Karbala Ke Dularon Pe Lakhon Salam Lyrics | कर्बला के दुलारों पे लाखों सलाम लिरिक्स
Qawwal : Tasleem Arif
Shayar : Shauq Warirgajvi
Karbala Ke Dularon Pe Lakhon Salam Lyrics
Haakim Ka Hukm Yeh Tha Ke Pani Bashar Piyeñ
Ghode Piyeñ, Sawaar Piyeñ, Aur Shutar Piyeñ
Kafir Talak Piyeñ To Mana Tum Na Kijiyo
Ik Fatima Ke Laal Ko Pani Na Dijiyo
Karbala Ke Dularon Pe Lakhon Salam
Yaani Zehra Ke Laalon Pe Lakhon Salam
Deen Ke Naam Per Tumne Ghar De Diya
Naujawañ Apna Noor e Nazar De Diya
Doodh Peeta Hua Bhi Pisar De Diya
Aur Phir Apna Sajde Mein Sar De Diya
Ay Shaheed e Wafa Tum Pe Lakhon Salam
Zalimoñ Ne Bada Zulm Tum Par Kiya
Booñd-Bhar Tum Ko Pani Na Milne Diya
Aal Ko Qatl Karte Rahe Ashqiya
Phir Bhi To Sabr Se Kaam Tumne Liya
Shaan e Sabr o Raza Tum Pe lakhon Salam
Daur e Aalaam Se Tum Guzarte Rahe
Apne Laashoñ Ko Dho-Dho Ke Dharte Rahe
Jung Ke Laakh Toofañ Ubharte Rahe
Tum Namazeñ Ada Phir Bhi Karte Rahe
Abid e Baa-Safa Tum Pe Lakhoñ Salam
Ghar Pe Beemar Shughra Tadapti Rahi
Karbala Mein Qayamat Guzarti Rahi
Aal Pani Ko Pyasi Tarasti Rahi
Teigh Dushman Ki Sar Pe Barasti Rahi
Labb Pe Shikva Na Tha Tum Pe Lakhon Salam
Ay Nabi Ke Nawaase Ali Ke Pisar
Syeda Fatima Bi Ke Lakht e Jigar
Deen e Islam Se Pyar Tha Kis Qadar
Khud To Qurbañ Hue Karbla Mein Magar
Deen Zinda Kiya Tum Pe Lakhon Salam
Allah-Allah Woh Zulfiqar Aapki
Taab Laa Na Sake Na-Waqar Aapki
Dekh Soorat Gira Har Sawaar Aapki
Teigh Uth Uth Giri Baar Baar Aapki
Sher-e Sher-e-Khuda Tum Pe Lakhoñ Salam
Apne Nana Se Jo Tumne Wada Kiya
Karbla Mein Woh Vaada Wafa Kar Diya
Thi Gale Par Chhuri Labb Pe Thi Ye Dua
Baksh Dena Khuda Ummat e Mustafa
Shauq Tum Par Fida Tum Pe lakhon Salam
Hasratoñ Mein Kate Jiske At’Thaara Sal
Uske Seene Ke Bhaaloñ Pe Lakhon Salam
Teer se Halq e Asghar Chhida Uff Na ki
Sabr Aur Shukr Walon Pe Lakhon Salam
Tum Pe Laakhon Salam..
Tum Pe Laakhon Salam..
karbala-ke-dularon-pe-lakhon-salam-lyrics
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar