Silsal-e-Aalam – Salle Ala Nabiana Lyrics

Silsal-e-Aalam – Salle Ala Nabiana Lyrics

 

Salle Ala Nabiyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiyena Salle Ala Muhammadin

 

Silsila Aalam Ka Jab Zahir Hua jab Se Chala
Baani-e-Aalam Ne Bheje Kayi Rasool Aur Ambiya
Sayed-e-Aadam Hain Ya Is Ghadi Ki Ibtida
Inteha o Muntaha Hain Sab Rasool Me Mustafa

 

Mustafa Mujtaba Peshwa Dilruba
Mustafa Mujtaba Peshwa Dilruba

Mustafa Mustafa Salle Ala
Mustafa Mustafa Salle Ala

 

Sabse Awwal Bhi Wohi Hai Aur Wohi Hai Inteha
Sirf Mera Hi Nahi Sab Ambiya Ka Muqtada
Aap Aaye Kufr o Zulmat Se Bhara Ik Daur Tha
Har Taraf Shirk o Jahalat Ka Macha Ik Shor Tha
Taql o Ghaarat Ka Samandar Bhi Talatum Khez Tha
Tafr Kaba Bhi Ta’assub Se Jahan Labrez Tha
Aapke Aane Se Badla Is Jahañ Ka Kaarwañ
Dushman-e-Baaham Huye Ik Doosre Pe Merwañ

 

Salle Ala Nabiyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiyna Salle Ala Muhammadin

 

Dawat-o-Tableegh Karne Ghar-BaGhar Chalte Gaye
Apne Rab Ki Bandagi Kar Lo Yehi Kahte Rahe
ButtParasti Ke Pujaari Mushta’il Hone Lage
Dushmanane Mustafa Bughz-o-Hasad Karne Lage
Is Ghutan Ke Daur Me Kaise Ghuzaari Zindagi
Zulm Sah Kar Bhi Na Aayi Bandagi Me Kucch Kami
Teen Sala Qaid o Bandish Ki Rahi Ik Dastaañ
Har Musibat Me Sabar Hai Kuchh Nahi Aah o Fughañ
Mursal-e-Rab Le Ke Hijr Ka Khazina Aa Gaye
Sang Yaar-e-Ghaar Ke Suye Madina Aa Gaye

 

Mustafa Mustafa Salle Ala
Mustafa Mustafa Salle Ala

 

Ibtida Añbahami o Waakhdo Akhoowat Jod Di
Nafrat o Qatl O Jahalat Ki Rasam Bhi Tod Di
Yak Badi Gar Hukm Rab Ke Ja Baja Aane Lage
Darbadar Deen e Huda Me Log Bhi Aane Lage
Mushkilon Ki Is Ghadi Me Kya Wafayen Aapki
Dahar Me Jaari Huyin Tab Se Atayeñ Aapki
Faqr o Faaqa Ghurbaton Me Kaise Ghuzri Zindagi
Baadash Hain Aap Lekin Kis Tarah Ki Bandagi

 

Salle Ala Nabiyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiyna Salle Ala Muhammadin

 

Aapke Khulqoshiyam Sab Bolta Qur’aan Hai
Lamha lamha Har Ada Likhta Raha Rahman Hai
Khoobsurat Muakurata Dilnashi Andaaz Hai
Sheer o Shakkar PurAsili Sor Gar Aawaz Hai
Narm Lahja Saaf Rangat Nargishi Ik Paarsañ
Darmiyani Chaal Wale Behtari Dil Aashina

 

Mustafa Mustafa Salle Ala
Mustafa Mustafa Salle Ala

 

Apni Ummat Ke Liye Kya Kya Kiya Na Aapne
Jo Mila Jisko Mila Rab Se Milaaya Aapne
Dhoop Me Tapti Huyi Kya Kya Na Maanga Aapne
Raat Bhar Mere Liye Khud Ko Jagaya Aap Ne
Aap Ne Ham Se Nibhayi Kis Tarah Se Hai Wafa
Tod ke Saari Wafayen Ham Bane Hain Bewafa
Raaste Jitne Bhi Sunnat Ke Bataye The Aapne
Apne Paaon Se Hami Ne Round Dala Hai Unhe

 

Salle Ala Nabiyena Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Shafiyna Salle Ala Muhammadin

 

Lab Pe Jaari Kufr o Zulmat Ke Kayi Kalmaat Hain
Bol Dala Jo Suna Ye Fikr Ke Lamhaat Haiñ
Od Daali Hai Taqawwur Ki Ye Aadat Kis Liye
Aish o Ishrat Ke Liye Itni Baghawat Kis Liye
Zabt Haathoñ Main Hai Duniya Ki Lagi Ke Waste
Mod Lo Ye Rukh Khuda Ki Bandagi Ke Waste
Bughz o Nafrat Jhoont Gheewat Har Gunah Ko Chhor Do
Od Daali Hai Gunahoñ Ki Jo Aadat Tod Do
Maut Aani Hai Kabhi Tauba Ke Baare Soch Lo
Aaj Se Kar Lo Irada Ho Sake Kal Ho Na Ho

 

Ho Sake Kal Ho Na Ho
Ho Sake Kal Ho Na Ho
Ho Sake Kal Ho Na Ho
Ho Sake Kal Ho Na Ho
Tauba Ke Baare Soch Lo

 

Recited by: Zaheer Usmani
Lyrics: Zaheer Usmani

 

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali