Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari Lyrics

Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari Lyrics

मीलाद मुस्तफ़ा की पहचान हमारी

 

Marhaba, Marhaba, Marhaba, Marhaba
Aaye Nabi.. Aaye Nabi… Aaye Nabi
Aa gaye Mustafa, Aa gaye Mustafa

 

Sarkar Aaye Marhaba
Dildar Aaye Marhaba
Gham Khwar Aaye Marhaba
Lajpal Aaye Marhaba
Mukhtar Aaye Marhaba
Manthar Aaye Marhaba

Sarkar e Nabi, Dildar e Nabi,
Manthar e Nabi, Ghamkhwar e Nabi
Aamad e Mustafa Marhaba – Marhaba
Ae Habib e Khuda Marhaba – Marhaba

 

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari
Ye Naati Jhañde Aur Charghañ Bhi Ibadat
Karta Hai Rahnumayi Ye Iman Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari
Marhaba, Marhaba, Marhaba, Marhaba
Aaye Nabi, Aaye Nabi, Aaye Nabi

 

Sarkar e Do Aalam Ka Hai Ye Jashn e Wiladat
Ashab o Ahle Bait Ki Waliyoñ Ki Hai Sunnat
Karni Hai Badhke Jaañ Se Hameñ Iski Hifazat
Allah Ki Rahmat Hai Nigehban Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari
Aa gaye Mustafa…. Aa gaye Mustafa….

 

Ham Barweiñ Manana Bhala Kaise Chhor Deñ
Shaitan Ko Jalana Bhala Kaise Chhor Deñ
Ye Mahfileiñ Sajana Bhala Kaise Chhor Deñ
Ooñchi Jahañ Me Iske Sabab Shaañ Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari

Marhaba, Marhaba, Marhaba, Marhaba
Aaye Nabi, Aaye Nabi, Aaye Nabi

 

Wo Shirk Jo Batate Haiñ Milad e Nabi Ko
Ye Fikr Ki Daawat Hai Meri Aise Sabhi Ko
Milad Mustafa Ki Wiladat Ka Jashn Hai
Yani Ye Jashn Khatm e Nabuwat Ka Jashn Hai
Milad Kar Ke Shirk Ka Radd Hamne Kiya Hai
Wo Shirk Kaheñ Jiska Khuda Paida Hua Hai
Aao Milad Milke Manao Ae Momino
Sarkar Rab Nahiñ Ye Batao Ae Momino
Sab Chañd Ise Mahine Dar e Shah Pe Haaziri
Wo Aks Qadri Ho Ya Sheraz Qadri

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari

 

Maane Jo Kisi Aur Ko Paighmbar e Aakhir
Kitna Bhi Banke Phir Leñ Musalman Bazahir
Sarkar Ki Jo Khatam e Nabuwat Hai Munkir
Nazroñ Me Wo Nahiñ Hai Musalman Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari
Aa gaye Mustafa…. Aa gaye Mustafa….

 

Mohtajoñ Bekasoñ Ko Sada Seene Lagaya
Jo Roz Mar Rahe The Inhe Jeena Sikhaya
Har Abd Ko Maabood e Haqiqi Se Milaya
Sarkar Ne Kiñ Mushkileiñ Aasan Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari

 

Suraj Ko Moreñ Chañd Ke Do Tukde Wo Kar Deñ
Patthar Bhi Kalma Padhne Hukm Agar Deñ
Chaheñ Agar Darakht Ko Chalne Ka Hunar Deñ
Aaqa Ke Mojizoñ Pe Fida Jaan Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Milad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari
Marhaba, Marhaba, Marhaba, Marhaba
Aaye Nabi, Aaye Nabi, Aaye Nabi

 

Is Baar Jashne Eid Chalo Aise Manayeñ
Aafat Zadoñ Ki Milke Sab Imdad Ko Jayeñ
Langar Nabi Ka Saath Inhe Apne Khilayeñ
Ho Shaad Qoum Hai, Jo Pareshan Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Meelad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari

 

Ye Sarwar e Aalam Ka Hai Jo Jashne Wiladat
Ye Jalsoñ Juloosoñ Me Karna Shouk Se Shirkat
Ye Likhna, Padhna Sun Na Shahe Deeñ Ki Midhat
Ae Aks Maghfirat Ka Ae Saman Hamari

Nas Nas Me Dourta Hai Banke Jaan Hamari
Meelad Mustafa Ka Hai Pahchan Hamari

 

Sarkar Aaye Marhaba
Dildar Aaye Marhaba
Gham Khwar Aaye Marhaba
Lajpal Aaye Marhaba
Mukhtar Aaye Marhaba
Manthar Aaye Marhaba

Sarkar e Nabi, Dildar e Nabi,
Manthar e Nabi, Ghamkhwar e Nabi
Aamad e Mustafa Marhaba Marhaba
Ae Habib e Khuda Marhaba Marhaba

Recited by: Sheraz Ali Qadri

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

More Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *