Aey Chotey Babul Hawaij Karam Lyrics

Aey Chotey Babul Hawaij Karam Lyrics By Irfan Haider

 

 

Pyasi Sakina Ke Pyase Brader
Mazloom Baba Ke Mazloom Dilbar
Sare Azadar Kahte Haiñ Ro Kar
Sun Lo Hamari Bhi Fariyad Asghar

Aey Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Mahroom Hai Jo bhi Aulad Se
Aulad Kar Do Ata Tum Use
Ro Ro Ke Kahti Hain Sab Bibiyañ
Jhule Se Kurta Uthate Huye
Asghar Kaneezoñ Ka Rakh Lo Bharam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aey Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Maloom Hai Tumko Aye Be-Zabañ
Rahmat Haiñ Ghar Ke Liye Betiyñ
Har Baap Ki Bas Yehi Hai Dua
Mahfooz Hoñ Sabki Shahzadiyañ
Sar Baap ka Ho Kabhi Bhi Na Kham
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Fariyad Hai Karbala Ke Ali
Mañga Hai Farsh e Aza Par Yehi
Un Sabke Baazu Salamat Raheñ
Shabbir Ke Jo Bhi Haiñ Maatmi
Baaqi Rahe Unke Seeno Me Dam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Ghazi Ka Parcham Uthate Raheñ
Mashk e Sakina Sajate Raheñ
Sar Par Hussaini Kafan Bañdh Kar
Ham Sab Juloosoñ Me Jate Raheñ
Uñcha Rahe Ba-wafa Ka Alam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Aye Besaharoñ Ke Mushkil Kusha
Aasan Kar Do Mera Raasta
Us Raah Ka Wasta Hai Jahañ
Kañton Pe Sajjad Chalta Raha
Roke Na Mushkil Hamare Qadam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Pardesh Me Wo Bahan Apki
Jo Shaam Karbobala Se Chali
Rahoñ Me Itne Tamache Lage
Chehre Ki Rangat Badalti Rahi
Rote Rahe Uski Ghurbat Pe Ham
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Zeeshan o Irfan Ki Hai Sada
6 Maah Wale Suno Ye Dua
Sunte Haiñ Sabki Duaeiñ Jahan
Baali Sakina Ke Pyase Chacha
Ik Baar Ham Dekh Leñ Wo Haram
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

Aye Chotey Babul Hawaij Karam
Bibi Sakina Ki Tumko Qasam

 

Noha Khwan: Irfan Haider
Poet: Zeeshan Abidi

Chorus: Munawar Ali Khan,
New Noha – Munajat


Related Post:

चंद क़दमों से सकीना ने ये मन्ज़र देखा – Kazmi Brothers

कर्बला हो गई तैयार ख़ुदा ख़ैर करे – Nadeem Sarwar

अब्बास का परचम है – Farhan Ali Waris

दरिया है हमारा – Nadeem Sarwar

मज़ार-ए-फ़ातिमा कितना उदास है – Nadeem Sarwar

जा अली असग़र जा Lyrics – Ali Shanawar

Kaise Main Dafnauñ Sakina Lyrics

Utho Baba Mein Zainab Hun Lyrics


Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics

Manqabat Mola Ali As


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *