Mere Sarkar Aaye Lyrics | Barah Rabi ul Awal Ke Din Abr-e Baharañ Chhaye Lyrics | مرے سرکار آئے | मेरे सरकार आए | Rabiul Awwal Naat Lyrics
Qawwal : Farid Ayaaz
اردو میں پڑھیے| हिंदी
Zameen boli ke sardar e payambar aane Wala Hai
Falak bola ke haq ka khaas Dilbar aane Wala Hai
Malak bole ke rahmat ka samander aane Wala Hai
Phir Kaha huroñ Ne Jag Mein Banda parwar aane Wala Hai
Sitaare aa chuke ab Maah e Anwar aane Wala Hai
Abhi jibreel utre bhi na the kabe ke mimber se
ke itne Mein Sada Aayi yah Abdullah Ke Ghar Se
Barah Rabi ul Awwal Ke
Din Abr-e Baharañ Chhaye
Mere Sarkar Aaye
Mere Sarkar Aaye
Amina Tere Ghar Aa Kar
Jibreel Payam Yeh Laaye
Mere Sarkar Aaye
Mere Sarkar Aaye
Door Hua Duniya Se Andhera
Aaye Aaqa Hua Sawera
Abdullah Ke Ghar Aangan
Khushiyon Ke Baadal Chaye
Mere Sarkar Aaye
Mere Sarkar Aaye
Sooni Theeñ Makke Ki Galiyan
Sookhi Theeñ Gulshan Me Kaliyan
Unke Qadam Se Charo Jaanib
Ho Gaye Noor Ke Saaye
Mere Sarkar Aye
Mere Sarkar Aye
Mushkil Teri Tal Jayegi
Sookhi Kheti Phal Jayegi
Dai Halima Tere
Soye Bhaag Jagane Aaye
Mere Sarkar Aye
Mere Sarkar Aye
Jo Haiñ Sab Nabiyo Ke Sarwar,
Jaane Masiha Khizr Ke Rehbar
Jholi Bharna Kaam Hai Jinka
Aaj Woh Daata Aaye
Mere Sarkar Aye
Mere Sarkar Aye
Mujh Ko Nida Aayi Yeh Mohsin
Duniya Ko Batlade Mohsin
Jo Hai Nabi Ka Chahne Wala
Apne Ghar Ko Sajaye
Mere Sarkar Aye
Mere Sarkar Aye
Khabaram Raseeda imshab ke Nigaar khwaahi aamad
Sare man fidaaye raahe ke sawaar khwaahi aamad
Mere Sarkar Aye
Mere Sarkar Aye
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar