Khota Sikka Huñ Isi Dar Pe Pada Rahne Do (Manqabat) Lyrics
Qawwal : Iqbal Afzal Sabri
Dikha Kar Jalwa-e Aala
Muyeenuddeen Chishti Ka,
Banaya Ishq Ne Shaida
Moinuddin Chishti Ka,
Mubarak Ho Tumheñ Ai Waaizo
Hoor o Malak Jannat,
Hameñ Kaafi Hai Darwaza
Moinuddin Chishti Ka.
Khota Sikka Huñ Isi Dar Pe Pada Rahne Do ..
Khota Sikka Huñ Isi Dar Pe Pada Rahne Do ..
Khota Sikka Huñ Isi Dar Pe Pada Rahne Do,
Khanjar-e Ishq Mere Dil Mein Gada Rahne Do,
Chhoti Qismat Ka Ye Ahsaas Bada Rahne Do,
Paañw Meiñ Bediyañ Haatho Meiñ Kada Rahne Do,
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do.
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Usko Khud Hi Laaj Hogi Jiska Kahlata Huñ Maiñ,
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Zahid To Bakhshe Jaayeñ, Gunahgar Muñh Takeñ,
Ai Rahmat e Khuda Tujhe Aisa Na Chaahiye.
Baagh-e Bahisht Se Mujhe Hukme Safar Diya Tha Kyuñ
Kaar-e Jahañ Daraaz Hai Ab Mera Intizar Kar.
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Wo Mujassam Karam Wo Sarapa A’taa
Ye Samajh Kar Kiye Jaa Raha Huñ Khata.
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Mujhko Khwaja Ki Abdaalat Meiñ Khada Rahne Do ..
Maiñ Tumhara Huñ Nahiñ Kaam Zamane Bhar Se,
Kheeñch Laayi Hai Sakhawat Ka Ye Shohrat Ghar Se,
Ye Wo Sauda Hai Jo Jaayega Na Har Giz Sar Se,
Apni Taqdeer Bana Kar Hi Uthooñga Dar Se,
Maiñ Huñ Deewana Mujhe Zid Pe Ada Rahne Do.
Maiñ Huñ Deewana Mujhe Zid Pe Ada Rahne Do..
Maiñ Huñ Deewana, Maiñ Huñ Deewana …, Deewana
Maiñ Huñ Deewana.. Deewana
Deewana – Deewana, Deewana – Deewana,
Deewana – Deewana .. Deewaana..
Deewana – Deewana, Deewana – Deewana,
Deewana – Deewana .. Deewaana..
Deewaana …. Deewaana …. Deewaana
Ho, maiñ To deewana..Khwaja ka deewaana
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
Ho, Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
Re Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
Rasool e Paak Ne Khwaja Piya, Jo Dhaali Ho,
Wo Jiske Aap Ne Baghdad Se Mañga Li Ho,
Qutab-Fareed Ke Haatho Ne Jo Uchhaali Ho,
Nizaami Rang Ho Aur Sabri Piyaali Ho,
Pila De Thodi Se Lekin Isi Qareene Se.
Kyuñ Aarzu-e Saaghar o Meena Na Karuñga
Tauba Se Mujhe Zid Hai Ke Tauba Na Kruñga.
Re Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
Re Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
(Khwaja Ke Deewane Ko Baroz-e Qayamat:)
Farishte Khuda Ki Adalat Meiñ Jab Le Gaye
To, Gunaahoñ Ke Daftar Bhi Hamrah Liye,
Kaha Phir Khuda Se Ke Sun Ai Khuda
Ye Shaitaani Baatoñ Meiñ Masroof Tha,
Tera Hukm Paa Kar Pakad Laaye Haiñ
Ye Hazir Hai Mulzim Jakad Laaye Haiñ,
Saza Aur Jaza Ka Tu Mukhtaar Hai
Khada Dast-Basta Gunahgar Hai,
(Kaha Phir Khuda Ne Ke: )
Kis Baat Ka Malaal Hai Kyuñ Chup Khada Hai Tu
Saudaayi Hoke Is Tarah, Sahma Hua Hai Tu.
Maiñ Jaanta Huñ Ummat-e Khairul Wara Hai Tu
Poochha Jo Mujh Se Hashr Meiñ Kya Chaahta Hai Tu.
To Fauran Meri Zabañ Se Faqat Ye Nikal Gaya,
Ke, Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ Deewana Tumhara,
Mujhko Zanjeeroñ Se Kya Matlab
Mujhe Kaafi Tumahri
Gesu-e Pecheeda Pecheeda.
Ye Padi Hai Qaid-e Zandaañ, Wo Padi Haiñ Bediyañ
Jisme Himmat Ho Wo Badh Kar Rok Le jaata Huñ Maiñ.
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Deewana – Deewana, Deewana – Deewana,
Deewana – Deewana .. Deewaana..
Deewana – Deewana, Deewana – Deewana,
Deewana – Deewana .. Deewaana..
Deewaana …. Deewaana ….
Deewana .. Deewana .. Deewana .. Deewana .. Deewana .. Deewana .. Deewaana..
Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Chisht Nagar Meiñ Dhoom Machi Hai
Khwaja Piya Ki Shaadi Rachi Hai.
Phool Husaini Baagh Se Aaye
Ghaus-ul-Aazam Ne Mañgwaaye.
Khwaja Usmañ Gooñdh Ke Laaye
Khwaja Qutab Haiñ Jhanda Uthaaye.
Baba Fareed Haiñ Wajd Meiñ Aaye
Nizamuddin Aur Sabir Gaayeñ.
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Maiñ To Deewana … Khwaja Ka Deewaana..
Ho Maiñ To Deewana..
Ho Maiñ To Deewana..
Ho Maiñ To Deewana..Khwaja Ka Deewaana..
Ho Maiñ To Deewana..Khwaja Ka Deewaana..
Mera Jeevan To Guzra Hai
Mere Khwaja Ke Aañgan Meiñ
Jahannum Dar Baghal, Kalma Ba Lab,
Jannat Hai Daaman Meiñ.
Re Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana
Re Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana
Kuchh Hosh Bhi Hai Dast-e Junuñ, Dekh Kya Hua
Daaman Tak Aa Gaya Hai Gareebañ Phata Hua.
Sabke To Gareebañ See Daale
Apna Hi Gareebañ Bhool Gaye.
Kyuñ Ke
Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana
Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana
Aasi Huñ Bakhsh Dene Ko Usne Kaha To Hai
Jannat Mujhe Mile Na Mile Aasra To Hai,
Maqbool Wo Kare Na Kare Meri Bandagi
Unko Bitha Ke Saamne Sajda Kiya To Hai.
Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana ..
Maiñ To Deewana .. Khwaja Ka Deewaana ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan