Difference between Hamd and Naat, Manqabat, Munajat,

Difference Between Hamd and Naat Manqabat Munajat qasida Marsiya

Difference Between Hamd and Naat, Manqabat, Munajat, qasida


BismillahirRehmanirRahim”

Agar Hamd, Naat aur Manqabat ke Lughvi maana/ mani (Dictionary meaning) dekhe jayeñ to teeno ka maani Sana/Tareef (Praise) hota hai magar hamare aslaaf (buzurgoñ) ne inke istilaahi (technical) maani muqarrar kar diye hain jin per sabhi Urdu daañ muttafiq hain. Hamne baari baari se sabhi ke maani Roman Urdu mein likhne ki koshish ki hai. Yahañ hamara maqsad shayri ki technics nahi balke maani bayan karna hai. * Agar koi ghalti paayeñ to barae karam islah kareñ *:

 

1. Hamd/ Hamd e Baari Ta’ala/ Humd Shareef:

Allah Tabarak o Ta’ala ki sana (badayi) ko Hamd kaha jaata hai. misaal ke taur par, Khalid Mahmood Naqhbandi ke Ash’aar pesh hain.

Naam Rabb e Anaam Hai Tera
Har Jagah Faiz Aam Hai Tera.

Tu Khaaliq Hai Tu Hi Maalik Hai
Jo Bhi Kuchh Hai Tamaam Hai Tera.

Teri Marzi Kabhi Nahiñ Talti
Kitna Kamil Nizam Hai Tera.

Aur Hamd padhiye

 

2. Naat Sharif/ Naat e Paak:

Mehboob e Khuda Nabi e Akram Sallallaho alaihi wasallam ki taarif/ badaayi ko Naat kaha jata hai. Aap s.a.w. ka Naam e Mubarak “Muhammad ﷺ” khud hi aap ki naat hai jiska maani hai “Tarif Kiya Hua”. Nazm ki shakl me laa tadad Naat-E-Paak moujood hain. For example:

Ya sahib al jamal wa ya sayyadul bashar
Mim Wajhekal-Munir laqad nawwarul qamar

Laa yamkinus-sanaoka ma kaana haqqahu
Badaz khuda buzurg tui Qissa muqtasar

 

3. Manqabat:

Huzur s.a.w ke Ahl-e Bait, Sahaba Ikram, wa Auliya Allah ki taareef ko Manqabat kaha jaata hai. Jaise Manqabat e Maula Ali, Manqabat e Ghaus e Azam, Manqabat e Ghareeb Nawaz etc. Maslan-

Tum ho Jaan-e-Ali Khwaja Hind-al-Wali
Mere Khwaja Piya Mere Khwaja Piya!

4. Munajat:

Allah Izz-o-jal ki Baargaah mein aajizi aur inkisaari ke saath maangi gayi dua ko munaajaat kahte hain. Maslan:

Ya Khuda Taaib ko marziyaat ki taufeeq de
Aur rakh sabit qadam apni itaa’at par ise
Ho ata ishq o mohabbat is gada ke waste

Aur rakh mehfooz shirk o maasiyat se ay khuda
Aur kar Islam o imañ par Tu iska khatima
Apne Maqbulaan e Dargah e Ula ke waste…..

5. Marsiya:

Yaad e Shahidan e Karbala mein ranj o gham ke saath padhi jaane wali nazm (poem) ko marsiya kahte hain. Is me Hazat Imam Hussain (A.S) wa Aap ke Saath Shaheed hone walon ki bahaduri, dileri aur akhir mein Shahadat ka zikr kiya jata hai.
Halaañki, kisi aur hasti ki maut ke baad uski yaad me padhi jaane wali nazm ko bhi marsiya hi kaha jaata hai lekin is lafz ko sunte hi khayal me Karbala Wale hi aate hain.

 

6. Qasida:

kisi ek hi mauzu par likhi gayi shayri ko qasida kaha jata hai. Ye Hamd, Naat, Manqabat, Nasihat, Islaah, Wa’az, Haalat e Hazira etc., ho sakta hai. Maslan- Qaseeda Burda Shareef, Qaseeda e Ghausiya Sharif etc.

 

7. Nasheed:

Nasheed ka maani lai bana kar tarammum ke saath gana (singing). Ya gaane ki mehfil ko nasheed kehte Hain. Arab mamalik mein Hamd o Naat Khwani ko Nashid kehte hain.

 

Question1: what is the difference between hamd/Humd and naat? Hamd or Naat ke kya farq hai?

Question 2: Tell the difference between Naat and Manqabat? Naat aur manqabat mein fark batayen.

Question 3: what is the difference between Hamd and Munajat? Hamd aor Munajat me kya farak hota hai?

Question 4: How are naat and nasheed different? Naat aur nasheed kis tarah alag hain?

Question 5: on what basis qasida and marsiya differ? Qasida or mersiya kis bina par alag hain?

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *