Nabi Ka Ishq Mila Saari Kaayenaat Mili Naat Lyrics

Nabi Ka Ishq Mila Saari Kaayenaat Mili Naat e Paak Lyrics in Hindi and English

Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’


اردو لرکس کے لئے یہاں ٹچ کریں

Nabi ﷺ Ka Ishq Mila Saari Kaayenaat Mili
Dil o Nigaah Ko Ik Jaawidaañ Hayat Mili
नबी ﷺ का इश्क़ मिला सारी काएनात मिली
दिलो निगाह को इक जाविदां हयात मिली।

 

Mile Huzur, Mataa-e Tajalliyaat Mili
HaseenTar Hameñ, IK Aur Kaayenaat Mili
मिले हुज़ूर, मता ए़़ तजल्लियात मिली
हसीन तर हमें इक और कायनात मिली।

 

Har Ek Fikr Se, Har Gham Se, Ho Gaye Aazad
Hisaab e Sood o Zayaañ Se Humeiñ Nijaat Mili
हर एक फ़िक्र से, हर ग़म से, हो गए आज़ाद
हिसाब ए सूद ओ ज़यां से हमें निजात मिली।

 

Jamaal e Gumbad e Khazra Se Jo Nahiñ Ghaafil

Wahi Nazar To Humeñ, Jaame’uss Sifaat Mili
जमाल ए गुंबद ए खज़रा से जो नहीं गा़फ़िल
वही नज़र तो हमें जामेउस्सिफ़ात मिली।

 

Jahañ Meiñ Saare Haiñ Achchhoñ Ke Chaahne Wale
Gunaahgaaroñ Ki Haami, Tumhari Zaat Mili
जहां में सारे हैं अच्छों के चाहने वाले
गुनाहगारों की हामी तुम्हारी ज़ात मिली।

 

Sabhi Ko Dekha Hai, Ik Ik Ko Aazmaya Hai
Tumhari Yaad Magar Halle Mushkilaat Mili
सभी को देखा है, इक इक को आजमाया है
तुम्हारी याद मगर हल्ल ए मुश्किलात मिली।

 

Jahañ Meiñ Ghairat e Khursheed Ban Ke Chamka Hai
Woh Zarrah, Jis Ko Tere Husn Ki Zakaat Mili
जहां में गै़रत ए खुर्शीद बनके चमका है
वोह ज़र्रा जिसको तेरे हुस्न की ज़कात मिली।

 

Kisi Tarah Jo Añdheroñ Se Aashna Hi Nahi
BaYaad e Sarwar e Àalam Hameñ Woh raat Mili
किसी तरह जो अंधेरों से आशना ही नहीं
ब-याद ए सरवर ए आलम हमें वोह रात मिली।

 

Nabi ﷺ Ke Ishq Ka Faizaan e Khaas Hai Khalid
Woh Kaifiyat Jo Mujhe, Haasil e Sabaat Mili
नबी ﷺ के इश्क़ का फैज़ान ए ख़ास है ख़ालिद
वोह कैफियत जो मुझे हासिल ए सबात मिली।

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *