Kaabe Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Yeh Dua Faqat
काबा के दर के सामने मांगी है यह दुआ़ फ़क़त
Shayar: Sayyad Nazmi Miyan | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Munazir Hussain, Anjum Mujaffarpuri, Seyda Nooreen Ajmal, Hafiz Bilal Qadri.
काबा के दर के सामने मांगी है यह दुआ़ फ़क़त
हाथों में हश्र तक रहे दामाने मुस्त़फा फ़क़त
Kaaba Ke Dar Ke Samne Maangi Hai Yeh Dua Faqat
Haathon Me Hashr Tak Rahe Daamane Mustafa Faqat
अपने करीम से ऐ खुदा इ़श्क़े रसूल कर अत़ा
आख़िरी दम ज़बां पे हो सल्ले अ़ला सदा फ़क़त
Apne Kareem Se Ey Khuda Ishqe Rasool Kar Ata
Aakhiri Dum Zaba(N) Pe Ho Salle Ala Sada Faqat
त़ैबा की सैर को चलें क़दमों में उनके जान दें
दफ़न हों उनके शह़र में है यही इल्तिजा फ़क़त
Taiba Ki Sair Ko Chalen Qadmon Me Unke Jaan De
Dafan Hon Unke Shahar Me Hai Yehi Iltija Faqat
दुनिया की सारी निअ़मतें मेरी नज़र में हेच हैं
रखने को सर पे गर मिले नअ़लैने मुस्त़फा फ़क़त
Duniya Ki Saari Ni’aamaten Meri Nazar Me Hech Hein
Rakhne Ko Sar Pe Gar Mile Naa’laine Mustafa Faqat
मुनकर नकीर कब्र में हम से सवाल जब करें
ऐसे में विर्द हम रखें आपके नाम का फ़क़त
Munkar Nakeer Qabr Me Ham Se Sawal Jab Karen
Aise Me Wird Ham Rakhe Aapke Naam Ka Faqat
नज़आ़ के वक़्त जब मेरी सांसों में इन्तिशार हो
मेरी नज़र के सामने गुम्बद हो वो हरा फ़क़त
Naz’aa Ke Waqt Jab Meri Saanson Me Intishaar Ho
Meri Nazar Ke Saamne Gumbad Ho Wo Hara Faqat
नअ़्ते रसूले पाक है नज़मी का मक़्सदे ह़यात
क़ब्र में भी लबों पे हो सरकार की सना फ़क़त
Naat-E-Rasool-E-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-E-Hayat
Qabr Me Bhi Labon Pe Ho Sarkar Ki Sana Faqat
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan