Matware Tore Naam Ke Qawwali Lyrics
Qawwal: Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri
English | हिन्दी लिरिक्स
Diloñ ki dhadkan meiñ naam uska
Nafas nafas me payam uska
Qadam Qadam rahnumayi uski
Nazar Nazar ru numayi uski.
Kahañ rafeeq e Safar hai aisa
Wo Abr-e-Rahmat Ke saaye jaisa
Faqeer ho rah guzar ka koi
Ke Shaah ho Bahr o bar ka koi
Unhi Ki Nisbat Se Pal Raha Hai.
Matwaare Tore Naam Ke…
Matwaare Tore Naam Ke.
Hum Aur nahi kachhu kaam ke
Zarre ko jisne mehr banaya
Humne usi ka Ishq hai Paya
Jab bhi hamara ji ghabraya
Chain tumhare naam se aaya
Matware Tore Naam Ke…
Mahboob ki ulfat se kanara na hua
Tanhayi me bin iske guzara na hua
Khaliq ne rakha Naam e Muhammad ﷺ Khaalis
Nuktoñ ka bhi baar ispe gawara na hua
Matware Tore Naam Ke ..
Is naam ko Allah ne tahreer kiya hai
Ia naam ko Qur’aan se taabeer kiya hai
Ia naam ko aafaaq ki Taqdeer kiya hai
Is naam pe Kaunain ko taameer kiya hai
Ye Naam e Mohammad ﷺ hai magar kaise likha jaaye
Kis tarah Samandar kisi kooze me sama jaaye.
Matware Tore Naam Ke ..
Wo khatme Rusul, Mohsin e Kul, A’ali Nasab Haiñ
Wo Shaan e Karam, Jaan e Haram, Fakhre Arab Haiñ
Wo lagzish e aadam ki talaafi ka sabab haiñ
Har azmateñ unki abhi daryaaft talab haiñ.
Ye ramz e khuda hai ise rahne do yahiñ tak
Is Raaz se waaqif nahiñ Jibreel e Ameeñ Tak.
Insaañ haiñ magar azmat e Insaañ bhi wohi haiñ
Bande Haiñ magar Mazhar e Yazdaañ bhi wohi haiñ
Tauqeer e Haram Kaaba e Irfañ bhi wohi haiñ
Qur’aañ bhi wohi, Haamil e Qur’aañ bhi wohi haiñ.
Un jaisa Yahañ Baad e Khuda koi nahi hai
Sab kuch Haiñ wohi unki siwa koi nahi hai.
Matware Tore Naam Ke ..
Kashti e Nooh me, naar e namrood me
Badan e maahi me Yunus ki faryad me
Aap ka Naam e naami ae Salle-ala
Har Jagah Har Museebat Meiñ Kaam aa gaya.
Matware Tore Naam Ke ..
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke…
Na Hum Jaaneñ Maala Japna
Puja Se Bairaag Hai Aapna
Dhun Meiñ Madni Shyaam Ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke.
Matware Tore Naam Ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke
Dhun Meiñ Madni Shyaam Ke
Hum Aur Nahi kachu kaam ke
Kahañ Pe Raat Kati Aur Kahañ Din Guzra
Dhun Meiñ Madni Shyaam Ke
Hum Aur Nahi kachu kaam ke
Sab rahrawan e Shauq wahan sar ke bal chale
Dhun Meiñ Madni Shyaam Ke
Hum Aur Nahi kachu kaam ke
Qadam Qadam pe namazeñ
Nazar Nazar Meiñ Salaam.
Dhun Meiñ Madni Shyaam Ke
Hum Aur Nahi kachu kaam ke
Hum maile aur tum ho pavittar
Charan chhuyeñ to kis virte par
Hum to wasfar naam ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke
Aao Zara sapne meiñ aao
Hum haiñ abhaagi, bhaag jagao
Soye pade haiñ jaam ke
Hum Aur Nahi kachu kaam ke .
Jaaye koi jab pee ki nagariya
Rim jhim barse nain gagariya..
Tadapte haiñ machalte haiñ mere armaan seene meiñ
Rawaañ jab dekhta huñ qaafila hajj ke mahine meiñ.
Jaaye koi jab pee ki nagariya
Rim jhim barse nain gagariya..
Rah jaayeñ Dil thaam ke
Hum aur nahiñ kachhu kaam ke.
Matware Tore Naam Ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke ..
Jab se Preet ka joda pahna
Aañsu, aaheñ man ka gahna
Chaakar haiñ be daam ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke.
Matware Tore Naam Ke
Hum Aur Nahi kachhu kaam ke ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan