Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hein Anwar Aeriyan

Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hein Anwar Aeriyaa
Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hein Anwar Aeriyaan

Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hein Anwar Aeriyaa(n)

Shayar: Ala Hazrat | Naat-E-Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri,Dr Nisar Marfani,

Hadaaiqe Bakhshish Part 1

 

आ़रिज़े शम्सो क़मर से भी हैं अन्वर एड़ियां
अ़र्श की आंखों के तारे हैं वोह खुशतर एड़ियां
Aariz-E Shams O Qamar Se Bhi Hein Anwar Ey-diyaa(n)
Arsh Ki Aankho Ke Taare Hein Woh Khushtar Aeriyaa(n)

 

जा बजा परतौ फि़गन हैं आस्मां पर एड़ियां
दिन को हैं ख़ुर्शीद शब को माहो अख़्तर एड़ियां
Ja Baja Partou Figun Hein Aasmaa(n) Par Aeriyaa(n)
Din Ko Hein Khurshid Shab Ko Maaho Akhtar Aeriyaan

 

नज्में गर्दूं तो नज़र आते हैं छोटे और वोह पाउं
अ़र्श पर फिर क्यूँ ना हों मह़सूस लाग़र एड़ियां
Nazm-E Gardu(n) To Nazar Aate Hein Chhote Aur Woh Paa’on
Arsh Par Phir Kyo(n) Na Ho Mahsoos Laagar Aeriyaa(n)

 

दब के ज़ेरे पा न गुन्जाइश समाने को रही
बन गया जल्वा कफ़े पा का उभर कर एड़ियां
Dub Ke Zere Paa Naa Gunjaaish Sama-ne Ko Rahi
Bun Gaya Jalwa Kafe Paa Ka Ubhar Kar Aeriyaa(n)

 

उनका मंगता पाउं से ठुकरा दे वोह दुनिया का ताज
जिस की ख़ातिर मर गये मुन्अ़म  रगड़ कर एड़ियां
Unka Mangta Paao(n) Se Thukra De Woh Duniya Ka Taaj
Jis Ki Khatir Mar Gaye Munam Ragud Ke Aeriyaa(n)

 

दो क़मर, दो पन्जए खुर, दो सितारे, दस हिलाल
उनके तल्वे, पन्जे, नाखून, पाए अत्हर एड़ियां
Do Qamar, Do Panja-e Khur, Do Sitaare,Dus Hilaal,
Unke Talwe, Panje, Nakhoon, Paaye At'har Aeriyaa(n)

 

हाए उस पथ्थर से इस सीने की क़िस्मत फोड़िये
बे तकल्लुफ जिस के दिल में यूं करें घर एड़ियां
Haye Us Patthar Se Is Seene Ki Qismat Fodiye
Be Takalluf Jis Ke Dil Me Yu(n) Karein Ghar Aeriyaa(n)

 

ताजे रुहुल क़ुद्स के मोती जिसे सज्दा करें
रखती हैं वल्लाह वोह पाकीज़ा गौहर एड़ियां
Taaje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karein
Rakhti Hein Wallah Paakiza Gouhar Aeriyaa(n)

 

एक ठोकर में उहुद का ज़ल्ज़ला जाता रहा
रखती हैं कितना वक़ार अल्लाहु अक्बर एड़ियां
Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jata Raha
Rakhti Hein Kitna Waqaar Allahu-Akbar Aeriyaa(n)

 

चर्ख़ पर चढ़ते ही चांदी में सियाही आ गई
कर चुकी हैं बद्र को टक्साल बाहर एड़ियां
Charkh Par Chadte He Chandi Me Siyaahi Aa Gai
Kar Chuki Hein Badr Ko Taksaal Bahar Aeriyaa(n)

 

ऐ रज़ा तूफ़ाने मह़शर के तलातुम से ना डर
शाद हो ! हैं कश्तिये उम्मत को लंगर एड़ियां
Ey RAZA Toofaane Mahshar Ke TalaTum Se Na Dar
Shaad Ho ! Hein Kashtiye Ummat Ko Lungar Aeriyaa(n)

 

Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Hein Anwar Aeriyaa lyrics


Hindi And English lyrics

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *