Ishq e Junoon Soo e Hira Le Chal Lyrics
Singer: Zain Bin Nazar
Lyrics: Naeem Siddiqui
Aye Ishq e Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Kashti mere Aañsu ki aye sail e Bala le chal
Patwaar nahi iski maujoñ pe Baha le chal.
Is Khaak E Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishq e Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Haalaat ke qaidi ko aye soz e dua le chal
Az bahre khuda chal ta shahr e buda le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishq e Junoon Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Milti hai Jahañ aye gham, har gham ki dawa le chal
Ta koh e safa le chal ya soo e qaba le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishq e Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Preshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Is fasl e baharaañ ki deta hooñ qasam tujhko
Khushoo ki tarahñ mujhko aye baad e Saba le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishqe Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal

Aye Ishq e Muhammad ﷺ ab itni si tamanna hai
Baatil ke tilasmoñ se eemaañ ko bacha le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishqe Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Prishañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Furqat meiñ hi jeena hai, jeete hue ghulna hai
Aye paik e qaza mujhko jeene se chhuda le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishqe Junooñ Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Prishañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Naghmaat e Hudi-khwañ ki maujoñ hi pe bah niklooñ
Haañ saath mujhe apne aye sail e nawa le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishqe Junoon Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Prishañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye mere khayaloñ ki parwaz udaa mujh ko
Aye mere hi naaloñ ki pur-soz nawa le chal.
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Aye Ishqe Junoon Parwar Phir Soo e Hira Le Chal
Is Khaak e Preeshañ Ke Zarroñ Ko Uda Le Chal.
Our Pages
Naat-E-Paak
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam