Abbas Ka Moula Lyrics | Muharram 2021|Manqabat Shahidan e Karbala | Noha Lyrics
Nauhakhwan : Taqi Rizvi
اردو میں پڑھئے
हिंदी में पढ़िए
Abbas Ka Moula Lyrics
Ghira Hai dushmanon Ke darmiyaan Abbas Ka Moula
Kisi Ne barchhiyañ Maari Kisi Ne Teer Barsaya
Mere Abbas Ka Moula ..
Ghira Hai dushmanoñ Ke darmiyaañ Abbas Ka Moula
Hai Pyasa Chhod Do Bhai Ko Mere Ai SitamGaaroñ
Sadaayeñ Deti Hai Maqtal Mein Aakar Saani e Zehra
Mere Abbas Ka Maula..
Ghira Hai dushmanoñ Ke darmiyaan Abbas Ka Maula
Jinheñ Aaghosh Mein Paala, Uthaya Unke Lashoñ Ko
Magar Shabir Ke Labb Par Kabhi Shikva Nahin Aaya
Mere Abbas Ka Maula..
Ghira Hai dushmanoñ Ke darmiyaan Abbas Ka Maula
Chalaayi Teigh Jab Shabbir Pe zalim Ne To Uss Dam
Chali Aandhi, Zami Larzi, Falak Ne Khoon Barsaya
Mere Abbas Ka Maula …
Ghira Hai Dushmanon Ke Darmiyaan Abbas Ka Maula
Jahañ Bose Liya Karte The Khud Paighambar e Akram
Laga Kar Terah Zarbeñ Shimr Ne Uska Gala Kaata
Mere Abbas Ka Maula..
Ghira Hai dushmanoñ Ke darmiyaan Abbas Ka Maula
Talab Pani Kiya Be-Sheer Ke Jab Vaste Shah Ne
Use Paani Ke Badle Hurmala Ne Teer Hai Maara
Mere Abbas Ka Maula..
Ghira Hai dushmanoñ Ke darmiyaan Abbas Ka Maula
Masaaib Ka Samander Dikh Raha Hai Dasht e Karbal Mein
Raqam Phir Kis Tarah Se Ho Ali Haider Tera Nauha
Mere Abbas Ka Moula..
Ghira Hai dushmanon Ke darmiyaan Abbas Ka Moula
You might also like:-
Manqabat Shahidan e Karbala | Noha Lyrics
- Al-salam Aye Tajdar e Karbala | अस्सलाम ऐ ताजदारे करबला
- Karbala me lutne wale Tajdaron Ko Salam | कर्बला मे लुटने वाले ताजदारों को सलाम
- Deeñ Ka Bharam Husain| दीं का भरम हुसैन
- Jaan e Rasool Quwwat e Khaibar Shikan Husain | जान ए रसूल कुव्वत ए
- Husain Ek Noor Hai | हुसैन एक नूर है
- Aye Chand Muharram Ke Tu Badli Mein Chala Ja | ऐ चांद मुहर्रम के तू
- Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Husaain | आज भी ज़ैनब की आती है सदा
- Raazi Taqdeer Utte Fatima Da Laal
- Mahina Muharram da |مہینہ محرم دا
Urdu, Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Saim Chishti | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |