Haidri rang me rang jao mere yaar Lyrics

Haidri rang me rang jao mere yaar Lyrics

 

Ali ali maula, ya ali maula

Man kunto maula
Fa-haza aliun maula

Ali ali maula, ya ali maula

 

Haideri rang me rang jao mere yaar ×2

Bolo na, bolo na, Bolo na…

Haideri rang me rang jao mere yaar ×2

 

Wo ali shere khuda
Jinka bayañ baagh e hadi
Jinki nigah noor e khuda
Jinki zuba.n sidq baya.n
Jinki har ik tarz e ada
Sunnat e sarkar

Woh hain ik nemat e ghaffar
Ata e shahe abraar
Shuja’at ke alam daar
Wo hain bagh e wilayat ke taraf daar
Ali se hai hamen pyaar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Unki kaabe me wiladat
Hui Masjid me shahadat
Ye hai kitni badi azmat
Ke har ik dil me basi unki mohabbat
Ye hai fazle shahe kaunain

Unki khidmaat se hai
ilm ke baghaat me
Iman ki soughaat me
islam ke aiwan me
Damaan me
ek fasl e bahar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Wo ali mere ali, pyare ali,
sachhe ali, Achhe ali,
jinko mere aaqa ki beti hai mili
Jinko jahan kehne laga haider e karrar

Ilm ke baab hain,
as’haab me shadab hain
Wo tohfa e sarkar hain,
dunia e mohabbat me Ziyabaar hain
islami chaman ki hain bahaar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Wo huye fat’he khaiber
mere sarkar ke dilbar
Pidar e sibt e payamber
huye sab waliyon ke sarwar
Wo huye gulshan e as’hab ke gulzaar

Unki be-misl shuja’at pe
hai siddiq ko Bhi naaz
Sahaba me huye kitne wo mumtaaz
Meri tooti zuban se nahin
ho sakta ye izhar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Jab liya naam e ali
Mushkileiñ sab door huiñ
Dil ki kali khilne lagi
Halat e muztar me mila
Chain o qaraar …

Har qadam pe hai mujhe unka sahara
Mera har kaam hai banta
unhi ke dam se mahakta hai mera
Aaj ye kirdaar …

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Qalb me jazwa e iman liye
Mash’al e siddiq liye
Jurrat e farooq liye
Ulfat e usman liye
Maula ne

Hukm e sarkar se
darwaza e khaibar ko ukhara
Kahin marhab ke takabbur ko Bhi
mitti me milaya
Wo bane deen ki talwar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Bahr e gustakh
Wo talwar e khuda
Khanjar e mahboob e khuda
Unke ali naam se larzaañ haiñ
Abhi tak sabhi aivaan e adu

Kal bhi tha naam e ali
Aaj bhi hai naam e ali
Hashr talak goonjegi
Is naam e ali ki Jahañ me
har soo pukaar

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

Wo kahañ sher e khuda
Jaan e wafa
Noor e nabi
shaan e wali
Bahre shaqi
Kahr e jali
Aur kahañ adna qalam hai
Mera tafseer raza

Midhat e mola ali kaise karun
Kya kya likhun
shaan e ali
Hai meri had se bhi fuzun
Bas yunhi Main zikr e ali karta rahun
Lail o nahaar …

 

Haideri rang me rang jao mere yaar

Bolo na, bolo na, Bolo na

Haideri rang me rang jao mere yaar

 

 

Poet: Tafsir Raza Amjadi
Manqabat Khan: Ghulam mustafa qadri

Haidri rang me rang jao Lyrics

Haidri rang me rang jao Lyrics In English


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *