Teri Zaat Masdar e Har Ziya Lyrics

Teri Zaat Masdar e Har Ziya, Tera Naam Matla’ e Noor Hai Naat Sharif Lyrics in Hindi and English.

Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’


 

Teri Zaat Masdar e Har Ziya, Tera Naam Matla’ e Noor Hai

Tera Dard Haasil e Bandagi, Tera Gham Mataa’ e Suroor Hai

 

Ye Yaqeeñ Faroz Qayaas Hai, Tu Har Ik Maqaam Se Paas Hai

Nazar Aa Rahe Haiñ Jo Faasle, Ye Meri Nazar Ka Qusoor Hai

 

Jo Jahañ Numa, Jo Khuda Numa, Woh Jamal, Unka Jamal Hai

Jo Kate Khayal e Huzur Meiñ, Woh Hayat, Noor Hi Noor Hai

 

Mera Zikr o Fikr o Mera Sukhan, Mera Soz o Saaz, Ye Mera Fann

Teri Naat Ban Ke Sañwar Gaye, Ye Tere Karam Ka Zahoor Hai

 

Tere Raaste Meiñ Jo Aa Gaya, Woh Murad Zeest Ki Pa Gaya

Use Zindagi Ke Ûloom Par, Tere Faiz Hi Se Ûboor Hai

 

Mere Paas Kuchh Bhi Nahi To Kya, Mere LaajWale Ki Khair Ho

Mujhe Naaz Unke Karam Pe Hai, Mujhe Mustufa Pe Ghuroor Hai

 

Jo Tumhare Gham Ka Aseer Hai, Woh Bada Ameer o Kabeer Hai

Jo Tumhare Dar Ka Faqeer Hai, Gham e Do Jahaañ Se Woh Door Hai

 

Jo Talab Se Pahle Kare A’taa, Jo Sada Se Pahle Sune Sada

Meri Laaj Wala Wohi To Hai, Jo Habeeb e Rabb e Ghafoor Hai

 

Teri Aarzoo, Teri JustJū, Teri GuftGû, Meri Aabru

Meri Mastiyoñ Ka Bharam Hai Jo, Teri Yaad Hi Ka Suroor Hai

 

The Jahañ Meiñ Aur Bhi Mashghale, The Jahañ Meiñ Aur Bhi Tazkare

Tere Zikr Hi Se Sukooñ Mila, Koi Baat Is Meiñ Zurur Hai

 

Hai Tumhara Khalid e BeNawa, Ise BeSabab Hi Nawaz Do

Na Ise Qareena e Aarzoo, Na Ise Talab Ka Sha’oor Hai

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *