Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers | Kalam e Iqbal |Bang-e-Dara
Qawwal: Sabri Brothers (Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri)
Poet: Hazrat Allama Iqbal
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai
Par Nahiñ, Taaqat-e-parvaaz Magar Rakhti Hai
Qudsi-ul-asl Hai Rif’at Pe Nazar Rakhti Hai
Khaak Se Uthti Hai, Gardooñ Pe Guzar Rakhtīi Hai
Ishq Tha Fitnagar-O-Sarkash-o-Chaalaak Mera
Aasmaañ Chiir Gaya Naala-e-Bebāk Mera
Peer-e-Gardooñ Ne Kaha SunKe, Kahiñ Hai Koi
Bole Sayyaare Sar-e-Arsh-e-Bareeñ Hai Koi
Chaañd Kahta Tha Nahiñ Ahl-e-Zameeñ Hai Koi
Kahkashaañ Kahti Thi Posheeda Yahiñ Hai Koi
Kuchh Jo Samjha Mere Shikwe Ko To Rizwaañ, Samjha
Mujh Ko Jannat Se Nikaala Hua Insaañ, Samjha
Thi Farishtoñ Ko Bhi Hairat, Ke Ye Aawaaz Hai Kya
Arsh Waloñ Pe Bhi Khulta Nahiñ, Ye Raaz Hai Kya?
Taa-sar-e-arsh Bhi Insaañ Ki Tag-o-Taaz Hai Kya
Aa Gayi Ḳhaak Ki Chutki Ko Bhi, Parwaaz Hai Kya
ghafil aadaab se sukkaan-e-Zamiñ Kaise Haiñ
Shokh-O-Gustaakh Ye Pasti Ke Makeeñ Kaise Haiñ
Is Qadar Shokh, Ki Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjood-e-Malayik, Ye Wahi Aadam hai
Aalim-e-Kaif Hai, Daana-e-Rumooz-e-Kam Hai
Haañ Magar Ijz Ke Asraar Se Na-Mahram Hai
Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insaanoñ Ko
Baat Karne Ka Saleeqa Nahiñ Na-Daanoñ Ko
Aayi Aawaaz Gham-Añgez Hai Afsaana Tera
Ashk-e-Betaab Se Labrez Hai Paimaana Tera
Aasmaañ-Geer Hua Naara-e-Mastaana Tera
kis Qadar Shokh-Zabaañ Hai Dil-e-Deewaana Tera
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se, TūNe
Ham-Sukhan Kar Diya Bandoñ Ko Khuda Se, Tūne
Ham To Maa-il-Ba-Karam Haiñ, Koi Saa-il Hi Nahiñ
Raah Dikhlaa-eñ Kise, Rah-Raw-e-Manzil Hi Nahiñ
Tarbiyat Aam To Hai, Jauhar-e-Qaabil Hi Nahiñ
Jis Se Taameer Ho Aadam Ki, Ye Wo Gil Hi Nahiñ
Koi Qaabil Ho To Ham Shaan Kayi Dete Haiñ
Dhooñdhne Waaloñ Ko Duniya Bhi Nayi Dete Haiñ
Haath Be-Zor Haiñ, ilhaad Se Dil Khoogar Haiñ
Ummati, Baais-e-Ruswayi-e-Paighambar Haiñ
Büt-Shikan Uth Gaye, Baaqi Jo Rahe But-Gar Haiñ
Tha Baraheem Pidar Aur Pisar Aazar Haiñ
Baada-Aashaam Naye, Baada Naya, Khum Bhī Naye
Haram-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye
Wo Bhi Din The, Ki Yahi Maaya-e-Raanaayi Tha
Naazish-e-Mausam-e-Gul, Laala-e-Sahraayi Tha
Jo Musalmaan Tha, Allah Ka Saudaayi Tha
Kabhi Mahboob Tumhara Yahi Harjaayi Tha
Kisi Yakjaayi Se, Ab Ahd-e-Ghulami Kar Lo
Millat-e-Ahmad-e-Mursil Ko Maqaami Kar Lo
Kis Qadar Tum Pe Girañ Sub.h Ki Bedaari Hai
Ham Se Kab Pyaar Hai, Haañ Neeñd Tumheñ Pyari Hai
Tab-e-Aazad Pe Qaid-e-Ramazaañ Bhaari Hai
Tumheeñ Kah Do, Yahi Aaeen-e-Wafadaari Hai
Qaum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahiñ Tum Bhi Nahiñ
Jazb-e-Baaham Jo Nahiñ, Mahfil-e-Anjum Bhi Nahiñ
Jin Ko Aata Nahiñ Duniya Meñ Ko Fan, Tum Ho
Nahiñ Jis Qaum Ko Parwaa-e-Nasheman, Tum Ho
Bijliyaañ Jis Meñ Hoñ Aasooda Wo Khirman, Tum Ho
Bech Khaate Haiñ Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho
Ho Niko Naam, Jo Qabroñ Ki Tijarat Kar Ke
Kya Na Bechoge? Jo Mil Jaayeñ Sanam Patthar Ke
Saf’ha-e-Dahr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne
Nau-e-Insañ Ko Ghulami Se Chhudaya Kis Ne
Mere Ka’abe Ko Jabeenoñ Se Basaya Kis Ne
Mere Qur’an Ko Seenoñ Se Lagaya Kis Ne
The To Aabaa Wo Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho
Haath Par Haath Dhare Muntazir-e-Farda Ho
Kya Kaha Bahr-e-Musalmañ Hai, Faqat Wada-e-Hoor
Shikwa Beja Bhi Kare Koi, To Laazim Hai Shaoor
Adl Hai Faatir-e-Hasti Ka, Azal Se Dastoor
Muslim Aaeeñ Hua Kafir, To Mile Hoor-O-Qusoor
Tum Meñ Hooroñ Ka Koi Chaahne Waala Hi Nahiñ
Jalwa-e-Toor To Maujood Hai, Musā Hi Nahiñ
Manfa’it Ek Hai, Is Qaum Ka Nuqsan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi, Deen Bhi, Eeman Bhi Ek
Haram-e-Paak Bhi Allah Bhi Qur’aan Bhi Ek
Kuchh Badi Baat Thi, Hote Jo Musalman Bhi Ek!
Firqa-Bandi Hai Kahiñ Aur Kahiñ Zaateñ Haiñ
Kya Zamaane Meñ Panap-ne Ki Yahi Baateñ Haiñ
Kaun Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtaar
Maslehat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Mei-aar
Kis Ki Aañkhoñ Meñ Samaaya Hai Sha’aar-e-Aghyaar
Ho Gayi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Be-zaar
Qalb Meñ Soz Nahiñ, Rooh Meñ Ehsaas Nahiñ
Kuchh Bhi Paighaam-e-Mohammadﷺ Ka, Tumheñ Paas Nahiñ
Ja Ke Hote Haiñ Masaajid Meñ Saf-aara, To Ghareeb
Zahmat-e-Roza Jo Karte Haiñ Gawaara, To Ghareeb
Naam Leta Hai Agar Koi Hamaara, To Ghareeb
Parda Rakhta Hai Agar Koi Tumhaara, To Ghareeb
Umraa Nashsha-e-Daulat Meñ Haiñ, Ghaafil Ham Se
Zinda Hai Millat-e-Baiza, Ghuraba Ke Dam Se
Waaiz-e-Qaum Ki, Wo Pukhta-Khayaali Na Rahi
Barq-e-Tabayi Na Rahi, Shola-Maqaali Na Rahi
Rah Gayi Rasm-e-Azaañ, Rooh-e-Bilaali Na Rahi
Falsafa Rah Gaya, Talqeen-e-Ghazaali Na Rahi
Masjideñ Marsiyaañ-Khwañ Haiñ, Ke Namazi Na Rahe
Yaani Wo Sahib-e-Ausaaf-e-Hijaazi Na Rahe
Shor Hai, Ho Gaye Duniya Se Musalmaañ Naabood
Ham Ye Kahte Haiñ Ke, The Bhi Kahiñ Muslim Maujood
Waz’a Meñ Tum Ho Nasaara, To Tamaddun Meñ Hunood
Ye Musalmaañ Haiñ, Jinheñ Dekh Ke Sharmaayeñ Yahood
Yuñ To Sayyad Bhi Ho, Mirzā Bhi Ho, Afghaan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuchh Ho Bataao To, Musalmaan Bhi Ho
Aql Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamshir Teri
Mere Darwesh Khilaafat Hai Jahañgir Teri
Maa-Siwa-allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Tū Musalmaañ Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri
Ki Mohammad ﷺ Se Wafa Tū Ne To Ham Tere Haiñ
Ye Jahañ Cheez Hai Kya Lauh-o-Qalam Tere Haiñ
More Qawwalis From:
|Sabri Brothers | | Rahat Fateh Ali Khan | | Nusrat Fateh Ali Khan | | Aziz Miyan | |Naat-e-Paak |
Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers Jawabe Shikwa Lyrics Sabri Brothers