Pul Say Utaaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho
Pul Say Utaaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Raza Attari, Khwaja Gulam Sarwar, Manzar Alahabaadi, Muhammad Mushtaq Attari.
Hadaaiqe Bakhshish part 1
पुल से उतारो राह गुज़र को ख़बर न हो
जिब्रील पर बिछाएं तो पर को ख़बर न हो
Pul Say Utaaro Rah Guzar Ko Khabhar Na Ho
Jibreel Par Bichaaye(n) To Par Ko Khabhar Na Ho
कांटा मेरे जिगर से ग़मे रोज़गार का
यूं खींच लीजिये कि जिगर को ख़बर न हो
Kaantaa Mere Jighar Se Gham e Rozgaar Ka
Yun Kheench Leejiye Ke Jigar Ko Khabhar Na Ho
फ़रियाद उम्मती जो करें ह़ाले ज़ार में
मुम्किन नहीं कि ख़ैरे बशर को ख़बर न हो
Fariyaad Ummati Jo karen Haal e Zaar Mein
Mumkin Nahin Ke Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho
कहती थी यह बुराक़ से उस की सबुक-रवी
यूं जाइये कि गर्दे सफ़र को ख़बर न हो
Kahti Thi Yeh Buraaq Se Uski Sabuq-Ravi
Yun Jaiye Ki Gard e Safar Ko Khabhar Na Ho
फ़रमाते हैं यह दोनों हैं सरदारे दो जहां
ऐ मुर्तज़ा ! अ़तीक़ो उ़मर को ख़बर न हो
Farmaate Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jaha(n)
Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho
ऐसा गुमा दे उन की विला में ख़ुदा हमें
ढूंढा करे पर अपनी ख़बर को ख़बर न हो
Aisa Gumaa De Un Ke wilaa Me Khuda Hamein
Dhoondhaa Kare Par Apni Khabhar Ko Khabhar Na Ho
आ दिल ! ह़रम को रोकने वालों से छुप के आज
यूं उठ चलें कि पहलूओ बर को ख़बर न हो
Aa Dil ! Haram Ko Rokne Waalo(n) Se Chhup ke Aaj
Yun Uth Chale(n) Ki Pahlu o Bar Ko Khabar Na Ho
त़ैरे ह़रम हैं यह कहीं रिश्ता बपा न हो
यूं देखिये कि तारे नज़र को ख़बर न हो
Tere Haram Hein Yeh Kahin Rishta Bapa Na Ho
Yun Dekhiye Ki Taare Nazar Ko Khabar Na Ho
ऐ ख़ारे त़यबा ! देख कि दामन न भीग जाए
यूं दिल में आ कि दीदए तर को ख़बर न हो
Ey Khaar e Taibah! Dekh Ke Daaman Na Bheeg Jaye
Yun Dil Mein Aa, Ki Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho
ऐ शौक़े दिल ! यह सज्दा गर उन को रवा नहीं
अच्छा ! वोह सज्दा कीजे कि सर को ख़बर न हो
Ey Shauq e Dil ! Yeh Sajdah Gar Un Ko Ravaa Nahi
Achha ! Woh Sajda KiJey Ki Sar Ko Khabhar Na Ho
उन के सिवा रज़ा कोई ह़ामी नहीं जहां
गुज़रा करे पिसर पे पिदर को ख़बर न हो
Un ke Siwaa RAZA Koi Haami Nahin Jaha(n)
Ghuzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabhar Na Ho
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
| Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |