Gumbad e Aafaaq Mein Raushan Huyi Sham’e Nijaat Lyrics | گنبدِ آفاق میں روشن ہوئی شمعِ نجات | Nau’e Insañ Ko Mubarak Ho! Ali Paida Hua | نوعِ انساں کو مبارک ہو ! علی پیدا ہوا
Kalam e Hazrat Peer Naseeruddin Naseer Gilani R.a
اردو میں پڑھیے
Musaddas Dar Viladat-e Ad-Dhirghaam-us- Saalib, Asadullahil-Ghalib Ameer-ul-Momineen Ali Ibn-e-Abi-Taalib Radhi Allahu T’aala Anhu
Gumbad e aafaaq mein raushan huyi sham’e nijaat
Lahlahayi zulf-e-laila-e-rumooz-e-shash jihaat
Ghul Raha Hai aasmañ par ghurfa-e-zaat-o-sifaat
Uth raha hai burqa-‘e-salmaa-e-rooh-e-kayenaat
Zindagi, ilm o firaasat ka maza chakhne ko hai
Farsh par aflaak ki azmat , Qadam Rakhne Ko hai.
Aasmañ nikhra ubharta aa raha hai aftab
Uth raha hai ruye asraro haqayaq se niqab
Khul Rahi Hai zahn par idrak-o-irfañ ki kitab
Kah Rahi Hai zindagi, ya laitani kunto turab
Arifoñ ko muzda, shaah-e-arifañ aane ko hai
Ay zameeñ sajde meiñ gir ja ! aasmañ aane ko hai.
(Note: yahañ aaya-e karima “ya laitani kunto turab” ke bajaye hadidh sharif ke alfaz “ya aba turab” ke mafhoom ko samne rakhte hue misra padha Jaye – Naseer)
Us ke aate hi nabuwwat ka nishañ khul jayega
Uqda e virana e rooh e jahañ khul jayega
Kufl e aivan e umoor e ein o aañ khul jayega
Ganj e fikr o baab e asrar e nihañ khul jayega
Faash kar dega zumoor e andak-o-bisyar ko
Khol dega ghurfa haye sabit o sayyar ko.
Lo wo damka matla-‘e-sidq-o-safa par aftab
Aasman-e-aql-o-daanaayi pe wo jhoome sahaab
Lo wo aaya sahib-e-saif-o-qalam gardooñ janab
Marhaba woh aaye bazm-e-aab-o-gul meiñ Bu-turaab
Lo, wo lauh-e-dahr par naqsh-e-jali paida hua
Nau-‘e-Insañ ko mubarak ho! Ali paida hua.
Aap ke aate hi badla, zindagi ka har nizam
Ho gaya duniya mein lutf-e-khaas, se faizan-e-‘aam
Peshwayi ka kiya k’aba ne az-khud ehtimaam
Baada-e sidq-o-safa ke aa gaye gardish mein jaam
Aql ke kaañte pe asrar-e-nihañ tulne lage
Laili-e-afkaar ke band-e-qaba khulne lagi.
Theekroñ meiñ taabish-e-taaj-e-kayaani aa gayi
Phir zameeñ meiñ aab-o-taab-e-aasmani aa gayi
Az-sar-e-nau khoon-e-hasti meiñ rawaani aa gayi
Misr phir jhooma, Zulaikha par jawani aa gayi
Laili-e-aafaaq par barnaaiyañ chhaane lagiñ
Shaahid-e-itlaaq ko angdaaiyañ aane lagiñ.
Fikr ki kaliyoñ ko zahnoñ mein chatakna aa gaya
‘Andleeb-e-mohr bar lab ko, chahakna aa gaya
Bazme boo meiñ jaame wahdat ko khanakna aa gaya
Shaakh ko hilna, sanowar ko lachakna aa gaya
Laili-e-husne takallum ko ‘amaari mil gayi
Khisrav-e ma’ana ko lafzoñ ki sawari aa gayi.
Kaakul-e-laila-e-fitrat ko sanwarna aa gaya
Shaana-e-khoobañ pe zulfoñ ko bikharna aa gaya
‘Ilm ke lahje ko roohoñ meiñ utarna aa gaya
Nutq ko alfaaz ki soorat ubharna aa gaya
Choomne haft aasmañ paaye-zamiñ aane lage
Tohfa-e-yazdañ liye roohul ameeñ aane lage.
Bint-e-jaudat ko qaba ke band kasna aa gaya
Abr-e-naisañ ko gulistañ par barasna aa gaya
Dasht gulshan ban gaye, shahroñ ko basna aa gaya
Paa-ba-gil nakhl-e-tamanna ko ukasna aa gaya
‘Arah ki tanveer se m’amoor farsh-e-khaak hai
Aashna husn-e-tamaddun se, khash-o-khaashaak hai.
Khema-e-daanishvari meiñ ‘ood sulgaya gaya
Zamzmoñ ka, motiyoñ ka, abr barsaya gaya
She’ro naghma ko haseeñ aahang par laya gaya
Hoor ko wajd aaye jis par raag woh gaaya gaya
Nau ‘uroos-e-zahn ko rang-e-hina sajne laga
Zindagi jhoomi, kaDe se jab chhaDa bajne laga.
(Note: Hoor arbi zabaan ka lafz hai Hoora ki jama hai, magar aksar ahle ilm bhi ise bataure wahid baandhte aur Hooreñ iski jama samajhte hai. Jo ghalat hai. Choonke lafze Hoor khud jama hai aur iska Wahid Hoora hai lihaaza ise Hooriyañ, Hooreñ ya Hoorañ baandhna bilkul hi ghalat hai. Punjabi Wale baandhte hain to baandhte raheñ kam az kam aisi shareeh ghalti se zaib nahi deti)
Jannat-e-idraak-e-insaani ke dar khole gaye
‘Aql ki meezaañ pe anwaar-e-hikam tole gaye
Farsh-e-daanaayi pe hikmat ke gohar role gaye
Deeda-e-fitrat meiñ rang afkaar ke ghole gaye
Zarbat-e-haq se, zalaalat ka manaara gir gaya
Shaitanat ki aag par dam bhar meiñ paani phir gaya.
Aagahi ke baam par oodi ghata chhaane lagi
Zulf, ‘ilm-o-fikr ke shaane pe lahraane lagi
Shahpar-e-jibreel ki mehki hawa aane lagi
Lo, kamar zohra ki lachki, mushtari gaane lagi
Zamzame sahn-e-hunar-mandi pe barsaye gaye
Murkiyoñ ko motiyoñ ke haar pahnaye gaye.
Kashti-e-dariya-e-daanaayi ko langar mil gaya
‘ilm ki devi ko aashaaoñ ka zevar mil gaya
Haath ko kangan mila, maathe ko jhoomar mil gaya
Mauja-e-guftaar ko andaz-e-kousar mil gaya
Teergi meiñ daulat-e-bedaar paida ho gayi
‘ilm ki paazeb meiñ jhankar paida ho gayi.
Nau-‘e-Insani ko andaz-e-takallum aa gaya
Wo takallum jis se baatoñ meiñ tahakkum aa gaya
Wo tahakkum jis se lahjoñ meiñ tarannum aa gaya
Wo tarannum jis se maujoñ meiñ talaatum aa gaya
Wo talaatum jis se pighaam-e-saba aane laga
Wo saba, jis me par-e-jibreel lahrane laga.
Fitrat-e-har-shai meiñ maulayi mahek paida hui
Phool ke lahje meiñ bhauñre ki bhinak paida hui
Konploñ meiñ boo, hawaoñ meiñ sanak paida hui
Baaldaloñ meiñ gooñj, gardooñ par dhanak paida hui
Zulf-e-eemañ, shaana-e-hasti pe lahraane lagi
Zindagi eeqaan-o-aagaahi pe iThlaane lagi.
Na-khuda-e-kashti-e-jood-o-karam paida hua
Naazish-e-tauqeer, arbab-e-himam paida hua
Khisrav-e Ikleem-e qirtaas-o-qalam paida hua
Pasban-e-‘izz-o-naamoos-e-haram paida hua
Gulshan-e-Itlaaq se baad-e-bahaari aa gayi
Juzw ke maidaan meiñ, gul ki sawaari aa gayi.
Khaatim-e-naamoos-e-hikmat ka nageeñ paida hua
Jaa-nasheen-e-ambiya o mursaleeñ paida hua
Qasim-e-irfan-o-eemaan-o-yaqeeñ paida hua
Iftikhar-e-awwaleen-o-aakhreeñ paida hua
Apni rau meiñ saiñkdoñ durhaa-e-jaañ role gaye
Subho hazir ho gayi ghooñgat ke pat khole hue.
Ashja-‘e-aalam, khateeb-e-nuktavar paida hua
Shaarah-e-ilm-e-Nabi ﷺ, sahib nazar paida hua
Bahr-e-irfan-e-ilahi ka gohar paida hua
Mufti-e-daana, faqeer-e-mo’tabar paida hua
Barbat-e-saut-o-sada meiñ zer-o-bam paida hua
Phir nigaar-e-ilm ki zulfoñ meiñ kham paida hua.
Aasman-e-haq pe bijli ki chamak paida hui
Dil meiñ insaañ ke sadaqat ki dhamak paida hui
Janib-e-khursheed zarroñ meiñ humak paida hui
Chehra-e Nahj-ul-Balaaghat par damak paida hui
Zindagi painaana-e-asraar ko bharti hui
Khema-e-hikmat meiñ var aayi, nirat karti hui.
Abr-e-hikmat ban ke kisht-e-jahl par chhata hua
Har taraf badhta, humakta aur lahrata hua
Phoolta, phalta, mahekta, phool barsaata hua
Gooñjta, ghirta, garajta, jhoomta, gaata hua
Aa gaya rooh-ul-ameen-e-‘ilm, par tole huye
Butkadoñ ko toDta, k’aabe ka dar khole hue.
Rooh-e-paighambar ki thi zaat-e-Ali aayeena daar
Wo Ali, jis se hai gulzar-e-nabuwwat pur bahaar
‘Ilm ka dar, milk-e-qirtaas-o-qalam ka shahryaar
‘askareeyat ka payambar ‘ilm ka parwardigaar
Jis ke zauq-e-jood par, fazl-o-ataa ko naaz hai
Jis ke andaz-e-shuja’at par, khuda ko naaz hai.
Rann meiñ ye soorat ke jaise ghait meiñ sher-e-zayaañ
Tegh dar dast-o-rajaz’khwañ, zarb uski be amaañ
Aasmañ’geer-o-zameeñ-koob-o-‘adoo soz-o-dawaam
Sho’la’rez-o-barqbaar-o-shab’sawaar-o-sub’h raañ
Taushan-e-chaalaak se farsh-e-zameeñ ko rauñdta
Barq ke maanind lahraata, lapakta, kauñdta.
Wo Ali, mash’hoor hai jiska ye qaul-e-mustataaq
“Ya Fataa Laa-tubtili Al-auqaata Fi Ahdish-shabaab”
Gauhar-e-khudaagahi az-bahr-e-irfaanash bayaab
Ijtanib maa yooqi-ut-tashkeeka fi amri-s-sawaab
Aadmeeyat ka jahañ meiñ bol-baala kar diya
Banda-e-naa’cheez ko adna se aala kar diya.
Masnad-aayaaye-sareer-e-ma’arifat, sehr-e-rasool
Waalid-e-sibtain-o-jaan-e-auliya, zauj-e-batool
J’afar-e-tayyaar ka baazu, Abu-taalib ka phool
Sab se pahle jis ne bachpan meiñ kiya eemaañ qubool
DhooñDh li jis ne haqeeqat us ke qeel-o-qaal ki
Dho gaya hai wo, seyaahi naama-e-‘aamaal ki.
Ay shikoh-e-nuh sapehr ! ay azmat-e-lauh-o-qalam
Dastgeer-e-be-kasaañ, daaraa-e-gaihaan-e-karam
Muqtada, najm-ul-huda, sher-e-khuda, shams-uz-zulam
Mamba-‘e-bazl-o-sakha, tanveer-e-irfan-o-hikam
Sang par daali nazar, la’al-e-badakhshaañ kar diya
Tu ne zulmat meiñ qadam rakha, charaaghañ kar diya.
Aashkaara tujh pe ki, Allah ne har ek shai
Naam se tere dahalta hai dil-e-daara-o-kai
Hauz-e-kausar ki chhalakti hai tere saaghar se mai
Fatah-e-rom-o-samarkand-o-tataar-o-shaam-o-rai
Kaun thahre ga, imam-ul-aulia ke samne
Baa-‘adab ahl-e-safa haiñ, Murtaza ke samne.
Muddatoñ roti hai chashm-e-hasrat-e-ahl-e-chaman
Saal’ha rahte haiñ giryañ, deeda-e-charkh-e-kuhan
Phir nazar aata hai Aisa ek nakhl-e-gul-badan
“Baayazeed andar khuraasañ, ya uvais andar qaran”
Zindagi rahti hai barsoñ, ghota-zan dar khaak-o-khooñ
“Taa ze bazm-e-ishq, yak daanaaye-raaz aayad burooñ.
Ay khudawandaan-e-daulat ! Khisravaan-e-kaj-kulaah
Taa ba ke ye arzooetumtaraaqohubbejaah
Kar diya hai tum ko duniya ki mohabbat ne tabaah
Dushman-e-deen-e-mubeeñ ho, kufr ke ho khair khwaah
K’aaba hai aivaan-e-hikmat, qasr-e-daulat dair hai
Daanish-o-deenaar meiñ baaham azal se bair hai.
Jahl se kab tak uthaaoge tabeeyat ka khameer
Taa-ba-kai teenat ko rakho ge zalaalat ka aseer
Taa-ba-kai zinda raho ge tum jahañ meiñ be-nazeer
Hashr Tak rahna hai kya duniya ki nazroñ meiñ haqeer?
Taa-ba-kai dastaar apnoñ ki uchhaali jayegi
Apni izzat ghair ki jholi meiñ daali jayegi.
Hum haiñ ahl-e-fan, hameñ koyi Mita sakta nahiñ
Koi in ooñche manaaroñ ko gira sakta nahiñ
Koi hum ahl-e-khirad ke sar jhuka sakta nahiñ
Koi daanish ke charaaghoñ ko bujha sakta nahiñ
Sar-nigooñ hai khisravi ahl-e-hikam ke saamne
Gardan-e-shamsheer jhukti hai, qalam ke samne.
Hum haiñ rindaan-e-haq-aagaah-o-sharaafat-aashna
Tib-‘e-‘aali se hamari, door hai hirs-o-hawa
Hai siraat-e-mustaqeem apne liye raah-e-Khuda
Hashr bar-haq, shaafa-‘e-mahshar Muhammad Mustafa ﷺ
Hai tah-e-dil se Naseer Aal-e-Muhammad ﷺ par nisaar
Laa Fataa illa Ali, Laa Saifa illa Zulfiqar.
Gumbad e aafaaq mein raushan huyi sham’e nijaat, Gumbad e aafaaq mein raushan huyi sham’e nijaat,
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar