Niha Jis Dil Me Sarkar E Do Aalam Ki Mohabbat Hai

Niha Jis Dil Me Sarkar E Do Aalam Ki Mohabbat
Niha Jis Dil Me Sarkar E Do Aalam Ki Mohabbat

Niha Jis Dil Me Sarkar E Do Aalam Ki Mohabbat Hai Naat Lyrics

निहां जिस दिल में सरकारे दो आ़लम की मुहब्बत की है

Shayar: Akhtar Raza Khan  || Naat e Paak

Naat Khwan: Abdul Mustafa Razvi Adoni, Sayed Abdul Wasi, Wasim Akram Qadri Rizvi, Muzammil Owaisi, Mubarkpuri, Mughees Raza Qadri,

 

निहां जिस दिल में सरकारे दो आ़लम की मुहब्बत की है

वो ख़लवत ख़ानए मौला  है वो दिल रश्के जन्नत है

Niha Jis Dil Me Sarkar E Do Aalam Ki Mohabbat Hai

Wo Khalwat Khaana E Moula Hai Wo Dil Rashke Jannat Hai

 

ख़लाइक़ पर हुई रौशन अज़ल से ये हक़ीक़त है

दो आलम मे तुम्हारी सलतनत है बादशाहत है

Khalaiq Par Hui Roushan Ajal Se Ye Haqeeqat Hai

Do Aalam Me Tumhari Saltanat Hai Baadshahat Hai

 

खुदा ने याद फ़रमाई क़सम खाके कफ़े पा की !

हुआ मालूम तैबा को दो आ़लम पर फ़ज़ीलत है

Khuda Ne Yaad Farmaai Qasam Khaake Kafe Paaki !

Hua Maaloom Taiba Ko Do Aalam Par Fajilat Hai

 

सिवाए मेरे आक़ा के सभी रिश्ते तो फ़ानी हैं

वो क़िस्मत का सिकन्दर है जिसे आक़ा से निस्बत है

Siwaye Mere Aaqa Ke Sabhi Rishte To Faani Hein

Wo Qismat Ka Sikandar Hai Jise Aaqa Se Nisbat Hai

 

यही कहती है रिन्दों से निगाहे मस्त साक़ी की

दरे मैख़ाना वा है मैकशों की आ़म दावत है

Yahi Kahti Hai Rindo(N) Se Nigaahe Mast Saaqi Ki

Darey Maikhana Wa Hai Maikasho(N) Ki Aam Daawat Hai

 

ग़मे शाहे दना में मरने वाले तेरा क्या कहना

तुझे ला यह़्ज़नू की तेरे मौला से बशारत है

Gham E Shahe Dana Me Marne Waale Tera Kya Kahna

Tujhe Laa Yahzanoo Ki Tere Moula Se Basharat Hai

 

उठे शोरे मुबारकबाद उन से जा मिला अख़्तर

ग़मे जाना में किस दर्जा हसीं अन्जामे फ़ुरक़त है

Uthe Shore Mubarakbad Un Se Ja Mila Akhtar

Gham E Jana Me Kis Darja Hasi(N) Anjaame Furqat Hai

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *