Ishrat Se Mujhe Kaam Lyrics In English
Voice: Mufti Abdullah Bin Abbas
Lyrics: Mufti Muhammad Taqi Usmani
हिन्दी के लिए यहां टच करें
Ya Allah, Ya Rahman, Ya Rahim, Ya Karim
Ya Ghafooro, Ya Shakuro, Ya Wadudo, Ya Majeed
Moula Moula Moula Moula
Moula Moula Moula Moula
Allah ……..
Ishrat Se Mujhe Kaam Na Duniya e Tarab Se
Dekha Hai Nihaan Khana e Dil Ankh Ne Jab Se
Nazdeek Wo Itne The Ke Bas Mil Gaye Dil Me
Tha Garam e Safar Jinke Liye Jaan Me Kab Se
Gar Jumbush e Mijga.n Karishma Hai Ye Duniya
Kya Dhoom Machegi teri Ik Jumbish e Lab Se
Ishrat Se Mujhe Kaam Na Duniya e Tarab Se
Dekha Hai Nihaan Khana e Dil Ankh Ne Jab Se
Ae Julmat e Haalaat Se Ji Chhorne WaLo
Pau Fat’ti Hai Har Roz Isi Seena e Shab Se
Khushiyon Ke Muqaddar Me Hai Sadmon Ki Rafaaqat
Kaante Ye Sada Dete Hein Phoolon Ke Aqab Se
Ishrat Se Mujhe Kaam Na Duniya e Tarab Se
Dekha Hai Nihaan Khana e Dil Ankh Ne Jab Se
Allah Re Chehre Pe Ye Aijaz Mohabbat
Rang Aur Nikhar Aata Hai Kuchh Ranj-o-Ta’ab Se
Do Gaam Chale The Ke Nazar Aa Gaayi Manzil
Markab Koi Behtar Na Mila Tarke Talab Se
Ishrat Se Mujhe Kam Na Duniya e Tarab Se
Dekha Hai Nihaan Khana e Dil Ankh Ne Jab Se
Pal Bhar Me Wo Afsana e Dil Kah Gayin Aankhen
Barson Me Bhi Jisko Na Suna Paun Mein Lab Se
Ae Sub’ho Ko Tanveer e Shafaq Dekhne Walo
Foota Hai Ye Asl Me Qurbani e Shab Se
Kya Kam Hai Ye Aijaz Ke Us Bazm Me Aasi
Hai Zikr Mera Zalim o Nada.n Ke Laqab Se
Ishrat Se Mujhe Kam Na Duniya e Tarab Se
Dekha Hai Nihaan Khana e Dil Ankh Ne Jab Se
Ishrat Se Mujhe Kaam
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan