Hare Jhande Ke Shahzade Bade Peer Dastgeer Lyrics
Qawwal: Ghaus Muhammad Nasir
हिन्दी Hindi
Rutwa Samajh Meiñ Aa Nahiñ Sakta Khuda Gawaah
Itna Bada Maqaam Hai Peeraan e Peer Ka
Hare Jhande Ke shahzade bade Peer Dastgeer
Bade Peer Dastgeer Bade Peer Dastgeer
Bade Peer Dastgeer Bade.. Ya Ghaus e Azam
Maiñ Qadri Hooñ Shukr Hai Rabb e Qadeer Ka
Daman Hai Mere Haath Meiñ Peeran e Peer Ka
Wo Haiñ Ji.. Bade Peer Dastgeer
Bade Peer Dastgeer Bade.. Ya Ghaus e Azam
Mere Peer Dastgeer, Mere Peer Dastgeer
Bade Peer Dastgeer
Mere Peer Dastgeer, Bade Peer Dastgeer
Ya Ghaus Mujh Ghareeb Ka Adna Sawaal Do
Badkaar Badnaseeb Ko Kuchh Deke Taal Do
Taaj e Sikandari, Na To Duniyañ Ka Maal Do
Sadqa Rasool e Paak Ka Jholi Meiñ Daal Do
Unke Darbaar Meiñ Jannat Ka Maza Aata Hai
Unki Chaukhat Pe Ibaadat Ka Maza Aata Hai
Unki Chaukhat Pe Farishtoñ Ke Bhi Sar Jhukte Haiñ
Sar Utha Kar Jo Chale Uske Qadam Rukte Haiñ
Girne Wale Ko Mere Ghaus Bacha Lete Haiñ
Wo Ghareeboñ Ko Kaleje Se Laga Lete Haiñ
Shamm e Azzali Ka Parwana Hooñ Maiñ
Shola e Ulfat Meiñ Ab Jalta Hooñ Maiñ
Dil Se Unka Chaahne Wala Hooñ Maiñ
Jaanti Hai Mujhko Duniya Kya Hooñ Maiñ
Ghaus e Jeelani Ka Deewana Hooñ Maiñ
Allah! Allah! Rutwa e Ghausul Wara
Jinke Kaandhe Par Hai Paa e Mustafa
Kya Karegi Aafat e Duniyañ Mera
Sar Se Tal Jaati Hai Mere Har Bala
Naam Jis Dam Ghaus Ka Leta Hooñ Maiñ
Dada Hasan Tumhare, Nana Husain Tumhare
Bade Gharane Wala Ho, Bade Peer Dastgeer
Ya Mere Ghaus Piya..
Allah Ki Baargah Se Sab Ki Muraad Laa Do
Sab Ki Muraad Laa Do…
Sadqe Jaooñ Tumhare…ji
Waari Jaooñ Tumhare.. Ji, (Haq) Bade Peer Dastgeer
Waari Jaooñ Tumhare.. Ji, Bade Peer Dastgeer…
Mushkil Waqar Ki Ab Aasan Kardo Ya Ghaus
Mushkileñ Hum Sab Ki Aasan Kar Do Ya Ghaus
Laakhoñ Ko Paar Utaare Ji Bade Peer Dastgeer
Bade Peer Dastgeer..
Are, Bade Peer Dastgeer…….
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |