Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ, Naat e Paak Lyrics in Urdu, Hindi and English, Original Lyrics
Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’
Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ
(Asal misra– Gham Tamaaneeyat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ)
Jab Karam Hota Hai Haalaat Badal Jaate Haiñ
Gham Sabhi Rahat o Taskeen Meiñ Dhal Jaate Haiñ…
Unki Rahmat Hai Khata Posh gunahgaaroñ ki
Khote sikke sare Baazaar Bhi chal jaate haiñ
Ism e Ahmad Ka Wazeefa Hai Har ik Gham Ka ilaaj
Laakh Khatre Hoñ Isi Naam Se Tal Jaate Haiñ
Aap Ke Zikr Se ik Kaif Mila Karta Hai
Aur Jitne Bhi Haiñ Asraar Woh Khul Jaate Haiñ
Apni Aaghosh Meiñ Leleta Hai Jab Unka Karam
Zindagi Ke Sabhi Andaaz Badal Jaate Haiñ
Ishq Ki Aañch Se Dil Kyuñ Na Banega Kaaba
Ishq Ki Aañch Se Patthar Bhi Pighal Jaate Haiñ
Rakh hi lete Haiñ Bharam Apne Karam Ke Sadqe
Jab Kisi Baat Pe Deewane Machal Jaate Haiñ
Dam Nikal Jaaye Teri Yaad Meiñ Phir Hum Bhi Kaheñ
Lillahil Hamd Liye Husn e Amal Jaate Haiñ
Aa Pade Haiñ Tere Qadmoñ Meiñ Ye Sun Kar Hum Bhi
Jo Tere Qadmoñ Meiñ Girte Haiñ, Sañbhal Jaate Haiñ
Ummat e Ahmad e Mukhtar Nahiñ Ho Sakte
Aur Haiñ Aur, Jahannum Meiñ Jo Jal Jaate Haiñ
Mutmayin Hoñge Magar Dekh Ke Jalwah Unka
Hum Nahiñ Woh Jo Khilaunoñ Se Bahal Jaate Haiñ
Aap Ko Kaaba e Maqsood Hi Maanuñ Khalid
Aap Ke Dar Pe, Sab Armaan Nikal Jaate Haiñ
Yaad Unki, Badal Unka Nahiñ Hone Paati
Hijr Ke Shaam o Sahar, Pyar Meiñ Khal Jaate Haiñ
Gham sabhi rahat o taskin me dhal jate hain ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |