Maa to maa hai maa ka ham par kitna bada ahsaan lyrics

Maa to maa hai maa ka ham par kitna bada ahsaan
Teri maa na roothe kabhi teri maa na roothe

 

Han maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Maa ka saya jiske oopar wo to bada dhanwan

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Anchal me wo hamko chhupa kar khoon jigar ka pilaati hai

Khud bhooki so jaati hai
Khud bhooki so jaati hai

 

Khud geele me rahkar hamko sookhe me wo litaati hai

Achchhi neend sulaati hai
Achchhi neend sulaati hai

 

Maa ke ik ahsaan pe apna tan man dhan kurban

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Maa ke shikam se duniya bhar me kaise kaise laal huye

Ghus huye abdaal huye,
Ghus huye abdaal huye

 

Maa ke qadmon ko chhoote hi aise mala maal huye

Sartaba khushhaal huye,
Sartaba khushhaal huye

 

Maa ne dua jisko bhi di hai uski unchi shaan

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Maa na hoti tu na hota tu maa ki badoulat hai

Ye sach hai ye haqiqat hai
Ye sach hai ye haqiqat hai

 

Qaul e nabi hai maa ke qadmon ke neeche hi jannat hai

Bas rahmat hi rahmat hai
Bas rahmat hi rahmat hai

 

Maa ke liye gar dena pade to de dena tu jaan

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Maa na hoti tu na hota tu maa ki badoulat hai

Ye sach hai ye haqiqat hai
Ye sach hai ye haqiqat hai

 

Maa ka dil to maa ka dil hai us jaisa na paoge

Dhoondte hi rah jaoge
Dhoondte hi rah jaoge

 

Rab lanat naazil hogi rab ko jo tadpaoge

Chain kahin na paoge
Chain kahin na paoge

 

Sarkar e kounain ka sun lo bas hai yahi farman

Maa ka dil na toote,
Kabhi teri maa na roothe

 

Bachche kaise bhi hon lekin maa ke liye to pyare hein

Uski aankh ke taare hein
Uski aankh ke taare hein

 

Apni maa ke dil ko jeet ke jo bhi maa ke sahare hai

Phir wo kis se haarey hai
Phir wo kis se haarey hai

 

Maa ka kahna maan agar kuchh banna hai naadan

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

 

Maa ke doodh ka karz chukana tere bas ki baat nahin

Ye teri auqaat nahin
Ye teri auqaat nahin

 

Maa se afzal biwi aur bachchon me koi zaat nahin

Ye mamooli baat nahin
Ye mamooli baat nahin

 

Kuchh bhi ho Sajjad Nizami maa ka rakhna dhyaan

maa ka saath na chhote
kabhi teri maa na roothe

Naat Khwan: Sajjad Nizami
Shayar: Sajjad Nizami


Related Post:

  1. Meri Jannat Hai Meri Maa Lyrics
  2. Maa Ki Dua Lo  Baap Lo Chaho Lyrics
  3. Maa Tujhsa Nahi Hai Koi Duja Lyrics
  4. Sab Kuchh Ye Meri Maa Ki Duaon Ka Sila Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *