Bheek Sarkar Se Maangte Haiñ Lyrics | Manqabat Khwaaja Ghareeb Nawaz
Qawwal: Maulvi Ahmad Hasan Akhtar
हिन्दी | English
Ilaahi Ta Ba Abad Aastane Yaar Rahe
Ye Aasra Hai Ghareeboñ Ka BarQarar Rahe.
Bheek Sarkar Se Maangte Haiñ
Bheek Sarkar Se Maangte Haiñ
Hai Tareeqe Talab Aajizaana
Aastaane Ka Sadqa Ata Ho Haq Salamat Rakhe Aastaana
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Baad Muddat Ke To Taqdeer Yahañ Laayi Hai
Khali Is Dar Se Palatna Badi Ruswaayi Hai
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Ghareeb Humko Khuda Ne Kiya Tumhare Liye
Humare Waaste Tumko Kiya Ghareeb Nawaz
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Ghareeb Humko Khuda Ne Kiya Tumhare Liye
Humare Waaste Tumko Kiya Ghareeb Nawaz
Badi Ummeed Se Hazir Hua Hooñ Chaukhat Par
Ke Maiñ Ghareeb Hooñ, Khwaja Ka Dar Ghareeb Nawaz
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Ye Kah Raha Hai Muqaddar Mera Mere Khwaja
Bigad Gaya Hooñ Bana Lo Mujhe Ghareeb Nawaz
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Mai Gir Raha Hooñ Sambhalo Mujhe Ghareeb Nawaz
Badha Ke Haath Uthaa Lo Mujhe Ghareeb Nawaz
Ghareeb Jaan Ke Har Ik Ne Mujhko Taal Diya
Tum Apne Dar Se Na Taalo Mujhe Ghareeb Nawaz. Khwaaja,
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Mujhe Kuchh Nahiñ, Mujhko Teri Sharam Hai
Tumhi Soch Lo Kya Kahega Zamana
Sakhi Dar Se Khali Jo Maiñ Laut Jaauñ
To Badnam Hoga Tera Aastaana..
Main Khud SochTa Hooñ Bhala Kya Maiñ Maañguñ
Samundar Se Maañguñ Maiñ Shabnam Ka Qatra..
Mujhe Sharm Aati Hai Khud Maañgte Ko
Kahañ Meri Jholi, Kahañ Ye Khazana
Meri Bekasi Par Zara Rahm Khana
Na Do Kuchh Bhi Lekin Na Dar Se Hataana
Muqaddar Badal Ne Ko Hum Bekasoñ Ke
Salamat Rahe Bas Tera Aastaana
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Tera Naam e Paak Mueenuddeen
Tu Rasool e Paak Ki Aal Hai
Teri Shaan Khwaja e Khwajgañ
Tujhe Bekasoñ Ka Khayal Hai
Maiñ Gada e Khwaja e Chisht Hooñ..
Koi Kisi Ka, Koi Kisi Ka
Maiñ Gada e Khwaja e Chisht Hooñ
Mujhe Is Gadayi Pe Naaz Hai
Mujhe Naaz Khwaja Pe Kyuñ Na Ho
Mera Khwaja Banda Nawaz Hai
Mera Bigda BaKht Sañwar De
Mare Khwaja Mujhko Nawaz Le
Teri IK Nazar Ki Ye Baat Hai
Meri Zindagi Ka Sawaal Hai
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Na Wo BütKade Ke Qabil
Na Haram Ke Kaam Ke Haiñ
Jo BaDe Hue Haiñ Sajde
Tere Sang e Aastaañ Se
Har Kas Waseela Daarad o Ma BeWaseela ei
Mara Waseela Neist BaJuz Aastane Tou
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. A’ta Ho..
Sakhi Aur Bhi Haiñ Lekin Ye Jahaan Chhaan Maara
Hua Mañgtoñ Ka Aakhir Tere Dar Pe Hi Guzara
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. Ata Ho..
Charagh e Chisht, Shahe Auliya Ghareeb Nawaz
Mere Huzur Mere Peshwa Ghareeb Nawaz
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. Ata Ho..
Laga ke aaya Hooñ Maiñ Aas Ya Ghareeb Nawaz
Bharega Kaun Ye Daaman Mera Ghareeb Nawaz
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. Ata Ho..
Ye Deewano Ke Sajde Sang e Dar Par Rang Laaye Haiñ
Ke Ban Kar Rah Gaya Hai Ek Tasweer e Junooñ Wo Bhi
Aaj Ghabra Ke Deewane Kahne Lage
Chhod Kar Tera Daaman Kidhar Jaayeñge
Mere Khwaja Piya Mujhko Chhoda Gaya
Teri Chaukhat Se Takra Ke Mar Jayeñge
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. Ata Ho..
Ab Kiske Dar Par Jaayeñ Hum
Kisko Sunayeñ Haal e Gham
Barsoñ Se Karte Aaye Haiñ
Hum Tere Dar Ki Chaakri
Aastaane Ka Sadqa Ata ho.. Ata Ho..
Hasrat Hai Ye Aayinda Agar De Na
To Ab Kuchh De
Maañguñ Na.. Mai Maañguñ Na.. Maañguñ Na…
Saayil To Hazaroñ Haiñ, Hazaroñ Meiñ Mai Yakta Hooñ
Maañguñ Na Dubara,
Itna Tu Mujhe Dede.
Khwaahish Na Ho Phir Lene Ki
Itna Tu Mujhe Dede.
Kab Tak Mai Kahe Jaauñ
Dede Tu Mujhe Dede.
Ae Dast e Talab Dena Hai To
Jaldi Se Mujhe Dede.
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Hasrat Hai Ye Aayinda Gar De Na
To Ab Kuchh De.
Asbaab e Khala Dekar
Saaman e Talab Kuchh De.
Uqba Ka Nahi Wada
Dena Hai To Ab Kuchh De
Aastane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Aaye Tere Huzur Meiñ Rahmat Ki Bheek Maañgne
Rahmat Ki Bheek Maañgne
Rahmat Ki Bheek Maañgne…
Aaye Tere Huzur Meiñ Rahmat Ki Bheek Maañgne
Toote Diloñ Ka Aasra Tere Siwa Koi Nahiñ
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Rahe Aastañ Salamat, Rahe BarQarar Shaahi
Ke Tumhare Naaz Par Hai, Ye Hamaari Kajkulahi
Parwar Digaar o Shaafa-e Mahshar Ka Waasta
Usman JaañNasheen e Payambar Ka Waasta
Mushkil Kush o Fatahe Khaibar Ka Waasta
Akbar ki Jaañ Nawaz Azaanoñ ka Waasta
Abbaas Ke Kate Hue Shaanoñ Ka Waasta
Kulsum Ke Khule Hue Baaloñ Ka Waasta
Kulsum Ke Khule Hue Baaloñ Ka Waasta
Shabbir Ke Jale Hue Khaime Ka Waasta
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Saahib Sakhi Haiñ, Khud Bhi Sakhi
Haiñ Pisar Sakhi
Wallah! Fatima Ka Hai Sab Ghar Ka Ghar Sakhi
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. A’ta Ho..
Jab Tum Na Sunoge To Meri Kaun Sunega
Jab Tum Na Karoge To Karam Kaun Karega
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Sunte Haiñ Tere Dar Pe BadalTi Haiñ Qismateñ
Aaye Haiñ Hum Bhi Apna Muqaddar Liye Hue
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Dar Dar Kharaab o Khasta Phira Leke iltija
Lekin Chala Na Manzil e Maqsood Ka Pata
Aakhir Tere Karam Ne Pukara Idhar To Aa
Hazir Hua Udhar Maiñ Ye Deta Hua Sada, Khwaja
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Nigaah e Lutf Se Qismat Sanwaar Do Meri
Ye Bigdi Aur Kisi Ke Nahiñ Banane Ki.
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Dede Kuchh Aaj Sakhi, Ganj e Shakar Ka Sadqa
Khali Is Dar Se Palatna Badi Ruswaayi Hai
Khada Hooñ Rauza e Aqdas Ki Jaaliyañ Pakde
Na Ab Dua Ki Zarurat Hai, Na Sawaloñ Ki
Aastane Ka Sadqa Ataa Ho.. A’ta Ho..
Ya Aaj Sar Nahiñ, Ya Aastaane Yaar Nahi
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Karam Kar Do, Karam Kar Do Sakhi Khwaja Muinuddin
Anaayat Ki Nazar Kar Do Sakhi Khwaja Muinuddin.
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Tu Sakhi Ibn e Sakhi Ae Khwaja e Ajmer Hai
Phir Tere Darbaar Meiñ Mere Liye Kya Der Hai.
Aastane Ka Sadqa Ataa Ho.. A’ta Ho..
Tere Sadqe Teri Khairaat Ke Waari Jaauñ
Tere Sadqe, Sadqe, Sadqe..
Tere Sadqe, Sadqe, Sadqe..
Tere Sadqe Teri Khairaat Ke Waari Jaauñ
Jholi Har Ek Ki Be Maañge Bhari Dekhi Hai
Aastane Ka Sadka Ata Ho.. A’ta Ho..
Tu Wo Mumba e A’taa Hai
Ke Pukaar Utha Zamana
Wo Karam Nawaaziyañ Keeñ
Ke Karam Ka Kya Thikana
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Aaj Ajmer Wale Khwaja Hindal Wali
KamliWaale Ka Sadqa Diye Ja Rahe Haiñ
KamliWaale Ka Sadqa Diye Ja Rahe Haiñ..
Khwaja Usman Ka Hai Ye Lutf o Karam
Ke Ghareeboñ Ke Daaman Bhare Ja Rahe Haiñ..
Aap Ke Dar Ki Mujhko Gadaaee Mili
Khwaja Tum Jo Mile, BaadShaahi Mili
Naayab e Mustufa Aap Ki Shaan Hai
Dono Aalam Ka Sadqa Diye Ja Rahe Haiñ
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho.. Ata Ho..
Bheek Sarkar Se Maañgte Haiñ
Hai Tareeqe Talab Aajizaana,
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho
Haq Salamat Rakhe Aastaana
BeNiyaaz e Talab Aaj Kar Do
Jholiyañ Hum Gadaaoñ Ki Bhar Do
Dar Se Khali Agar Phir Gaye hum
Kya Kahega Bhala Phir Zamaana
Maiñ Hooñ Anwar Meri Laaj Rakhiye
Mai Hooñ Khota Mujhe Na Parakhiye
Sadqa Aal e Muhammad ﷺ Ka Mujh Par
Ho Karam Ki Nazar Jaawidaana
Bheek Sarkar Se Maañgte Haiñ
Hai Tareeq-e Talab Aajizaana
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho
Haq Salamat Rakhe Aastaana
Aastaane Ka Sadqa Ataa Ho o..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan