Main To Naam Japun Ali Ali Ka Lyrics, Qawwali, Manqabat e Mula Ali Mushkil Kusha
हिंदी में पढ़िए
Islam pe ehsaan e Hussain Ibn-e Ali hai
Maula ne jalaayi hai to ye shamma jali hai
Kahne ko to sab kahte haiñ apne ko musalmañ
Jannat mein wahi jaayega jo PanjaTani hai
Main To Naam Japun Ali Ali ka
Ali Se Hoon Ba Wasta
Ali Ali Mere Maula, Koi Aur Na..
Maula ki Aamad jis dam Marzi e Haq hui
Khud ba khud deewareñ bhi kaabe ki shak huiñ
Ali Maula..
Kaabe ki deewareñ bhi us waqt shak huiñ
Kaabe mein paida hua, koi aur na..
Main To Naam Japuñ Ali Ali ka
Ali Se Hoon Ba Wasta
Ali Ali Mere Maula, Koi Aur Na
Maula ko dekhna tha Chehra Huzur ka
Yuñ dekha sabse pahle chehra Huzur ka
Ali Maula..
Yuñ dekha sabse pahle chera Huzur ka
Thi yahi khwahish e Maula, koi aur na..
Main To Naam Japuñ Ali Ali ka
Ali Se Hoon Ba Wasta
Ali Ali Mere Maula, Koi Aur Na
Jisne ummat ki khaatir sab kuchh lutwa diya
Karbal meiñ Sajda karke Sar bhi katwa diya
Ali Maula..
Karbal meiñ Sajda karke Sar bhi katwa diya
Sajdoñ mein aisa Sajda, koi aur na..
Hota hai kab kisi ka kunba Hasnain sa
Beti ho Zainab jaisi Beta Hussain sa
Beti ho Zainab jaisi bhaiya Hussain sa
Ali Maula..
Beti ho Zainab jaisi beta Hussain sa
Kunbe mein aisa kunba, koi aur na..
Ali Maula.. Ali Maula..
Mere Maula Ali haiñ Pyare Rasool ke
Daamaad e Mustafa hain Shauhar Butool ke
Ali Maula..
Daamaad e Mustafa haiñ Shauhar Butool ke
Duniya mein aisa Rutba, koi aur na ..
Mere Maula Ali haiñ darwaza ilm ka
Kar denge khatma Ye duniya se zulm ka
Ali Maula..
Kar denge khatma Ye duniya se zulm ka
Bolo sab Maula Maula, koi aur na..
Hoti hai mushkil hal sab Maula ke naam se
Khaibar ki haisiyat kya maula ke saamne
Ali Maula…
Khaibar ki haisiyat kya Maula ke saamne
Duniya mein Sher-e-Khuda sa, koi aur na..
Teeze ke shab hua hai aisa bhi mo’jiza
Gumbad e Khwaja sabne dekha aur ye kaha
Ali Maula..
Gumbad e Khwaja sabne dekha aur ye kaha
Ye to haiñ Maula Maula, koi aur na ..
Hijr ke waqt Nabi ne apne bistar par
Mere Maula ko sulaaya aur kiya tai safar
Ali Maula..
Mere Maula ko sulaya aur kiya tai safar
Jaañ nisaaroñ mein dooja, koi aur na ..
Har dam jis ka wazeefa Maula ka naam hai
Khwaja ka ‘Noor Aalam’ adna ghulaam hai
Ali Maula..
Khwaja ka Noor Aalam adna ghulaam hai
Jaisa hai rahbar mera, koi aur na..
Ali Ali Mere Maula Ali..
Ali Ali Mere Maula Ali..