Jashn Manao Gajj Wajj Ke Lyrics | Owais Raza Qadri

Jashn Manao Gajj Wajj Ke Lyrics – Owais Raza Qadri

 

Aaya Sohna Dhooma Pay Gaiyan

Aaya Sohna Dhooma Pay Gaiyan

 

Man Mohna Dhooma Pay Gaiyan

Chan Charya Dhooma Pay Gaiyan

 

Har Passy Dhooma Paiyan Nay

Sarkar Asaan De Andey Nay

 

Galiyan Bazar Vi Sajhiyan Nay

Man That Assan De Anday Nay

 

Sangyun Aaj Jashn Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashn Manao Gajj Wajj Ke

 

Kounain Hoye Jag Mag Jag Mag

Ab Chand Khuda Ke Aate Hain

Ham Kar Ke Charagha Apne Ghar

Aamad Ka Jashn Manate Hain

 

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

 

Aaye Aaqa Bolo Marhaba

Sadey Mola Bolo Marhaba

Sadey Dibar Bolo Marhaba

Sadey Rahwar Bolo Marhaba

Sadey Haami Bolo Marhaba

Sadey Yawar Bolo Marhaba

 

Jibreel Ko Aaj Ye Huqm Mila

Barat Farishton Ki Le Ja

Mujhda Ye Aamina Bi Ko Suna

Ham Bhaag Tere Chamkate Hain

 

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

 

Aaya Sohna Dhooma Pay Gaiyan

Man Mohna Dhooma Pay Gaiyan

Chan Charya Dhooma Pay Gaiyan

 

Gushan Me Anadil Hain Chahke

Kaliyan Chatki, Hain Gul Mahke

Har Shoukh e Chaman Kah Ke Lahkey

Wo Jaan e Baharañ Aate Hain

 

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

 

Wo Jaan e Jahan Jaan e Imaañ

Wo Hain Wajh e Takhleeq e Jahañ

Hain Jalwa Numa Woh Shah e Shahañ

Jo Maalik e Kul KahLaate Hain

 

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

 

Moullood e Nabi Ki Hain Ghadiyañ

Kaise Na Manayeñ Ham Khushiyañ

Ban Jayengi Apni Bhi Batiyañ

Har Guththi Wo Suljhate Hai Hain

 

Sangyun Aaj Jashn Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashn Manao Gajj Wajj Ke

 

Eidoñ Ki Eid Ubaid Aayi

Rahmat Ki Ghata Har Su Chhayi

Khush Haal Na Kyuñ Ho Shaidaayi

Eidi Rab Se Diwate Hain

 

Sangyun Aaj Jashn Manao Gajj Wajj Ke

Sangyun Aaj Jashan Manao Gajj Wajj Ke

 

Aaye Aaqa Bolo Marhaba

Sadey Mola Bolo Marhaba

Sadey Dibar Bolo Marhaba

 

Sadey Rahwar Bolo Marhaba

Sadey Haami Bolo Marhaba

Sadey Yawar Bolo Marhaba

 

Naat Khwan: Owais Raza Qadri 

Lyrics: Obaid Raza Qadri 

 

More Rabiul awwal Kalam 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali