Zara Chhed To Naghma-E-Qaadriyat Ki  Har Taar Bole

 

 

Zara Chhed To Naghma-E-Qaadriyat Ki Har Taar
Zara Chhed To Naghma-E-Qaadriyat Ki Har Taar Naat Lyrics

Zara Chhed To Naghma-E-Qaadriyat Ki  Har Taar 

ज़रा छेड़ तो नग़मए क़ादरीयत कि हर तार

Shayar: Saiyad Nazmi Miyan | Naat e Paak

Naat Khwna:Hafiz Abubakar Mishkati, Muhammad Zeshan Qadri,

 

ज़रा छेड़ तो नग़मए क़ादरीयत कि,

हर तार बोले तन तन तनातन

Zara Chhed To Naghma-E-Qaadriyat Ki,

Har Taar Bole Tan Tan Tanatan.

 

तेरी रुह़ हरग़िज़ रहेगी न रक़्सां

जो गर्दिश में रहती है गन गन गनागन

Teri Rooh Harghiz Rahegi Na Raqsa(N),

Jo Gardish Me Rahti Hai Gan Gan Ganagan.

 

अबू जहल हाथों में कंकरियां लाया

तो सरकार ने उनको कलिमा पढ़ाया

Abu Jahal Haathon Me Kankariyan Laaya

To Sarkar Ne Unko Kalmia Padaya

 

मगर फिर भी ईमां वह नारी न लाया

पलट कर वह भागा था दन दन दनादन

Magar Fir Bhi Eema(N) Wah Naari Na Laaya

Palat Kar Wah Bhaaga Tha Dan Dan Danadan

 

चले अ़र्श की सैर को मेरे आक़ा

तो जन्नत से बुराक़ खिदमत में आया

Chale Arsh Ki Sair Ko Mere Aaqa

To Jannat Se Buraaq Khidmat Me Aaya

 

हवाओं से गुज़रे फ़ज़ाओं से गुज़रे

चले जा रहे थे सन सन सनासन

Hawaon Se Guzre Fazaon Se Guzre

Chale Ja Rahe The San San Sanasan

 

ग़ुलामें शहन्शाहे बग़दाद मैं हूं

मेरा दोहरा रिश्ता है ख़्वाजा पिया से

Ghulam-E-Shanshah-E-Baghdad Mein Hun

Mera Dohra Rishta Hai Khwaja Piya Se

 

गले में मेरे चिश्ती पट्टा पड़ा है

मैं हूं क़ादरी चिश्ती टन टन टनाटन

Gale Me Mere Chishti Patta Pada Hai

Mein Hun Qadri Chishti Tan Tan Tanatan

 

ग़ुलामें शहन्शाहे बरकात मैं हूं

मेरा दोहरा रिश्ता है अच्छे मियां से

Ghulam-E-Shanshah-E-Barkaat Mein Hun

Mera Dohra Rishta Hai Achchhe Miyan Se

 

गले में मेरे नूरी पट्टा पड़ा है

मैं हूं क़ादरी सुन्नी टन टन टनाटन

Gale Me Mere Noori Patta Pada Hai

Mein Hun Qadri Sunni Tan Tan Tanatan

 

यह है नूरी टक्साल नूरी मियां की

यहां जन्नती सिक्के ढलते रहे हैं

Yeh Hai Noori Taksaal Noori Miyan Ki

Yahan Jannati Sikke Dhalte Rahe Hein

 

यहां खोटे सिक्के की जा ही नहीं है

हर इक सिक्का बजता है खन खन खनाखन

Yahan Khote Sikke Ki Ja He Nahi Hai

Har Ik Sikka Bajta Hai Khun Khun Khanakhan

 

ज़बां पर मेरे नाम नूरी का आया

तो नूरानियत ने गले से लगाया

Zaba(N) Par Mere Naam Noori Ka Aaya

To Nooraniyat Ne Gale Se Lagaya

 

गले में पड़ी थी जो ज़न्जीरे इस्यां

गिरी टूट कर बोली झन झन झनाझन

Gale Me Padi Thi Jo Zanjeer-E- Isyan

Giri Toot Kar Boli Jhan Jhan Jhanajhan

 

तुझे नज़मी शैतान का ख़ौफ़ क्यों हो

तुझे पीर सय्यद मियां से मिलें हैं

Tujhe Nazmi Shaitan Ka Khouf Kyon Ho

Tujhe Peer Sayyad Miyan Se Milen Hein

 

करेंगे करम की नज़र तेरे ऊपर तो

शैतान भागेगा दन दन दनादन

Karenge Karam Ki Nazar Tere Oopar To

Shaitan Bhaagega Dan Dan Danadan

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *