Jannat Ka Ek Majra Qawwali Lyrics

Jannat Ka Ek Majra Sunauñ Aap Ko Lyrics

जन्नत का एक माजरा सुनाऊं आप को – राहत फतेह अली ख़ान

Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan

Balaghal Ula Bikamalehi

Kashafad duJa BeJamalehi

Hasunat Jamee o Khisaalehi

Sallu Alaihe Wa Aalehi

बलाग़ल उला बे कमालेही

कशा फ़द्दुजा बे जमालेही

हसुनत जामीओ ख़िसालेही

स़ल्लू अ़लैहे व आलेही

 

Jannat Ka Ek Majra Sunaaun Aapko

Jannat Ka Ek Majra Sunaaun Aapko

Mere Sath Kya Hua Tha Maiñ Bataauñ Aapko

Mere Sath Kya Hua Tha Maiñ Bataauñ Aapko

जन्नत का एक माजरा सुनाऊं आप को

मेरे साथ क्या हुआ था, मैं बताऊं आप को

 

Kal Din Tha Jumeraat Ka, Mauka Bhi Khaas Tha

Aaqa Ka Zikr Karte Hue, Dil Udaas Tha

कल दिन था जुमेरात का, मौक़ा भी ख़ास था

आक़ा का ज़िक्र करते हुए, दिल उदास था

 

Maiñ Huñ Kahañ, Ye Mujh Ko, Na Hargiz Ehsaas Tha

Ik Mere Aur Khuda Ke Siwa, Koyi Na Pas Tha

मैं हूं कहां, ये मुझको न हरगिज़ एहसास था

इक मेरे और ख़ुदा के सिवा, कोइ न पास था

 

Mujh Ko Nahin Pata, Maiñ Gahri Neeñd So Gaya

Jab Aankh Lagi….

Jab Aankh Lagi, Aaqa Ka Deedar Ho Gaya

Jab Aankh Lagi, Aaqa Ka Deedar Ho Gaya

मुझको नहीं पता मैं गहरी नींद सो गया

जब आंख लगी…

जब आंख लगी, आक़ा का दीदार हो गया

 

Phir Aayi Ik Hawa, Mujhe Uda Ke Le Gai

Phir Aayi Ik Hawa, Mujhe Uda Ke Le Gai

Kuchh Der Tak To Mujh Ko Apni Hosh Na Rahi

Kuchh Der Tak To Mujh Ko Apni Hosh Na Rahi

फिर आई इक हवा मुझे उड़ा के ले गई

कुछ देर तक तो मुझको अपनी होश ना रही

 

Taare Jhuke Hue The, Manzar Ajeeb Tha

Mera Nabi To Mere, Dil Ke Qareeb Tha

तारे झुके हुए थे, मंज़र अजीब था

मेरा नबी तो मेरे दिल के क़रीब था

 

Yaqoob Bhi The, Yousuf o Moosa Bhi The Wahañ

Daada Nabi Ke Ibrahim Aur Sulemaañ

याक़ूब भी थे, यूसुफ ओ मूसा भी थे वहां

दादा नबी के इब्राहीम और सूलेमां

 

Nahreñ Thiñ Doodh Ki Wahan, Tha Noor Ka Samaañ

Jannat Meñ Jitne Log The, Wo Saare The Jawaañ

नहरें थीं दूध की वहां, था नूर का समां

जन्नत में जितने लोग थे, वो सारे थे जवां

 

Phir Dekhta Huñ Kya, Meri Sarkaar Aa Gaye

Sab Ambiya Ye Bole Ke Sardaar Aa Gaye

फिर देखता हूं क्या, मेरी सरकार आ गए

सब अंबिया ये बोले, के सरदार आ गए

 

Jannat Meñ, Maiñ Huñ Mujh Ko Aitbaar Ho Gaya

Jab Aankh Lagi…

Jab Aankh Lagi Aaqa ka deedar ho gya

Jab aankh lagi Aaqa ka deedar ho gya

जन्नत में मैं हूं, मुझको ये एहसास हो गया

जब आंख लगी…

जब आंख लगी आक़ा का दीदार हो गया

 

Jannat ki Sair Kar Ke Meñ, Ik Pal Men Aa Gaya

Jannat ki Sair Kar Ke Meñ Ik Pal Men Aa Gaya

Aate Hi Meri Aañkhoñ Meñ Añdhera Chha Gaya

Aate Hi Meri Aañkhoñ Meñ Andhera Chha Gaya

जन्नत की सैर कर के, मैं इक पल में आ गाया

आते ही मेरी आंखों में अंधेरा छा गया

 

Phir Aayi Ik Awaz Ke Saadiq Hai Tu Kahañ

Hukm e Khuda Hai Aaj Iski LeKe Aao Jaañ

फिर अाई इक आवाज़ के सादिक़ है तू कहां

हुक्म ए ख़ुदा है, आज इसकी लेके आओ जां

 

Jab Nikli Meri Jaañ, Mere Gham Khwaar Aa Gaye

Mujh Ko Bachaane Lahad Meñ Sarkaar Aa Gaye

जब निकली मेरी जां, मेरे ग़मख़्वार आ गए

मुझको बचाने लह्द में सरकार आ गए

 

Poochha Nakeeroñ Ne Mujhe, Kya Naam Hai Tera

Dunya Meñ Kya Kiya Hai, Kya Kaam Hai Tera

पूछा नकीरों ने मुझे, क्या नाम है तेरा

दुनियां में क्या किया है, क्या काम है तेरा

 

Tere Haath Meñ Hai Kaaghaz Aur Us Pe Naat Hai

Hukm e Khuda Se Jaa, Teri Saadiq Nijaat Hai

तेरे हाथ में है कागज़, और उसपे नात है

हुक़्म ए ख़ुदा से जा, तेरी सादिक़ निजात है

 

Jin Ke Karam Se PulSaraat Paar Ho Gaya

Jab aankh lagi…

Jab Aañkh Lagi Aaqa Ka Deedar Ho Gaya

Jab Aañkh Lagi Aaqa ka deedar ho Gaya

जिनके करम से, पुलसरात पार हो गया

जब आंख लगी..

जब आंख लगी आक़ा का दीदार हो गया

 

Har Simt Noor Phaila Hai, Sub’ho Ka Waqt Hai

Maiñ Door Khada Dekhta Hooñ, Ek Takht Hai

हर सिम्त नूर फैला है, सुबहो का वक़्त है

मैं दूर खड़ा देखता हूं, एक तख़्त है

 

Us Takht Meñ Yaqoot Aur Laal Jade Haiñ

Baithe Haiñ Aaqa Takht Pe, Hasnain Khade Haiñ

उस तख़्त में याक़ूत और लाल जड़े हैं

बैठे हैं आक़ा तख़्त पे, हसनैन खड़े हैं

 

Phir Saare Aaye Ambiya, Sarkaar Ke Liye

Saare Hi BeQaraar The, Deedaar Ke Liye

फिर सारे आए अंबिया, सरकार के लिए

सारे ही बेक़रार थे, दीदार के लिए

 

Mehfil Jami Thi Nabiyoñ Ki, Dildaar The Mohammad

Saare Hi Ambiya The, Sardar The Mohammad

महफ़िल जमी थी नबियों की, दिलदार थे मुहम्मद

सारे ही अंबिया थे, सरदार थे मोहम्मद

 

Karbal Ka Zikr Jab Chhida, Ghamgeen Ho Diye

Mere Aaqa Ne Bas Itna Kaha Aur Ro Diye

करबल का ज़िक्र जब छिड़ा, ग़मगीन हो दिए

मेरे आक़ा ने बस इतना कहा और रो दिए

 

Mere Deeñ Ki Laaj Rakh Li, Mere Dil Ke Chain Ne

Karbal Meñ Sar Kata Diya…

karbal Meñ Sar Kata Diya, Mere Husain Ne

Karbal Men Sar Kata Diya, Mere Husain Ne

मेरे दीं की लाज रखली, मेरे दिल के चैन ने

करबल में सर कटा दिया…

करबल में सर कटा दिया, मेरे हुसैन ने

 

Jannat Meñ Dekhta Hooñ Ke Kitne Hujoom Hai

Jannat men dekhta hoon ke kitne hujoom hai

Hai Kon Aaj Aaya, Kis Ko Maloom Hai

जन्नत में देखता हूं के, कितने हुजूम हैं

है कौन आज आया, किसको मालूम है

 

Imdaad Ko Wo Aaya, Wo To Quyyoom Hain

Kuchh Log Keh Rahe The Ke Yousuf Ki Dhoom Hai

इमदाद को वो आया, वो तो क़य्यूम है

कुछ लोग कह रहे थे के, यूसुफ की धूम है

 

Dekhi Jo Jhalak Unki, Mera Dil Tadap Gaya

Sadqa Nabi Ke Husn Ka, Yousuf ko hai mila

देखी जो झलक उनकी, मेरा दिल तड़प गया

सदक़ा नबी के हुस्न का, यूसुफ को मिल गया

 

Jis Ne Hameñ Bachaya, Wo Lajpal Aa Gaya

Jaao Dekh Lo Ke Aamna Ka Laal Aa Gaya

जिसने हमें बचाया वो लजपाल आ गया

जाओ देखलो के आमना का लाल आ गया

 

Sadiq Wo Mar Ke Lahad Meñ Bhi Chain Paaeñge

Saare Nabi Ke Ummati, Jannat Meñ Jaaeñge

सादिक़ वो मर के, लहद में भी चैन पाएंगे

सारे, नबी के उम्मती, जन्नत में जाएंगे

 

Jin Ka Nabi Pe Jaan o Dil Nisaar Ho Gaya

Jab Aañkh Lagi Aaqa ka Deedar Ho Gaya

Jab Aañkh Lagi Aaqa ka Deedar Ho Gaya

जिनका नबी पे जानो दिल निसार हो गया

जब आंख खुली आक़ा का दीदार हो गया

 

Jannat Ka Ek Maajra Sunaauñ Aapko

Jannat Ka Ek Majra Sunaau Aapko

Mere Sath Kya Hua Tha Maiñ Bataauñ Aapko

Mere Sath Kya Hua Tha Maiñ Bataauñ Aapko

जन्नत का एक माजरा सुनाऊं आप को

मेरे साथ क्या हुआ था, मैं बताऊं आप को

 

Kal Din Tha Jumeraat Ka, Mauka Bhi Khaas Tha

Aaqa Ka Zikr Karte Hue, Dil Udaas Tha

कल दिन था जुमेरात का, मौक़ा भी ख़ास था

आक़ा का ज़िक्र करते हुए, दिल उदास था

 

Maiñ Huñ Kahañ, Ye Mujh Ko, Na Hargiz Ehsaas Tha

Ik Mere Aur Khuda Ke Siwa, Koyi Na Pas Tha

मैं हूं कहां, ये मुझको न हरगिज़ एहसास था

इक मेरे और ख़ुदा के सिवा, कोइ न पास था

 

Mujh Ko Nahin Pata, Maiñ Gahri Neeñd So Gaya

Jab Aankh Lagi….

Jab Aankh Lagi, Aaqa Ka Deedar Ho Gaya

Jab Aankh Lagi, Aaqa Ka Deedar Ho Gaya

मुझको नहीं पता, मैं गहरी नींद सो गया

जब आंख लगी…

जब आंख लगी, आक़ा का दीदार हो गया


Hindi And English lyrics

| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *