Kal Raat Khwab Dekha Nasheed Lyrics
Allah Karam, Allah Karam, Allah Karam
Allah Karam, Allah Karam, Allah Karam
Allah Karam, Allah Karam, Allah Karam
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Veeran Sa Pada Tha Veeran Se Makañ Me
Pur Hole Sa Samañ Tha Us Waqt Us Jahañ Me
Sunsan Si Jagah Thi Kya Fayda Fughañ Me
Khalwat Nasheen Tha Main Khalwat Me Ro Raha Tha
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Sochoñ Me Kho Gaya Tha Duniya Ki Ishratoñ Me
Yaaroñ Ke Kahkahoñ Me Pur-lutf Mahfilon Me
Bana Ki Chahatoñ Mamta Ulfaton Me
Ashkoñ Se Apna Daman Us Dam Bhigo Raha Tha
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Hasrat Se Chaar Janib Nazrein Ghuma Ke Dekha
Phir Zor Se Maiñ Cheekha Sab Ko Bula Ke dekha
Koi Na Paas Aaya Sab Aazma Ke Dekha
Maiñ Natawañ Akela Be Aas So Raha Tha
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Kuchh Kaam Ke Nahiñ The Daulat Ke Butt Bechare
Us Waqt Ban Rahe The Aamaal Hi Sahare
Khushwaqt Fard Hai Wo Khud Ko Jo Ya Saware
Hamdard Apne Sare Bandhan Bhi Kho Raha Tha
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Veeran Sa Pada Tha Veeran Se Makañ Me
Pur-Hole Sa Samañ Tha Us Waqt Is Jahañ Me
Sunsan Si Jagah Thi Kya Fayda Fughañ Me
Khalwat Nasheen Tha Maiñ Khalwat Me Ro Raha Tha
Kal Raat Khwab Dekha Ghar Bar Kho Raha Tha
Do Ghaz Ke Qaid Khane Me Qaid Ho Raha Tha
Recited by: Shair Muhammad Burhan
Poet: Shakirullah Hamdard
Our Pages
- Hamd-E-Baari-T’aala
- Naat-E-Paak
- Rabiul Awwal Mutalliq Kalam
- Manqabat Ghaus e Azam
- Manqabat Ghareeb Nawaaz
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan: