Bayan Ho Kis Zaban Se Martaba Siddiq e Akbar Ka Lyrics

Bayan Ho Kis Zaban Se Martaba
Siddiq e Akbar Ka Lyrics 

 

 

Bayañ Ho Kis Zabañ Se Martaba
Siddiq e Akbar Ka
Hai Yar e Ghaar, Mahboob e Khuda
Siddiq e Akbar Ka

 

(Kabhi Laut Aayeñ To Poochna, Nahiñ
Dekhna Unhe Ghaur Se
Jinhe Raste Me Khabar Huyi Ke Ye Rasta Koi Aur Hai)

 

Bayañ Ho Kis Zabañ Se Martaba
Siddiq e Akbar Ka
Hai Yar e Ghaar, Mahboob e Khuda
Siddiq e Akbar Ka.

 

Rusul Aur Ambiya Ke Baad Jo Afzal Ho Aalam Se
Ke Aalam Me Hai Kis Ka Martaba?
Siddiq e Akbar Ka!

 

Gada Siddiq e Akbar Ka Khuda Se Fazl Pata Hai
Khuda Ke Fazl Se Maiñ Huñ Gada Siddiq e Akbar Ka.

 

Ilahi Raham Farma Khadim e Siddiq e Akbar Hooñ
Teri Rahmat Ke Sadqe Wasta Siddiq e Akbar Ka

 

Nabi Ka Aur Khuda Ka Mad’ha Go Siddiq-e-Akbar hain
Nabi Siddiq-e-Akbar ka khuda Siddiq-e-Akbar Ka.

 

Zayeefi Meiñ Ye Quwwat Hai, Zayeefoñ Ko Qavi Kar De
Sahara Leñ Zayeef o Atqiya Siddiq-e-Akbar Ka.

 

Huye Farooq o Usman o Ali Jab Daakhil e Bai’at
Bana Fakhre Salasil Silsila Siddiq-e-Akbar Ka.

 

Ali Haiñ Uske Dushman Aur Wo Dushman Ali Ka Hai
Jo Dushman Aql Ka, Dushman Bana Siddiq e Akbar Ka.

 

Lutaya Raah-e-Haq Me Ghar Kayi Baar Is Mohabbat Se
Ke Lut Lut Kar Hasan Ghar Bhar Gaya Siddiq e Akbar Ka.

 

Maqam e Khwab e Rahat, Chain Se Aaram Karne Ko
Bana Pahlu e Mehboob e Khuda Siddiq-e-Akbar Ka.

 

Kya Shan Payi Allah Hu Akbar Siddique Akbar 

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali