MUNAJAAT
Ya Khuda Taayab Ko Marziyaat Ki Taufeeq De
Aur Rakh Saabit Qadam Bhi Apni Ita-a’t Par Ise
Ho A’taa Ishq-o-Mohabbat Is Gadaa Ke Waaste
Aur Rakh Mahfooz Shirk-o-Maa’siyat Se Ai Khuda
Aur Kar Islaam-o-Eemaañ Par Tu Iska Khaatma
Apne Maqboolaan-e-Dargaahe U’la Ke Waaste
Ho Sukoon-e-Qalb Haasil Door Ho Har Intishaar
Shaikh Ki Taaleem Aur Talqeen Par Rakh Barqaraar
Rahmat-e-Àalam Mohammad Mustufaﷺ Ke Waaste
Hoñ Mire Makhhdoom-Zaade Saahib-e-Fazl-o-Sharaf
Kar Ba-Ausaaf-e-Kamaalaat-e-Do-Àalam Muttasaf
Tu Ho Unka Woh Raheñ Teri Àtaa Ke Waaste
Mere Ah’baab-e-Tareeqat Bhi Raheñ Aabaad-o-Shaad
Deen-o-Duniya Meñ Wa Eàjaaz-o-Kiraam-o-Ba-Muraad
Fazl Farmaa Jumla Ikhhwaan-us-Sifa Ke Waste
Mere Haq Meñ Jo Ho Marzi Maiñ Hooñ Raazi Ba-Raza
Marzi-e-Maula Hamah-Oola-Razeena Bil-Qaza
Tere Ghar Meñ Kya Kami Hai Mujh Gada Ke Waaste
Apne Maula Ke Qadam Ke Saaya Ke Neeche Jiyuñ
Aur Marna Ho To Inke Aastaane Par Marooñ
Zindagi Aur Maut Ho Inki Raza Ke waaste
Ta-Abad Maula Hamaare Shamm-e-Bazm-e-Jaañ Raheñ
Aur hum Sau Jaañ Se Parwaana Sifat Qurbaañ Raheñ
Kar àTaa Kokab Ko Sau Jaaneñ Fida Ke Waaste
Kar Àtaa Hum Sab Ko Sau Jaaneñ Fida Ke Waaste