Manam Fida E Hussain Lyrics -Muntazir Hssan Nagr
Hussain, hussain
Ya hussain, ya hussain
Hussain ishq e man asto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain

Tum hi se laagi hai man ki lagan mere mola
Tumhare bin na lage hai kahi ye dil mera
Tumhare zikr se saanson ko rizq milta
Tumhari yaad se mujhko sukoon aaye Hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e Hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Hussain mujhse hain main hun hussain se logo
Ye kah ke dars diya hai rasool ne logo
Hussain ka jo adu hai wo hai nabi ka adu
Hai aashna e nabi jo hai aashan e hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Husaain ramz e shahadat hussain raaz e haya
Hussain noor e hidayat hussain raah e nijaat
Hai la-ilah bhi mamnoon mere mola ka
Labon pe deen e khuda ke bhi hai sana e Hussain
Hussain ishq e man asto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e man asto manam fida e hussain
Mile hain raahib o fitrus ko Baal o par un se
Janab e hurr ka muqaddar jagaya hai shah ne
Naseeb me jo na likkha ho woh bhi milta hai
Khuda ke bando pe hoti hai jab ata e hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Hussainiyon ko sharaf hai karam ye Zahra ka
Ali ke ishq me jeena hussain par marna
Hamara maqsad e khilqat bhi hai aqida bhi
Wila e haider e karrar aur aza e hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Yehi dua hai labon par har ek momin ke
Ata ho izn ziyarat ka jald ghazi se
Hamari aañkheñ bhi dekhe hussain ki jannat
Hamen bhi de ke sada karbal bulyen hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Tumhare ishq se shaadañ hai zindagi mola
Tumhare zikr se taabañ hai bandage mola
Jo muntazir ne padha jashn me kalam-e-yum
Ata e Fatima Zahra hai ye sana e hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Ata huyi hai mujhe zindagi baraye hussain
Hussain ishq e manasto manam fida e hussain
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi