Hazrat Imam Hussain AS Lyrics | 2022 | 1444 | Nadeem Sarwar

Hazrat Imam Hussain AS Lyrics | 2022 | 1444 | Nadeem Sarwar


हिंदी में पढ़िए


Hussain…
Hussain…
Hussain…

Dayeñ Hassan Bayeñ Jari
Pusht-Panaahi Ko Nabi
Sar Pe Khudawand-e-Jali
Seena-Sipar Zahra-Ali

 

Mere Maula Ko Mayassar Hai kHazane Kaisa !
Inka Rutba Hai Imamoñ Mein Shahana Kaisa !
Kaise Kaise Haiñ Nasiboñ Meiñ Ujaale Inke !
Mere aaqa Ko Mila Hai Gharana Kaisa !

Marhaba! Marhaba! Mustafa Ki Baat Meiñ
Ba-Khuda, Ba-Khuda Saari Kayenaat Meiñ
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Lakhoñ Durood Aap Pe Laakhoñ Salam

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Allah Ne Kya Khoob Sañwaara Hai !
Sarkar Ke Aañgan Meiñ Utaara Hai !
Har Qaum Ki Aañkhoñ Ka Sitaara Hai !

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Zinda Haiñ Hussain, Unka Hai Kirdaara Bhi Zinda
Kirdaar Jo Zinda Hai To Maiyaar Bhi Zinda
Maiyaar Jo Zinda Hai To Afkaar Bhi Zinda
Afkaar Jo Zinda To Azakaar Bhi Zinda

Ibtida Ibtida Mustafa Ke Dosh Per
Intiha Intiha Neize Per Buland Sar
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Hussain
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Hussain
Sadaaqatoñ Ki Rahguzar Ya Hussain
Kaho Kaho Ba-Chashm-e-Tar Ya Hussain

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Taareekh Meiñ Is Jaisa Na Insaan Milega
Aisa Na Koi Aashiq-e-Rehman Milega
Na Aisa Koi Shaah e Shaheedaan Milega
Na Aisa Koi Sabr Ka Sultan Milega

Laa Ilaha, La Ilaha, La Ilah Ka Paasbaañ
Deeñ-Panaah, Deeñ-Panaah Mustafa Ka Tarjuma
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Allah Ne Kya Khoob Sañwaara Hai !
Sarkar Ke Aañgan Meiñ Utaara Hai !
Har Qaum Ki Aañkhoñ Ka Sitaara Hai !

Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Hussain Alaihis-Salam

 

Har Dil Mein Gham-e-Sayyad-e-Abrar Milega
Har Daur Meiñ Mazloom Ka Gham-Khwar Milega
Har Qaum Meiñ Shabbir Ka Zawwaar Milega
Har Mulk Meiñ Maula Ka Azadaar Milega

Har Jagah Har Jagah Mominoñ Ke Darmiyañ
Hai Sada Hai Sada Dhadkanoñ Ke Darmiyañ
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Hussain
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Hussain
Sadaaqatoñ Ki Rahguzar Ya Hussain
Kaho Kaho Ba-Chashm-e-Tar Ya Hussain

Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain

 

Haathon Meiñ Alam Thaame Wo Aata Hai Azaadaar
Hañ Majlis o Matam Meiñ Hi Rehta Hai Azaadaar
Maañ-Baap Hussaini Hoñ To Banta Hai Azaadaar
Maula Ye Tumhara Hai Tumhara Hai Azaadar

Silsila Silsila Ye Azaa Ka Silsila
Rabta Rabta Karbala Se Rabta
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Allah Ne Kya Khoob Sañwaara Hai !
Sarkar Ke Aañgan Meiñ Utaara Hai !
Har Qaum Ki Aañkhoñ Ka Sitaara Hai !

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Shabbir Ka Dil Dekhe Zara, Dekhe Zamana
Wallah! Kaha Tha Jo Wohi Kar Ke Dikhaya
Khushnoodi-e-Khaliq Meiñ Bhare Ghar Ko Lutaya
Neze Pe Bhi Aaya To Usi Shaan Se Aaya

Baadshah Baadshah Hai Diloñ Ka Baadshah
Chha Gaya, Chha Gaya do Jahañ Pe Chaa Gaya
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Hussain
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Hussain
Sadaaqatoñ Ki Rahguzar Ya Hussain
Kaho Kaho Ba-Chashm-e-Tar Ya Hussain

Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain.. Ya Hussain Ya Hussain

 

Kis Shaan Se Maqtal Mein Qadam Rakhta Hai Shabbir
Kab Jaan Ki Parwaah Kiya Karta Hai Shabbir
Darta Hai, Na Jhukta Hai, Na Ghabraata Hai
Laakhoñ Bhi Mukhaalif Hoñ To Sach Kehta Hai Shabbir

Hausla Hausla Shaah-e-Deeñ Ka Housla
Sun Sada, Sun Sada Do Jahañ Ki Hai Sada
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Allah Ne Kya Khoob Sañwaara Hai !
Sarkar Ke Aañgan Meiñ Utaara Hai !
Har Qaum Ki Aañkhoñ Ka Sitaara Hai !

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Haañ, Aao Kareñ Hum Shahe Abrar Ka Matam
Islam Ke Mohsin Ka, Madadgar Ka Aalam
Asghar, Ali Akbar Ka Aur Ansaar Ka Matam
Zainab Ka, Sakeena Ka, Alamdaar Ka Matam

Be-Khata, Be-Khata Haiñ Ghareeb e Saiyada
Hai Bapaa, Hai Bapaa Tera Gham Jagah-Jagah
Gooñj Raha Hai Bas Ek Naam…

Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam
Hazrat Imam Husain Alaihis-Salam

 

Dayeñ Hassan Bayeñ Jari
Pusht-Panaahi Ko Nabi
Sar Pe Khudawand-e-Jali
Seena-Sipar Zahra-Ali

Hazrat Imaam Hussain-Hussain
Hazrat Imaam Hussain-Hussain

 

Haye! Shah-e-Mashriqain
Aye Dil-e-Zahra Ke Chain
Hañ, Mere Maula Hussain

Hazrat Imam Hussain-Hussain
Aali Maqaam Hussain-Hussain
Tum Pe Salam Hussain-Hussain

Hazrat Imaam Hussain-Hussain
Hazrat Imaam Hussain-Hussain

 

Haye! Shahe Karbala
Aap Ka Ghar Lut Gaya
Wada Wafa Kar Diya

Hazrat Imaam Hussain-Hussain
Hazrat Imaam Hussain-Hussain

 

Shaah-e-Zaman Hussain-Hussain
Zakhmi-Badan Hussain-Hussain
Tishna-dahan Hussain-Hussain

Hazrat Imaam Hussain-Hussain
Hazrat Imaam Hussain-Hussain

 

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Shahidan e Karbala| Salam | Nohay

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *