Karbala se jannat ki kitni gahri yaari hai Lyrics | मुख्तलिफ़ ज़माने से बंदगी हमारी है

Karbala se jannat ki kitni gahri yaari hai Lyrics

कर्बला से जन्नत की कितनी गहरी यारी है

 

 

Mukhtalif zamaane se bandagi hamari hai
Hamne khanqaahoñ meiñ zindagi guzaari hai.

 

Ab bhi kufr-baazoñ ke dil pe khauf taari hai
Zulfoquar-e-Haider ka waar kitna bhaari hai.

 

Karbala hai jannat meiñ, karbala meiñ jannat hai
Karbala se jannat ki kitni gahri yaari hai.

 

Tootne ka mausam phir aane wala hai, lekin
Aayine nahi ab ke pattharoñ ki baari hai.

 

Husn aur haya donoñ is liye salaamat haiñ
Fatima ki chaadar ka zarf ab bhi jaari hai.

 

Jis gali se Maula-e-Kaayenaat guzre haiñ
Us gali ki mitti bhi mehr-o-mah se pyari hai.

Naat Khwan: Shakeel Arfi

 

मुख्तलिफ़ ज़माने से बंदगी हमारी है
हमने ख़ानक़ाहों में ज़िन्दगी गुज़ारी है।

 

अब भी कुफ़्र-बाजों के दिल पे ख़ौफ़ तारी है
ज़ुल्फ़िक़ार-ए-ह़ैदर का वार कितना भारी है।

 

कर्बला है जन्नत में, कर्बला में जन्नत है
कर्बला से जन्नत की कितनी गहरी यारी है।

 

टूटने का मौसम फिर आने वाला है लेकिन
आईने नहीं अब के पत्थरों की बारी है।

 

हुस्न और हया दोनों इस लिए सलामत हैं
फ़ातिमा की चादर का ज़र्फ़ अब भी जारी है।

 

जिस गली से मौला-ए-क़ायनात गुज़रे हैं
उस गली की मिट्टी भी मेहर-ओ-मह से प्यारी है।

 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali