Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics in Hindi and English
Qawwal: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Hindi | English
Marhaba! Salle-Ala Hastam Sanakhwaan-e Rasool
Sad Salaam e Man Ba Jism e Paak Par Jaan-e Rasool
Ai Saba Wai Paike Mushtaqañ Ba Dargaah e Nabi
Go Salamam Dast-Basta Pesh-e Aiwan-e Rasool
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna Tumhi To Ho
Hum Jis Meiñ Bas Rahe Haiñ Wo Dunya Tumhi To Ho
Dil Jis Se Zinda Hai
Dil Jis Se Zinda Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Teri Zulf Gar Shab-e Qadr Hai
Tera Chehra Badr-e Muneer Hai
Tere Sadqe Jaaooñ Maiñ Ya Nabi
Tu Habib-e Rabb-e Qadeer Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Tera Husn Jalwa e Toor Hai
Teri Shakal Surah e Noor Hai
Ke Jahaan Meiñ Koi Aaj Tak
Teri Misl Hai Na Nazeer Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Teri Deed Jisko Naseeb Hai
Wo Naseeb Qabil-e Deed Hai
Tera Dekhna Meri Eid Hai
Tera Rukh Kalam-e Majeed Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Teri Deed Karne Ko Khud Khuda
Tujhe Paas Apne Bula Liya
To Bitha Ke Saamne Ye Kaha
Meri Aaj Arsh Pe Eid Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Tera Noor Noor-e Qadeem Hai
Tera Husn Husn-e Kamaal Hai
Nahi Jiski Koi Misaal Hai
Tu Hi Aamina Ka Wo Laal Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Shahsawaara Raazdaraa, Hoo..
Shahsawaara Raazdaraa, Aaa..
Shahsawara Raazdaraa Rab Diyaañ
Taajdaara Dardmanda Sub Diyaañ
Ai Alam-Nashra De Seene Waleya
Ai Shahenshah Madina Waleya
Aa Vi Ja Wal-Fajr Chehre Waleya
Aa Vi Ja Yasin Sehre Waleya
Yaad Teri Da Maiñ Deeva Waleya
Aa Vi Ja Hun Kaali Kamli Waleya
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Ya Habibi Marhaba, Marhaba
Ya Habibi Marhaba, Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba…
Roya Shab e Hijraañ Maiñ Bahut Ashq Bahaya
Itne Meiñ Musawwir Ko Zara Rahm Jo Aaya
Naqshe Kayi Tasveeroñ Ke Wo Saamne Laaya
Bola Ke Ye Yusuf Hai, Ye Eesa Hai, Ye Musa
Maiñ Ne Kaha, In Meiñ Se Kisi Per Nahi Shaida
Jab Saamne Laya Wo Shabeeh-e Shah-e Wala
Be-Saakhta Us Waqt Zubaañ Se Meri Nikla…
Mukh Chandr Badar Shasaani ei
Matthe Chamke Laath Noorani ei
Kali Zulf Te Akh Mastani ei
Makhmor Akhi Hin Mad Bharya
Teri Surat Nu Maiñ Jaan Akha
Jaana Ke Jaane Jahan Akha
Sach Aakha Te Rab Di Shaan Akha
Jis Shaan To Shana Sub Wadeya
Subhan Allah, Ma Ajmalaka,
Ma Ahsanaka, Ma Akmalaka
Kitthe Mehr Ali Kitthe Teri Sana
Gustaakh Akhi Kitthe Ja Lariya
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Subhan Allah, Ma Ajmalaka,
Ma Ahsanaka, Ma Akmalaka
Subhan Allah! Allah Allah !
Subhan A! Allah Allah
Jeene Dekhiya Kamli Wale Nu
Muhu Nikliya Wah Subhanallah
Noori Mukhre Te Payi Chamk Di ei
Kaisi Zulf e Siyaah Subhanallah
Lab Laal-e Yaman Qad Sarv-e Chaman
Ai Naafa Kutan At’her Hai Badan
Tere Husn Di Ki Tareef Karaañ
Kah Uthiya Khuda Subhanallah
Bus Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!
Farishta Dar Pe Basad Ehteraam Aata Hai
Khuda Ke Baad Tumhara Hi Naam Aata Hai
Kaleem Hooñge Tumheñ Kya Kaleem Se Nisbat
Tumhare Ghar Meiñ Khuda Ka Kalaam Aata Hai
Bus, Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!
Tu Ne Qabl Az Do Jahaañ Shan e Tajalla Dekhi
Arsh Banta Huaa Sajti Huyi Duniya Dekhi
Tere Qadmoñ Meiñ Jhukeeñ Sare Rasooloñ Ki Jabeeñ
Sub Ne Allah Ko Mana Teri Dekha Dekhi
Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!
Her Ik Kundal Kundal Utthe Aashiq Ta Dil Dole
Husn Tere Di Sift Ki Aakhañ Kaafir Kalma Bole
Aañkheiñ, Allah Allah! Subhan Allah!
Allah Allah! Subhan Allah!
Subhanallah, Ma Ajamalaka
Ma Ahsanaka, Ma Akamalaka
Kitthe Mehr Ali Kitthe Teri Sana
Gustaakh Akhi Kitthe Ja Lariyañ
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Ya Noor ul Ainee Marhaba
Jaddil Hussaini Marhaba
Ya Imam ul Qiblatain
Ya Nabi ul Haramain
Aap Haiñ Aañkhoñ Ki Thandak
Aap Haiñ Har Dil Ka Chain
Innaka Shams ud Duha
Innaka Badr ud Duja
Innaka Noor ul Huda
Innaka Sadr ul Ula
Az Ibtida Ta Intaha
Tu Ya Muhammad Mustafa ﷺ
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Mujh Purkhata Ki Laaj Tumhare Hi Haath Hai
Mujh Nañge Do Jaha Ka Wasila Tumhe To Ho
Jo Dastageer Hai Wo Tumhara Hi Haath Hai
(Sargam)
Jo Dastageer Hai Wo Tumhara Hi Haath Hai
Jo Doobne Na De Wo Sahara Tumhi To Ho
Dunya Meiñ Rahmat-e DoJahañ Aur Kaun Hai
Jiski Nahi Nazeer Wo Tanha Tumhi To Ho
Phoota Jo Seena-e Shab-e Taare Alast Se
(Sargam)
Phoota Jo Seena-e Shab-e Taare Alast Se
Us Noor-e Awwaleeñ Ka Ujala Tumhi To Ho
Jalte Haiñ Jibraeel Ke Par Jis Maqaam Par
Uski Haqeeqatoñ Se Shanasañ Tumhi To Ho
Sub Kuch Tumhare Waaste Paida Kiya Gaya
(Sargam)
Sub Kuch Tumhare Waaste Paida Kiya Gaya
Ai Taajdar-e Yasrab o Bat’ha Tumhi To Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tumhi To Ho
Dil Jis Se Zinda Hai …..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
MashaAllah
Shamsu duha badruduja teri barri tauqeer hai
Soorat teri shah e UmmaM saww Allah ki tasveer hai
Masha Allah .. kyaa behtreen Umdaah lyrics hai .. dil Zinda hojata hai sach me ..my favourite kalaaam 🥰😍🤩💝💝🤲 .. behtreen awaaz me pesh kiyaa hai Nusrat sahab ne.. best best best …