Ae shaaf e umam shahe zi jaah le khabar Naat Lyrics
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Asad Attari, Ahmad Raza Qadri, Mahmood Raza Attari, Qari Inayat Noori, Biala Attari,
Hadaaiqe Bakhshish part 1
ऐ शाफ़ए उमम शहे ज़ी-जाह ले ख़बर
लिल्लाह ले ख़बर मेरी लिल्लाह ले ख़बर
Ey shaaf e umam shahe zi jaah le khabar
Lillaah le khabar meri lillaah le khabar
दरिया का जोश,नाव न बेड़ा न नाखुदा
मैं डूबा, तू कहां है ! मेरे शाह ले ख़बर
Dariya ka josh,nao na beda na na-khuda
Mein dooba,tu kahan hai ! mere shah le khabar
मन्ज़िल कड़ी है रात अंधेरी मैं ना बलद
ऐ ख़िज़्र ले ख़बर मेरी ऐ माह ले ख़बर
Manzil kadi hai raat andheri mein na balad
Ey khizr le khabar meri ey maah le khabar
पहुंचे पहुंचने वाले तो मन्ज़िल मगर शहा
उन की जो थक के बैठे सरे राह ले ख़बर
Pahunchy pahunchane waale to manzil magar shaha
Un ki jo thuk ke baithe sarey raah le khabar
जंगल दरिन्दों का है मैं बे यार शब क़रीब
घेरे है चार सम्त से बद ख़्वाह ले ख़बर
Jangal darindo(n) ka hai mein be yaar shub qarib
Ghere hai chaar sumt se bud khwaah le khabar
मन्ज़िल नई अ़ज़ीज़ जुदा लोग ना शनास
टूटा है कोहे ग़म में परे काह ले ख़बर
Manzil na-e azeez juda log na shanaas
Toota hai kohe ghum me parey kaah le khabar
वोह सख़्तियां सुवाल की वोह सूरतें मुहीब
ऐ ग़मज़दों के ह़ाल से आगाह ले ख़बर
Woh sakhtiya(n) suwaal ki woh suratien muheeb
Ey ghamzado(n) ke haal se aagaah le khabar
मुजरिम को बारगाहे अ़दालत में लाए हैं
तक्ता है बे कसी में तेरी राह ले ख़बर
Mujrim ko bargaahe adalat me laaye hein
Tukta hai be-kasi me teri raah le khabar
अहले अ़मल को उन के अ़मल काम आएंगे
मेरा है कौन तेरे सिवा आह ! ले ख़बर
Ahle amal ko unke amal kaam aayenge
Mera hai kon tere siwa aah ! le khabar
पुरख़ार राह, बरह़ना पा,तिश्ना आब दूर
मौला पड़ी है आफ़ते जांकाह ले ख़बर
Purkhaar raah, barhana paa, tishna aab door
Moula padi hai aaftey jaa.n-kaah le khabar
बाहर ज़बाने प्यास से हैं, आफ़ताब गर्म
कौसर के शाह। कस्सरहुल्लाह ले ख़बर
Bahar Zabanen Pyaas Se Hein, Aaftaab Garm
Kousar Ke Shah Kassarullah Le Khabar
माना कि सख़्त मुजरिमों ना-कारा है रज़ा
तेरा ही तो है बन्दए दरगाह ले ख़बर
Mana ki sakht mujrim-o na kara hai Raza
Tera hi to hai bunda e dargah le khabar
Hindi And English Naat lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|