Meri Pyari Maa Manqabat Lyrics | मेरी प्यारी मां

Meri Pyari Maa Manqabat Lyrics

 मेरी प्यारी मां तुझको ढूंढूं कहां मैं 

 

Dil Tujhko Dhooñdta Hai Meri Maa
Teri Yaad Aa Rahi Hai Meri Maa

 

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ
Mujhe Yaad Bachpan Ka Hai Wo Zamana
Hasaana Mujhe Lori Dekar Sulana
Mujhe Dekh-kar Tera Wo Muskurana
Gharibi Me Bhi Umda Kapde Dilana
Mohabbat Ka Dariya Thi Gulsitañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Zamiñ Par Maiñ Chalne Ke Qabil Nahiñ Tha
Hunar Koi Duniya Ka Haasil Nahiñ Tha
Maiñ Nanha Sa Tha Teri Aañkhoñ Ka Tara
Mere Bin Tujhe Chain Haasil Nahiñ Tha
Bhare Hausle Is Dil-e-Natwañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Pakad Kar Mera Haath Chalna Sikhaya
Khuda Ek Hai Mujhko Maa Ne Bataya
Meri Khatir Usne Uthayi Mashaqqat
Magar Mujhko Jeene Ka Maqsad Bataya
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Maiñ Bimar Hota Tu Ghamgheen Hoti
Mere Gham Me Raatoñ Ko Bhi Tu Na Soti
Namazoñ Me Rab Se Tu Karti Duaeiñ
Duaoñ Me Ashqoñ Ki Lariyañ Piroti
Teri Mehnatoñ Se Hua Huñ Jawañ Maiñ
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Diya Ilm-e-Deen Aur Duniya Batayi
Musarrat Ki Daulat Mujhi Par Lutayi
Mujhe Zindagi Ke Sabhi Gur Bataye
Padhaya Tha Kalma Namazeiñ Sikhayiñ
Khiza Me Baharo Me Sood o Ziya Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Meri Maa Tu Baba Ki Noore Nazar Thi
Woh Jinko Hamesha Hi Meri Fikar Thi
Tu Ham Sab Ki Khidmat Me Rahti Thi Koshañ
Mohabbat Ki Chhaoñ Ka Tu Ik Shajar Thi
Phala Phoola Dono Ke Maiñ Darmiyañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Rakhi Tere Qadmoñ Me Allah Ne Jannat
Teri Khidmaton Se Mile Rab Ki Rahmat
Wo Naadañ Hai Jo Teri Azmat Na Jaane
Na Ho Jiske Dil Me Ae Maa Teri Ulfat
Teri Shaan Rab Ne Batayi Qur’aañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Hameñ Kar Ke Be-fikr Sood o Ziya Se
Chali Tu Hameñ Chhor Kar Is Jahañ Se
Ae Maa Teri Khidmat Ka Jab Waqt Aaya
Bulawa Tera Aa Gaya Aasman Se
Jo Mausam Tha Phooloñ Ka Badla Khizañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Wo Duniya Thi Meri Wo Mera Jahañ Thi
Ummeedoñ Ka Marqaz Wo Ik Meri Maa Thi
Teri Yaad Mujhko Satati Hai Hardam
Tu Meri Thi Aañkhe Tu Meri Zubañ Thi
Hain Tujhko Duaeiñ Meri Har Fughañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

Tere Dam Se Khushiyañ Thiñ Mere Jahañ Me
Meri Pyari Maa Tujhko Dhooñdu Kahañ Maiñ

 

Recited by: Hafiz Hassan Anzar
Lyrics: Sahar Qasmi

More Manqabat About Maa

Our Pages

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali