Deewana yaad karega naat lyrics by ghulam mustafa qadri
दीवाना याद करेगा
Sarkar shahe meeran, Sarkar shahe meeran
Sarkar shahe meeran, Sarkar shahe meeran
Deewana yaad karega …
Kya shaan hai shahe meeran ki
louta na koi khaali dar se
Ye aal hai shahe jeelan ki
Rouze pe abre karam barse
Hein meeran waliyon ke sultan
Gharana inka ajimushshan
Deewana yaad karega …
To ranj-o-alam ke toofaan se
kyon mera dil ghabrata hai
Hai nisbat hamari meeran se
Ashraf se hamara naata hai
Karenge wo ham par ahsaan
To hogi har mushkil aasan
Deewana yaad karega …
Sarkaar Rais e millat ka
is dour koi nai saani
Daman ko thaam le unka
jo banta hai ashraf meerani
Na honge meerani hairan
Rais e aahraf ka farman
Deewana yaad karega …
Armaan hai mera barson se
Meeran ki ziyarat ho jaye
Aa jayen nizami khwab me
Kuchh aisi inayat ho jaye
Jo dekhe inka rukh e zeesha.n
To aa jaaye jaan me jaan
Deewana yaad karega …
Sarkar shahe meeran, Sarkar shahe meeran
Sarkar shahe meeran, Sarkar shahe meeran
Naat Khwan: Ghulam Mustafa Qadri
Deewana yaad karega naat by ghulam mustafa qadri