Mere Khwaja Haiñ Mere Naaz Uthane Waale Lyrics

Mere Khwaja Haiñ Mere Naaz Uthane Waale Lyrics

Qawwal: Iqbal Afzal Sabri

 

हिन्दी लिरिक्स

Tauheen e mohabbat kabhi hum hone na deñge,
Is dil se juda Khwaja ka gham hone na deñge,

Hum sajdo ki saughat unhe pesh kareñge,
Sar Ghair ki dahleez pe kham hone na deñge.

 

Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale,
Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale…

 

Parde uthe hue bhi haiñ unki nazar idhar bhi hai
Badh ke muqaddar aazma sar bhi hai sang e dar bhi hai.

Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale,
Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale…

 

Jis ko na yaqeeñ aaye wo Ajmer meiñ dekh aaye

Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale…

 

Wo haiñ ujdi hui Duniyañ ko basaane waale,

Kaam bigde hue ek pal meiñ banane waale,

Gham ke maaroñ ko Kaleje se lagaane waale,

Kya bigaadeñge bhala mera zamaane waale,

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Ye udaas raah e Manzil ye meri shakasta paayi
Maiñ to thak ke baith jaata teri yaad kaam aayi
Mera kya bigaad lega jo khilaf hai Zamana
Mere saath jab hai Khwaja mere saath hai Khudaayi

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale….

 

(Apne dost se mukhatib hokar ye grah pesh kar raha huñ)

Main agar chala gaya to kabhi aauñga na waapas

Mujhe rok badh ke ab bhi main yahiñ khada hua hooñ

Sare raah chalte chalte tere ghar pe aa gaya tha

Tu yahi samajh raha hai maiñ yuñhi gira pada hooñ.

 

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

(Ghareeb Nawaz ki ek Bhikaaran jo Huzur Ghareeb Nawaz par bahut Naaz karti hai,
Aur ye duniya jo uski Padosan hai, is se mukhatib hokar ye kahti hai:)

 

Le Padosan jhopda tu to nit nayi karti raar
Aadha bagad buhaarti, tu saara bagad buhaar.

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

(Khwaja Ameer Khusro r.a farmate haiñ:)

Kaafir e Ishqam musalmaani mara darkaar Neist
Har rage man taar gashta haajate zunnaar neist.

 

(Zaibunnisa sahiba farmati haiñ:)

Assre baaleene man bar kheze ai naadaañ tabeeb
Dardmande Ishq ra daaru ba juz Deedar neist.

Kyuñ ke,
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Ye tadbeer e musalmaani
Ke man khud ra na mee daanam

Na az tarsa yahoodiyam
Na gibram na musalmaanam

Makaan am laa makañ baashad
Nishan am be nishaañ baashad

Na tan baashad na jaañ baashad
Ke baashad ishqe jaanaanam

Huwal Awwal Huwal Aakhir
Huwazzahir Huwal baatin

Ba juz yaa hoo wa ya man hoo
Digar cheeze na mee daanam.

 

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Kaamil akmal na sahi tera sage dar hi sahi
Kam Se Kam tere ghulamoñ mein to naam aayega
Aur hoñge wo jinhe fikre qaymat hogi
Mere Khwaja ka Waseela mere kaam aayega.

Kyuñ ke
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Khud hi pachhtaayeñge ek roz sataane waale,

Jo Haiñ kaañte meri raahoñ meiñ bichhaane waale,

Sar nagu hoñge mere sar ko jhukaane waale,

Khoon royeñge mere dil ko dukhane waale,

Kyuñ ke
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Moinuddin Khwaja kaar saaze

Ghareebam yak nazar Banda Nawaze

Dare Khwaja ibaadat Gaahe aalam

Hazaarañ aashaqañ har dam namaaze

Nizaami, Sabri, Chishti, fareedi

Aseere halqae zulfe daraaze

Che gham Afzaal maidaane Qayamat

Ba roze hashr Khwaja kaar saaze.

 

Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale.
Mere Khwaja hai mere Naaz uthaane waale…

 

Ahle duniyañ se mujhe koi saro kaar nahi,

Main zamaane ki kisi shai ka talabgaar nahi,

Main kisi aur ke Jalwoñ ka parastaar nahi,

Koi Khwaja ke siwa mera khareedar nahi,

Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale.
Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale…

 

Waqfe Khwaja hai mera dil bhi aur mohabbat meri
Ab lagaaye jo laga sakta ho qeemat meri.

 

Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale.
Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale…

 

Mohabbat aur us ki BeQaraari
Mohabbat aur us ki Taajdari
Na luñ dekar mohabbat ko do Aalam
Mohabbat hai meri parwardigaari.

 

Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale.
Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale…

 

Sansar har ko pooje
gur ko jagat saraahe

Kaabe meiñ koi dhooñdhe
Kaashi meiñ koi chaahe

Guiyyaañ maiñ apne pee ke
payyañ paduñ na kaahe

Har qaum o millate ra
Deene ba Qibla gaahe

Man Qibla raast kardam
Bar samt kaj kulaahe.

 

Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale.
Muñh ki khaayeñge mere daam lagane waale…

 

Aarzu hai ke sada haazire darbaar rahuñ,

Aur Khwaja ki Mohabbat Meiñ giraftar rahuñ,

Umr bhar maiñ dare Khwaja ka namak khwaar rahuñ,

Gulshan e Chist meiñ Bismil gule gulzaar rahuñ,

Mujh nikamme ko haiñ Sarkar nibhaane waale.
Mujh nikamme ko haiñ Sarkar nibhaane waale…

 

Mere Khwaja haiñ mere Naaz uthaane waale..
Mere Khwaja haiñ mere Naaz uthaane waale…

More Manqabat Ghareeb Nawaz

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *