ, Na Fiqr-e-Aflaatooñ
Sabaq Mila Hai Ye Me’raaj-e-Mustafa Mujhe
Ke Aalam-e-Bashariyat Ki Zad Meñ Hai Gardooñ
Ye Kaayenaat Abhi Na-Tamaam Hai Shayad
Ke Aa Rahi Hai Dama-Dam Sadaa-e-Kun-Faya-Kooñ
Iilaaj Aatish-e-Rumi Ki Shour Meñ Hai Tera
Teri Khirad Pe Hai Ghalib Firangiyoñ Ka Fusooñ
Tera Andesha Aflaaki Nahiñ Hai
Teri Parwaaz Laulaaki Nahiñ Hai
Ye Maana Asl Shaaheeni Hai Tera
Teri Aañkhoñ Me Bebaaki Nahiñ Hai
Main Lyrics,________________
Dil Soz Se
Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahiñ Hai
Dil Soz Se Khaali Hai Nigeh Paak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai

Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Beee..baaa..k Nahiñ Hai

Aaa..
Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahiñ Hai
Pa Ni Sa Re Ga, Ma Re Ga, Re Ni Sa Ni Pa Ga, Ma Pa, Ga Ma Re Sa Re Pa
Dil Soz Se Khaali Hai Nigeh Paak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Mohabbat Ka Junooñ
Mohabbat Ka Junooñ Baqi Nahiñ Hai
Musalmaanoñ Meñ Khooñ Baqi Nahiñ Hai
Safi Kaj, Dil Pareshaañ, Sajda Be-zauk
Ke Jazb-e-Andarooñ Baaqi Nahiñ Hai
Dil Soz Se Khaali Hai Nigeh Paak Nahi Hai
Aaa…
Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahiñ Hai
Phir Isme..
Tera Tan Rooh Se Na Aashna Hai
Ajab Kya Aah Teri Na Rasaañ Hai
Tan-e-Be-Rooh Se Be-zaar Hai Haq
Khuda-e-Zinda, Zindoñ Ka Khuda Hai
Dil Soz Se Khaali Hai Nigeh Paak Nahi Hai
Ragoñ Meñ Wo Lahoo Baqi Nahiñ Hai
Wo Dil Wo Aarzoo Baqi Nahiñ Hai
Namaaz-o-Roza-o-Qurbani-o-Haj
Ye Sab Baqi Hai, Tu Baqi Nahiñ Hai
Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahi Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaaq Meñ Pinha

Hai Zauq-e-Tajalleeeee …..
Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaaq Meñ Pinha
Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaaq Meñ Pinha
Isi Khaaq Meñ Pinha
Isi Khaaq Meñ Pinha
Ghaafil Tu Mera Saahib-e-Idraak Nahiñ Hai
Ghaafil Tu Mera Saahib-e-Idraak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Ghaafil Tu Mera Saahib-e-Idraak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
(Sargam)

Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki

Kya Sufi-o..
Aaa..
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Wo Sufi Jo Tha Khidmat-e-Haq Meiñ Mard
Mohabbat Me Yakta, Hameeyat Meñ Fard
Ajam Ke Khayalaa Meñ Kho Gaya
Ye Saalik, Maqaamaat Meñ Kho Gaya
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Aaa….

Musalmaañ Hai Tauheed Meñ Garm-Josh
Magar Dil Abhi Tak Hai Zunnar-Posh
Tamaddun, Tasawwuf, Shareeyat, Kalaam
Butaan-e-Ajam Ke Pujaari Tamaam
Haqeeqat Kharafaat Meñ Kho Gayi
Ye Ummat Rawayaat Meñ Kho Gayi
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Kya Sufi-o
Aaa…
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Lubhata Hai Dil Ko Kalaam-e-Khateeb
Magar Lazzat-e-Shauk Se Be-Naseeb
Bayañ Iska Mantak Se Suljha Hua
Lughat Ke Bakhedoñ Meiñ Uljha Hua
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Aaa…
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Baayaz Kamaal-e-Tarq Se Milti Hai Yaañ Muraad
Baaaa…..yaz
Baayaz Kamaal-e-Tarq Se Milti Hai Yaañ Muraad
Duniya Jo Chhod Di Hai To Uqba Bhi Chhod De
Sauda Gari Nahiñ Ye Ibaadat Khuda Ki Hai
Ae Be Khabar Jaza Ki Tamanna Bhi Chhod De
Kalaam Kya? Jo Na Ho Dil Mein Aajzoo
Bismil Nahiñ Hai Tu, To Tamanna Bhi Chhod De
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
(Sargam)
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Shikaayat Hai Mujhe Ya Rab Khuda-bandaan-e-Maqtab Se
Sabaq Shaheeñ Bachchoñ De Rahe Hain Khak Baazi Ka
Kya Sufio Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Aaa….
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Aaa..
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Na Momin Hai, Na Momin Ki Ameeri
Raha Sufi, Gayi Raushan Jameeri
Khhuda Se Phir Wahi Qalb-o-Nazar Maañg
Nahiñ Mumkin Ameeri Be-Faqeeri
Kya Sufio Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Aaa..
Kya Sufi-o-Mulla Ko Khabar Mere Junooñ Ki
Khabar Mere Junooñ Ki
Khabar Mere Junooñ Ki
Unka Sir-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahiñ Hai

Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ

Kab Tak Rahe Mahkoomi-e-Anjum Meiñ Meri Khaak
Kab Tak Rahe Mahkoomi-e-Anjum Meñ Meri Khaak
Anjum Meiñ Meri Khaak
Anjum Meiñ Meri Khaak
Ya Maiñ Nahiñ, Ya Gardish-e-Aflaak Nahiñ Hai
Ya Maiñ Nahiñ, Ya Gardish-e-Aflaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Ya Maiñ Nahiñ, Ya Gardish-e-Aflaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebaak Nahiñ Hai
Bijli Hooñ! Nazar Koho Bayaabaañ Pe Hai Meri

Bijli Hooñ! Nazar, Bijleee……
Bijli Hooñ! Nazar Koho Bayaabaañ Pe Hai Meri
Bayaabaañ Pe Hai Meri
Bayaabaañ Pe Hai Meri
Mere Liye Shaayaañ Khaas-o-Khashaak Nahiñ Hai
Mere Liye Shaayaañ Khaas-o-Khashaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Mere Liye Shaayaañ Khaas-o-Khashaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaañbaaz Ki Miraas

Aaaaaa…..lammmmmmm…..
Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaañbaaz Ki Miraas
Aaaa..
Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaañbaaz Ki Miraas
Aalam, Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaañbaaz Ki Miraas
Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaañbaaz Ki Miraas
Jaañbaaz Ki Meeraas
Jaañbaaz Ki Meeraas
Momin Nahiñ Jo Saahib-e-Laulaak Nahiñ Hai
Momin Nahiñ Jo Saahib-e-Laulaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Momin Nahiñ Jo Saahib-e-Laulaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Momin Nahiñ Jo Saahib-e-Laulaak Nahiñ Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebak Nahiñ Hai
Dil Soz Se Khali Hai Nigeh Paak Nahi Hai
Phir Isme Ajab Kya Ke Tu Bebaaaak Nahiñ Hai…
More Qawwalis From:
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |